Localhost WordPress Website Ko Live Server Par Upload Kaise Kare

Hello Dosto Aapne apna wordpress website localhost pc computer me bana liya hai, ab ham janege ke apne Localhost WordPress Website Ko Live Server Par Upload Kaise Karte hai.

New user ke liye sub se badhya yahi rahta hai ke vo Localhost Par apna wbsite banye usse faeda yah hota hai wordpress me jobhi saikhna  hai wo sub apne pc computer me sikh liya jata hai.

Localhost WordPress Website Ko Live Server Par Upload Kaise Kare

Localhost WordPress ko Online Server Par Upload Karne ke Liye Kya Kya Chahiye?

Web Hosting: Pc Computer se Live Sever par website ko move karne ke liye sub se pahle aapko web hosting ki jaroorat paregi agar aapne web hosting abhi tak nahi liya hai to subse pahle web hosting kharide. wordpress ke liye hosting kaise le uski jankari yaha hai.

File Zilla:  ye ek file transfer software hai hai jis ki madad se aap apne online hosting par asane se website ko upload karsakte hai. FileZila ko asani se aap free me download kar sakte hai.

File Zila free Download

Ab ham manke chalte hai ke aapne web hosing bhi leliya hai aur File zila sowftware bhi install kar liya hai. To ham Apne Localhost wordpress ko online server pe upload karenge.

Local website ko hosting par upload karne ke liye bus aap ko niche diye gaye step ko follow karna hai.

Step 1: Sub se pahle aap apne hosting server pe wordpress ko install kare WordPress ko kaise web hosting par install karte hai ye janne ke liye yaha click kare.

Note aapne Jo Apne web hosting server pe WordPress install Kiya hai usme se wp-content folder Ko delete karde. Kuyki live server par srif wp-content folder Ko hi upload karna hai.

Local Website Ko hosting Server Par Upload Kaise Kare

Step 2: Ab aap apne pc dashboard me File Zila ko open kare aur usme apna domaine name username login password sab dal kar local host blog ko online sever pe transfer kare.

  • Host: Yaha apne blog ka url domain name dalye
  • Username: Aapne hosting lete samai jo username set kiya tha cpanel me vo dale.
  • Password: Cpanel password dale
  • Quickconnect: Sab dalne ke bad ispar click kare.
  • Local site: C drive me jis folder me jis name se aapka wordpress install hai usko slect kare.
  • Remote site: Ab aapko /public_html par click karna hai.
  • Public_html me wp-content folder Ko delete kare.
  • Local host se online sever par transfer karna hai uske liye wp-content folder ko select kare aur drag (utha)kar right site me pest karde. ya copy karke pest karde

filezila se hosting par kaise file transfer kare

Note: local host wp-content folder Ko upload karne se pahle Web hosting server ke wp-content folder Ko delete remove kare.

Agar aap apne local blog ko pura transfer karna chahte hai to vobhi kar sakte hai par behtar ye hai ke Wp-content folder ko hi upload kare isse aap ka file transfer hone me time kam lagega. Aur koi problem nahi face karna hoga. Agar aap ka local website jada bara hai to usse upload karne me thodha time lagega aapka pura file jabtak upload nahi hota hai tab tak aap ko waite karna hai.

Step 3: To aapne successfully apne localhost wordpress website ko live server par upload kar liya hai hai. uske bad aapko apna cpanel host ka php database ko change karna hhai.

uske liya hame subse pahle apne local sever ke php database download karna hoga. Local host php database kaise banate hai uski jankari yaha hai.

Database download karne ke liye apne browser par type kare http://localhost/phpmyadmin par jaye aur aapne jo Php database banaye tha Php my admin me jakar .sql file ko download karna hai.

uske liye phpmyadmin dashboard me aapne jo database banaya tha us par click karke Export par jana hai.

php database ko kaise download kare

  1. Apne database par click kare
  2. Uske bad Export par click kare
  3. Go par click karna hai
  4. Save file select karke ok par click karke .sql database ko download karle.

Formot me SQL hi slect rahne dena hai aur baki jetna setting ka options hai sbko same hi rahnedena hai kisi ko change karne ki jarurat nahi hai.

