Website Bana Kar Paise Kaise Kamaye – Jane Hindi/Urdu Me

How to create a blog and make money online, Hello dosto kya aap website bana kar online paise kama chahte hai, to aap ye kam bilkul asani se kar sakte hai.  Aaj ke time me koi bhi internet se paise kama sakta hai bas use online earning ke sahi tarike pata hone chahiye.

Is article me main aapko online paise kamane ka aisa tarika btane jaraha hu jisse koi bhi ghar baithe internet se paise kama sakta hai. Iske liye aapko nahi to kisi programming language sikhne ki jarurat padegi or na hi Job ki tarah kisi special degree ki jarurat hai. website banakar paise kaise kamaye.

Website Bana Kar Paise Kaise Kamaye

Website Bana kar Internet Se Paise Kaise Kamaye

Har wo admi jiske pass computer ki thodi bahut basic information ho or thoda bahut typing aati ho to asani se online income kar sakta hai.Website bana kar paise kaise kamaye

Ek waqt hua karta tha jab internet se paisa kamana bahut mushkil tha kyuki us waqt iske bare me jankari bahut kam thi magar aaj aapko net par is topic par hazaro articles mil jayenge jinme online make money ke bare me btaya gaya hai.

Aaj internet par money earn karne ke 1000ro raste hai, aap jis tarike se chaho ghar baithe online paise kamai kar sakte hai.

Agar aap ye sonch rahe hai ki online internet se paise kamane liye kya qualification honi chahiye to main aapko bta du ki iske liye aapko koi bhi exam pass karne ki jarurat nahi hai. Man, Women, Girl, Boys, Student, Worker hose wife aap koi bhi ho isse koi fark nahi padta, bas aapke pass lagan mehnat aur kuch alag karne ka junoon hosla hona chahiye.

Internet se paise kamane ke bahut sare tarike hai jinse mai kai bar share kar chuka hu jinhe aap Online Paisa Kamane Ke Tarike list page par check kar sakte hai.  Yaha main aapko website bana kar internet se paise kamane ke bare me pure details ke sath batane ja raha hu.

How to Create a Blog and Make Money online in Hindi

Aaj se kuch saal pahle website banana bahut mushkil tha or iske liye programming language (coding) ki jarurat padti thi magar aaj kuch software and tools ki help se ye kaam bahut aasan ho gaya hai or aap only 5 minutes me apni website bana sakte hai.

Yaha main Website blog bana kar paise kamane ke bare me batane jaraha hu so main aapko 4-5 point ke sath samajhaunga taki aapko sabkuch sahi  se samajh aa sake.

1. Create Your Own Website

Khud ki Website banane ke liye aapko programming language jaise HTML, CSS, JavaScript, PHP, Jquery etc. ki coding aani chahiye. Agar aapko kisi chij ki bhi coding nahi aati hai to aapke pass 2 option hai.

  • Create Website: Kisi Developer Se Site Banwaye.
  • Create Blog: WordPress, Blogspot, Joomla etc. blogging platform ki help se site banaye.

Achhi bat ye hai ke agar aap blog banate hai to aapko blog banane ke liye  kisi bhi tarah ki coding language ki knowledge hona jaruri nahi hai. Aap kisi 2-3 steps follow karke apni site create kar sakte hai.

Jaise aap meri online jankari site par aye hai or ye post read kar rahe meri ye onlinejankari.net site wordpress par hai aur mai wordpress platform use karta hu.

Aur main aapko bhi yahi kahunga ke aap bhi wordpress platform use kare kyuki ye manage (use) karne me bahut hi aasan hai or aapka is par full control hoga. I mean aap is software par jo chahe kar sakte hai. But iske liye aapko kuch invest karna padega or hosting+domain buy karna hota hai.

Agar aap biluk new user hai to mai aapko yahi kahunga ke aap sabse pahle wordpress ke bare me thoda bahut jan le ke wordpress kya hai, uske bad aap wordpress software ko use karna offline sikhe.

Or apne site WordPress par offline banaye isse aapko ye faeda hoga ke starting me aap kuch bhi galti karte hai to isse aapki site ko koi farak nahi padega aur jab aap offline wordpress par site bana sikh lenge to jab aap online me apne site ko update karenge to aapko bahut sara faeda hoga.

