Image Ko SEO Friendly Kaise Banaye, WordPress Or Blogger Me

Blog par badhya traffic lene ke liye image ko SEO friendly bana bahut hi jaruri hota hai. Jab search engine hamare blog ke post ko index karta hai to vo srif blog ki writing ko focus nahi karta hai, balke search engine sab se pahle hamare site ki backlinks tags or images ko bahut jada focus karta hai.

Image Ko SEO Friendly Kaise Banaye, WordPress Or Blogger Me

Image website & blog ke liye bahut jaruri hote hai. visitors ko photos dekh kar samajhne me aasani hota hai or image se site ka look or better hojata hai.

Blog me photo use karne se jisko site ki language nahi malum hai par vo bhi isse dekh kar post follow kar sakta hai. Or sab se achhi bat ye hai ke 1000 shabd ka 1 image hota hai jisse hame content bhi jada nahi likhna parta hai.

Website me to images har koi add karta hai. par hum jo image blog ke post me use karte hai wo SEO Friendly hai ya nahi. Isko janna bahut jaruri hai.

Jab hamare blog ka image SEO friendly hoga to Search engine ko aasani hoga ke is post me jo article hai vo perfect hai. isiliye search engine post writing se jada post images ko focus karta hai. Or jab blog ka photo seo friendly rahega to hamare blog par bahut jald traffic aana chalu hojayega.

To dosto ab aap sajah hi gaye honge ke blog me image ko seo friendly bana ketna jaruri hota hai. ab mai apne topic par chalta hu or aapko bata hu ke photo me kya kya kare jisse hamare website kar har image seo friendly ho jaye. Uske liye bus aap ko niche diye gaye setup ko follow kare.

Blogger Image Ko SEO Friendly Kaise Banaye

Images ko jabtak search engine friendly nahi banayenge tab tak aapke blog ka seo complete nahi hoga. Kyu ke jab koi Google me Image Search karega to hamare blog ki image bhi aani chahiye.

Google srif Images se samaj nahi pata ki image me kya hai or ye kis bare me hai. Isliye jab koi search kartea hai to hamare site ki image search me nahi aapati hai.

Blogger post me image upload karne ke bad aapke images ko SEO Friendly banane ke liye kuch important editing karni parti hai. jiske bare me aapko details ke sath btane ki koshish karunga.

#1: Rename Image

Blogger blog ke Post me images upload karne se pahle aap us photo ko ek name de jo aap ke article se related hai. Agar name nahi bhi dete hai to usko aap bad me bhi change kar sakte hai. SEO ke liye ye sabse important hota hai.

bina name ki image se search engine ko samajhne me bahut problem hota hai. jisse aapki post search result me jaldi show nahi hoti hai.

how to make SEO Friendly images

#2: Alt Tags & Title Names

Alt tags or title name bahut hi impotent hai images ko search me aane ke liye. Jab ham post me photo upload karte hai to uske ke bad images ko optimize karna bahut jaruri hota hai.

bina optimize ke images dalne ka koi faeda nahi hota hai, jab aap aapne article ke hisab se koi photo post me add ki hai par usme alt tag and title name add nahi kiya to search engine or visitors dono ko use pahchanne me problem hogi.

Blogger blog me images customize kare

  1. Proprieties: Jab aap blogger par photo upland karte hai to uske bad aap us photo par click karenge to aapke samne customize ka option show hoga bas aapko Proprieties Par click karna hai.
  2. Title text: Proprieties par click karne ke bad title text me Name likha jisse jab bhi koi visitors is post ko padega to image par mouse lane par ye name show hoga.
  3. Alt text: me aapko photo ke bare me likhna hai, jisse search engine image par focus karte hi jan sake ki ye kon sa hai.
  4. OK : Dono dalne ke bad last me aapko ok button par click kar ke isse save kar le.

images ko seo Friendly kaise banaye

WordPress Me Images ko SEO Friendly Kaise Banaye ?

WordPress me image ko customize karna bahut hi asan hai jab add media me photo upload karte hai to aapko left site me sare option mil jate hai. jisme aap aasani se alt tag or title name dal sakte hai.

  1. Title: isme aap ko photo ka name likhna hai jiske bare me image ho.
  2. Caption: isme chahe to aap caption dal sakte hai ya fir isse khali hi rane de.
  3. Alt Text: isme me aapko photo ke bare me likhna hai, jisse search engine image par focus karte hi samajh sake ki ye kis chage ke bare me hai.

Wordpress Alt Tags and Title Names
#3: Add Caption

Blogger me caption add karna jaruri nahi hai par agar aap chahe to image me caption add kar sakte hai. paragraph likhne ki jagah mage caption likhna acha rahta hai. isse SEO par koi fark nahi padta but agar aap image ke bare me visitors ko btana chahte hai to aap photo me caption add kar sakte hai.

Blogsport blogger SEO Friendly image kaise banate hai
#4 : Image Size & Format

Image ka format kya hai usse search me koi fark nahi padta par ye bhi jaruri hai.. Image ka size jitna ho sake kam hi hona chaiye kuy ki agar aap jada size ka images use karenge to aap ki site ko load hone me bahut time lega.

Jiske karan aap ki site rank par fark pad sakta hai. kyu ke aapke blog par jobhi visitors ayenge to page open hone me time laga to vo isse chad kar kisi or site pe cchale jaynge.

Image ke jo mainly sabse jada use hone wale format hai Png, Jpg, and Gif. Aap koi bhi use kare par dekhe sabse kam kis format ki memory rhati hai. aap ko JPG format use karna sabse behtar rahega.

agar aap image ka size px me janna chahte ho to mai aapse kahunga ki photo ka size 650×350 se jyada nahi hona chahiye. or 50 se 70 KB ke andar hona chahiye.

SEO Friendly image banane ka tarika

To dosto mujhe Ummid hai ke aapko ye post pasand aaya hoga. or aap ke liye images ko SEO friendly banana easy hoga hoga. agar aap iske bare me koi sawal puchna chahte hai to aap  niche comment me apne sawal likh sakte hai. or isse apne dosto se share karna na bhule.?

Ye bhi Padhe….

Related Articles

6 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button