Step 4: Ab hame apne localhost php database .sql ka link change karna hai uke liye aapne jo .SQL database ko download kiya hai usko Notepad ++ me open kare. aur uske bad jo bhi https://www.onlinejankari.net ka link hai usko aap apne domainname.com ke sath change kardenge.

php database ko kaise replace

  1. Php Database.sql ko notepad++ me open kare aur Ctrl + F keyboard ka button daba kar fine kare.
  2. Replace: Fine karne ke bad aapke samne jo window khulega Replace Par click kare.
  3. Find What: isme Apna localhost/wordpress ya jo aapne database banaya tha wo dale. uske liye aap localhost wodpress ko open kare aur link bar me se pure link ko copey karle uske bad yaha past karde aur http// ko hata de.
  4. Replace with: isme apna domainename.com ko dale
  5. Replace all: sab sahi sahi dalne ke bad Replace all par click karne ke bad sab link ko damainname me convert karde.
  6. Uske bad ane data base ko Save kar le aap srif Ctrl + s daba kar bhi save kar sakte hai

Note. Appne apne localhost blog ka https://www.onlinejankari.net me se Http:// ko delete kar de. aur http://domainname.com mese bhi http:// ko delete kar de sref localhost/myblog aur dmainname.com ho hi rakhe. Save karne me ye bhi dhyan dena hai ke .sql me hi databses save hona chahiye.

Step 5: Ab aapko apne hosting cpanel par jana hai uske liye aap sub se pahle apne cpanel par login kare uske bad cpanel admin painel dashbord par thoda sa scrol kar ke databases ka option hoga usme PhpMyAdmin par jana hai hai uske liye PhpMyAdmin par click kare new tab me aap ka window open hoga.

cpanle php MyAdmin

Step 6: Ab aap php my admin par pahunch gaye ha ya aap ko sabse pahle apna purana database ko delete Remove karna hai uske bad apna loclhost website ka database ko ya import karne hai. uske liye left site par database ko option hoga 12345_wp is type ka ya jo bhi ho usme bas ye dekhna hai ke wp hona chahye. uspar hi click karna hai.

php database ko kaise remove kare

  1. Left bar me jo data base wrdpress instal karne ke bad apne se bana tha uspar click kare.
  2. Chack all par marck karke ke sabko select kare.
  3. With select: ka drop down menu hoga uspar click kar ke sab ko Drop karde. Drop par click karne se aapka purana php databases delete ho jayega.

Ab aapko php ke traf se wornig ka mase ayega aur pucha jayega ke Do you really want to execute the following query a aap ko yes par click karna hai.

php database ko kaise remove karte hai

Step 7: ab aapko apna loacl .sql databases ko import karna hai uske liye aap ko top bar pe Import ka option hoga uspar click karke jis folder me aapka databse hai usko upload karna hai.

php database ko kaise import kare

  1. Impoer: ispar click kare
  2. Brows your computer: ispar click karre.
  3. Ab aap ko databse .sql jis folder me hai use select kare.
  4. Open: select karne ke bad open par click kare.
  5. Go: uske bad go button par click kar ke data base ko import karle

Note. Agar aapka php .sql databese ka file bada hai to upload hone me thada time lagsakta hai waise 5 7 mb ka hi file hota hai.

Ab aapka Localhost WordPress Website Live Server Par Upload hogaya hai aap apna domainname.com ko new tab me open kar ke dekh sakte hai same aapka jo local website tha wahi same ab online me khulega.

aapne jo local blog par username password dala tha wahi http://www.dmainname.com/wp-admin me dal kar apne wordpress admin panel par jasakte hai. bas todasa ek aur kam rahaya bus aap ek bar wo_admin me jakar settings me custom link ko chake karle same hai ke nahi.

To dosto aap ko ye articel kaisa laga agar aap ko apne local website ko online hosting server par upload karne me kio problems horaha hai to comment kar ke puchh sakte hai aur isse dosto ko share karna na bhule

Ye bhi padhe….

Related Articles

One Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button