Agar aap ye sonch rahe hai ki kya offline me website blog banaya ja sakta hai, ji ha aap offline localhost yani apne computer laptop me website bana sakte hai aur wordpress ko bhi use kar sakte hai.

Bas iske liye aapko ek software ki jarurat padegi jise apne computer laptop pc me install karke use kar sakte hai. WordPress ko sikhna chahte hai aur apne localhost computer pc me site bana chahte hai to iske liye aap ye post padhe.

Computer / Laptop me WordPress website kaise banaye

Jab aap localhost par apni site bana lenge aur wordpress ko use karna achhi tarah sikh lenge to usi site ko aap online server par bhe upload kar sakte hai, ye janne ke liye aap ye post padhe.

Localhost WordPress Website Ko Live Server Par Upload Kaise Kare

Ya aap online server web hosting par WordPress site bana chahte hai to uske liye aap humari ye guide read kare.

Agar aapke pass paise nahi hai aur invest nahi karna chahate hai to aap bina ek bhi paisa kharch kiye hue bhi apni website bana sakte hai. Iske liye aap blogger.com par jaye or apni site ka name or url address type karke 2 minute me apni site bana lijiye. Blogger google ki hi ek service hai jo apne users ko free website banane ki service provide karti hai.

Blogger par website banane ke liye aap humara ye article follow kar sakte hai, Blogger par Free Website Blog Kaise Banaye full Guide in Hindi. or agar aapke pass computer laptop nahi hai aur aap site bana chahte hai to bhi bana sakte hai ye padhe, Website Kaise Banaye Mobile Se puri jankari

Aap chahe to wordpress.com  par bhi free site bana sakte hai uske liye ye read kare WordPress Par Free Website kaise Banaye [Step By Setup Full Guide]

Agar aapko confusing hai ki wordpress ya blogger me se konsa better hai or kya choose kare to aap ye article read kare BlogSpot Ya WordPress Konsa Blogging Platform Jyada Better Hai.

Jab aap khudki Website blog bana lenge to uske bad aapko use achhe se Design karna hai taki jyada se jyada audience users like kare sath hi aapki site ka speed up hona bhi jaruri hai taki slow internet connection use karne wale users bhi aapki site ko fast open kar sake.

2. Choose Topic & Target

Website banane ke bad second option ata hai apni site ke liye koi topic choose karna or ek target set karna taki aap achhe se work kar sako or kam time me apni site ko successful bana saken.

  • A. Website Topic

Jab aap apne site create kar lenge to aapko ye tay karna hai ki aapko site par kis topic par likhna hai. For example, jaise ab main is site par website banakar paise kamane ke bare me post likh raha hu waise hi aapko kis topic par likhna hai.

Website blog par article likhne ke liye bahut sare topics hai jaise health, success, holiday, sports, general knowledge etc. mai aapse request karunga ke, aap usi topic ko select kare jiske bare me aapko knowledge ho or jisme aapko full interest ho. Kyuki jis kaam me aapki lagan hogi use aap dusre kaamo se kahi jyada better kar sakte hai.

  • B. Target

Apni website ke liye topic choose karne ke bad aapko target set karna hai ki aapko kitne time me or kya kya karna hai or kin logo ke liye article likhna hai. Target set karne se aap better business kar sakenge.

Aur isme time bhi kam lagta hai. Wese bhi bina soche samajhe kiye gaye kaam me safalta bahut hi kam milti hai so soch samajh kar start karna samajhadari hogi.

Aapne jobi topic select kiya hai us field ke competitor ko dekhe or plan banaye ki aapko kis tarah kaam karke unse aage nikalna hai. Agar aap chaho to iske liye apni chhoti ya badi koi ek team bana sakte hai.

3. Content & Your Talent

Website banane or uske liye topic select karne or target set karne ke bad aapko post content write karna hai. Content write karne se ye dhyan rakhe ki aap jitna achha likhoge people aapko or aapki site ko utna hi jyada pasand karenge. So aapko dusro se achha or alag likhna hai taki aapki site ko padhne walo ki tadad jyada ho.

