Keyword Research Karne Ke Liye 7 Best Tools Jane Hindi Me

Har blogger ke liye Keyword research tool ko use karna bahut hi important hote hai. Aap ek best article tab hi likh sakte hai jab aap koi best keyword research tool use karte hai.

keyword Research Karne Ke Liye 7 Best website

Keyword Research Tool Ki Jarurat Kuy Hoti Hai

High quality content likhne ke liye top level keywords ki jarurat hoti hai. Aap apni post me top quality keywords use kar ke hi post ko viral bana sakte hai.

Or badiya se badiya keywords search karne ke liye aapko “Keywords Research tools” ki jarurat hoti hai. aap quality content tab hi likh sakte jab aapka article content search engine friendly hoga. or iske liye aapko high quality keywords search karne ki jarurat hai.

Aap Kisi bhi topic par koi bhi article likhte hai to us post ko likhne se pahle aap keyword research jrur kre. Isse apko apne article ke liye ideas mil jate hai. aur usi hisab se apne post ko search me first page par la sakte hai.

Keyword research tool ek free online keyword research instrument hota hai jo Google Autocomplete use krta hai kisi bhi topic se related keywords show krne ke liye.

Google Autocomplete google search ka ek feature hota ha. Iska purpose google ki search performed ko user ke liye speed up krna hota hai. yani jisse user asani se koi bhi topic search kar sake.

Aapne aksar goggle ya kisi bhi search engine par kuch bhi likha hoga to kuch word likhne ke bad age ka sentence automatic ajata hai.

Jaise manke ke cheliye aapne google par likha “keyword” age ka sentence aap dekh sakte hai “planner generator, research, tools,” etc. apne se show ho raha hai. isse search engine Autocomplete kar raha hota hai.

Ab to aap keyword research tool ke baare me sahi se smjh gye honge. Simple apne article ko search result me top par laane ke liye aapko keyword research krna jruri hota hai. Waise aapko bahut sare tools mil jaenge keword search karne ke liye par is article me ham unhi tools ke bare me janege jo best hai.

Keyword Research Karne Ke Liye 7 Best Tools Ki Jankari

To dosto ab ham apne topic par chalte hai aur jante hai ke vo koun koun si seo keyword research tool ki best site hai jaha par aap asani se apne post ke liye keword serch kar sakte hai.

1) Google keyword planner tool  :-

keyword research karne ki bat ati hai to isme google adword keyword Planner tool ka number sabse pahle ata hai. google keyword planner lag bhag sabhi blogger ki first pasand hai.

Adwords keyword planner tool ki Sabse achhi bat ye hai ke ye bilkul free hai. google par jetna keword search hota hai vo sab google keyword planner me store ho jata hai.

Aur issme aap har keywords ka alag alag Volume, CPC Value , bid type, target country sab bare asani se dekh sakte hai. Adwords keyword planner me aap jetna marji chahe free keyword research kar skte hai.

Jyada tar blogger keywords planner tool ko hi use krte hai. Ye apko article ke liye best ideas bhi deta hai. Isme aap top trending keywords bhi check kr skte hai.

google adwords Keyword Planner

Baki maine keyword planner tool ko kaise use karna hai ke bareme pure dails ke sath bata chuka hun adhik jankari ke liye aap ye post follow kare.

Most read.. Adwords Keyword Planner Tool Ko Kaise Use kare

2) KeywordTool.io

Ye bhi ek bahut badhya site hai jaha par aap free me keywords research kar sakte hai. keywordtool.io me aapko ye bhi benifits milta hai ke yaha par aap goggle, YouTube, Bing, and apps store ke liye bhi use kar sakte hai.

Aur aapko ye site  750+ Google Keyword Suggestions Free me deta hai. agar aap chahe keywordtool.io ki all service use karne ke liye $48 par month pay kar ke full version me use kar sakte hai.

keywordtool io

3) Serps

Serps.com ko bhi aap Google adword ki tarah bilkul free me use kar sakte hai aur isme key word ki search Volume, CPC, aur Value bhi dekh sakte hai. aur agar aap serps tools ki all service use karna chahte hai to isme account bana kar 1 month ke liye free trial use kar sakte hai.

serps free keyword research tools

4) SEMrush :-

www.semrush.com Ye ek paid keyword research tool hai. Agar aap iski all service use karna chahate hai to aapko 99$ par month pay karna hoga. waise agar aap chahe to kisi other blogger ki reference lekar aap Semrush par 1 month ke liye free me account bana kar Semrush ki sabhi service ka use kr skte hai.

Agr aap eske free verson ka use krna chahte ho to kr skte ho. Free verson me aap ek din me sirf 10 baar hi keyword research kr skte ho.

Semrush Keyword Research

5) Moz Keyword Explorer:-

moz.com/explorer  bhi ek badhya option hai keywords ideas lene ke liye par agar aap moz explorer ka full feature use karna chahte hai to iske liye aapko $50 par month pay karna hoga. Aur agar aap sirif ideas lena chahte hai to moz keyword explorer ko free me bhi use kar sakte hai.

Moz Keyword Explorer

6) Kwfinder:-

https://kwfinder.com Ye keyword search karne ke liye best tool hai. kwfinder ki free service me aap 24 hours me srif 3 bar hi keywords use kar sakte hai bas iske liye aapko sign up karna hoga. Baki iski full service use karne ke liye $12 pr month pay karna hoga.

7) Soovle.com

www.soovle.com ko keyword research tools to nahi kahenge par related keywords ideas lene ke soovle.com bhi best hai. isme aapko google, youtube, bing, yahoo, etc jaise search engine apne jo keyword dala hai usse  related words kya kya search ho horaha hai ka idea miljayega.

soovle keyword finder

I hope ke aapko ye jankari pasand aayi ho aur aapko is article se best keyword research tool 2017  ki site apne blog ke liye kewords search karne me help mila ho thanks.

Related Articles

16 Comments

  1. hello sir
    Mai ek New blogger hu aur meri site me search description elable kiya hai. har post ke liye search description likhata hu lekin jab bhi post search engine me show hoti hai to post ke niche search description show nahi hota hai, direct post ki 1 se 4 lines show hoti hai. aisa kyu hota hai ? Aur search description search engine me dikhane ke liye muze kya karana hoga pls bataiye…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button