Post Content likhne se pahle 2 bate jaan le jo aapko humesha kaam aayegi. Agar aap inhe ignore karoge to aapki site ko success hone me bahut problem hogi.

  1. Quality Content: Unique and quality content likhe taki jyada se jyada audience users like kare. Agar aap dusro ki copy pasting karoge ya fi useless content write karoge to shayad hi aapki site par koi dubara visit karega. So low quality content likhne se bache or 10 low quality content wali post likhne se achha 1 high quality content wali post write kare.
  2. Write for Users: Aapki site par jitna jyada traffic hoga aap utne hi jyada kameyab honge. So sabse pahle visitors users ka khyal rakhe or aisa post content likhe jo aapke visitors audiences ko easily samajh aaye or wo use pasand kare. Apne man se nahi apne users ke man se content likhe taki aapko jyada se jyada support mile.

Aapki site par kitna traffic hoga ye aapke content par depend karta hai or aapki site par kitna achha content hoga ye aapke talent par dpeend karta hai.

For example, suppose kijye 2 person ek hi topic par 1000 words ka alag alag article likhta hai unme se ek ke article ko padhne me bahut achha lagta hai aur dusre ke me boring feel hoti hai. Aap ek number wale post writer ki tarha likhna hai.

4. Traffic

Traffic Iska jawab aapko 2 point me hi mil gaya hoga ki aapki site ka traffic aapke content or aapka content aapke talent par depend karta hai. apki site par jitna traffic hoga aapki site utni hi success hogi. So yaha main aapko website par traffic lane ke kuch important tarike bta deta hu.

Apni website par traffic lane ki process ko mai 2 tariko me banta hun. 1. Online and 2. Offline

1. Online Traffic Source

Blog par traffic badhane ke bahut sare online tarike hai agar aap google me search karoge ki “Website par traffik kaise badhaye” to aapko is bare me bahut sare results mil jayenge fir bhi main aapko yaha main and top source ke bare me bta deta hu.

  1. Search Engines: SEO – Search Engine Optimization: Search engine website par traffic badhane ka sabse first and best tarika hai kyuki search engine se aapko ek bar nahi balki daily traffic milta hai. Bas iske liye aapki site ko google me top rank par aana jaruri hai. Aapki site google me top rank me kaise aayegi or search engine se traffic kaise milega iske liye aap SEO Tutorials read karen.
  2. Social Media Sites: Social media jaise Facebook, twitter, google+ par aap apne friends, family member in sab se jude hote hai or ek dusre se bat karte hai. Aap chahe to social media ki help se apni website ke bare me bhi logo ko bta kar apni site ka promotion kar sakte ho or traffic pa sakte hi.
  3. Advertisement: Agar aap apni site par traffic badhane ke liye paise pay kar sakte hai to aap google adsnesne, adwords, facebook ads etc. advertising program ke through apni site par paid traffic la sakte hai.
  4. Referral Links & Linking: Aap dusri websites me apni site ke pages ka link karwa kar bhi apni site pa traffic badha sakte hai.

2. Offline Traffic Source

Online traffic badhane ke sath sath aapko offline bhi apni site ka promotion karna hoga taki aapki site ke bare me jada se jada log jaan sake. Iske liye aap ye tarike follow kar sakte hai.

  1. Apne friends ko apni site ke bare me btaye or unhe unke dosto ko btane ke liye kahe.
  2. Apni school ya collages me ja kar students ko apni website ke bare me btaye.
  3. Apni site ke print ads bana kar top place me laga sakte hai.
  4. Apne local news paper ya other papers me apni site ke bare me news dila sakte hai.
  5. Apne area me ya jaha tak aap manage kar saken event rakhe or logo ko apni site ke bare me btaye.

On-Page SEO Kya Hai Content Ko Perfect Optimize Kaise Kare
Off Page Optimization Se Blog Ki Traffic Badhaye

5. Earnings:

Website bana kar paise kaise kamaya jata ke ke is topic par likhe gaye article ka last point hai apni website se paise kamaye? To ab aapne upar btaye sare steps follow kar liye hai or main man leta hu ki aapki site par achha traffic hai or ab aap apni site se earning karna chahate ho. So chaliye ab main aapko website se paise kamane ke bare me bta deta hu.

Internet par bahut se aesi companies hai jo apne products and services ka promotion karne ke liye website owner or bloggers ko commission deti hai. Ye hume 2 taike se paisa deti hai.

  1. Pay Per Click (PPC): Yani jab koi Aapki website se advertiser ki site par visit karta hai to uske liye aapko kuch commission milta hai. ye commission advertiser ki tay ki gayi rate par depend karta hai.
  2. Pay Per Sell (PPS): Iske anusar jab koi user aapki site ke through advertiser ki site par ja kar unka koi product ya service buy karta hai to aapko uski price ka kuch % percent commission milta hai. Yani iske anusar sirf product sell hone par earning hogi.

Isi wajah se in dono type ki companies yani advertiser ( Jo hume ad privde karte hai) ko hum 2 category me bant lete hai. A. (Advertising) and B. (Affiliate Market).

  • A. Advertising Ads:

Ye PPC yani pay per click kar kaam karti hai or ads dekhne ya ad par click karne ke paise deti hai. But iske liye hume har ek company se bat karne ki jarurat nahi hai. Internet par kuch aesi service available hai to bahut sari companies se deal kar hume sabhi companies ke ads provide karti hai.

Jinme se kuch top service providers is tarah hai.

  1. Google Adsense
  2. Media.net
  3. Adnow
  4. Chitika
  5. Bidvertiser

But in sab me google adsense sabse better hai kyuki ye dusre sabhi advertising program se jyada truest or jyada commission dene wala ad network hai. Google ko advertiser jo bhi commission dete hai wo usme se 68% apne publisher yani hume de deta hai or baki apne pas rakhta hai.

Aapko bas iske liye ek bar registration karna hoga uske bad adsense se aapk add code milega jo aapko apni site par lagana hai. Uske bad aapki site par aapke content se related company ke ad show honge or jab koi un par click karega to aapki earning hogi.

Jaise aapne mere blog par dekha hoga is par kai sare Ads lage hue hai, Meri site par jo bhi ads lage hue hai is par jab koi click karega to uske liye mera earning hoga.

Google adsense ke bare me aur jada janne ke liye aap ye post padhe.

B. Affiliate Marketing

Affiliate program PPS yani pay per sell par work karta hia or jab koi humari site ke through inki site par ja kar koi product buy karta hai to hume uska kuch commission milta hai. Ye commission 5% se lar 20% ya isse bhi jyada ho sakta hai.

Iska sabse achha fayda ye hai ki aapko kisi or ko commission dene ki jarurat nahi hogi. For example, aap adsense use karoge to aapko sirf 68% hi milega or baki google apne pas rakhega but affiliate market me aapko milne wale commission ka 100% aapko hi milega. Isiliye isse aap jyada earning kar sakte hai.

Aur sabse achhi bat ye hai ke aap apni site par dono ek sath use kar sakte hai. Iski adhik jankari ke liye aap humari Affiliate Marketing wali post read kare.

Agar apa soch rahe hai ki aapke visitors advertiser ki site par kyo jayenge or unke product kyo buy karenge to main aapko bta du ki aap apni site me advertiser ke diye gaye banner, images, display and text ads ko apni site me add karlenge.

Ye ads bilkul aapke content se matched honge or users apne interest se hi in par click karenge. Aap chahe to affiliate program products par article likh kar apne visitors ko uske bare me bta sakte hai.

Ye the apni website bana kar online paise kamane ke 5 simple steps, I sure in tariko ko follow karke koi bhi person online internet se paise kama sakta hai. Iske liye aapko kisi bhi tarah ki koi degree ki jarurat nahi hogi bas aap jis topic par likhoge uske bare me aapko achhi jankari honi chahiye taki aap dusro se behtar kar saken or apni site par visit karne ke liye logo ko attract kar saken.

Website se earning karne ke liye traffic chahiye or traffic aapko tabhi milega jab aap dusre logo or apne competitor se kuch alag or naya karoenge. Aap jitna better karenge log aapki site ko utna hi jyada pasand kaenge.

Finally, i hope ke aapko website bana kar online paise kamane ki ye jankari achhi lagi hogi. agar aapko is bich meri koi bat samajh na aaye ya fir aapko is article se related koi question puchna ho to aap comment section me puch sakte hai.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button