Blogger Blog Me CSS Code Ko Edit Add Kaise Kare

Koi bhi blog ho ya website sab me CSS coding ka bahut bara roll rahta hai chahe wo wordpress website ho blogsport blogger ho ya or koi website bana ho sabme CSS ka use kiya jata hai. CSS yani Cascading Style Sheets ye ek Website ki language hoti hai jo ke Page ko design karne ke liye codding ki jati hai.

Jab website ke HTML Page banate hai to HTML me design or effect add karne ke liye CSS code ka use hota hai. Isko Style Sheet bhi khate hai. To dosto is post me mai aap ko batane jaraha hun ke blogsport blogger me CSS code ko edit or add kaise karna hai.

Blogger Blog Me CSS Code Ko Edit Add Kaise Kare

Blog website ko banane ke liye Sabse jada jo coding Languages use kiye jata hai vo hai HTML, JavaScript or CSS ye aapko har blog me milega.

Blogger me CSS Code Add or Edit Kyu karte Hai ?

Blogsport blogger ke jo template hote hai usme pahle se hi page ka pura design hua rahta hai. HTML, JavaScript or CSS language me.

Par jab hame koi extra function ya kuch chijo ko change kar hota hai to hame blog ke style sheet ko edit karna parta hai. kyu ke hame apne hisab se blog ka template chahiye hota hai. pahle se jo template bana hua hota hai vo deployment designer apne hisab se banate hai.

Ham usme CSS Code ko Add or edit karke usko khuch codding change karte hai take blog ka hamare hisab se page show ho. or kase uski madad se apne blog ko design kar sakte hai.

To dosto ab to aap samajh hi gaye honge ki hame akhir kyu CSS code ko add or edit karna parta hai.

CSS Code ko Blogger Blog me Kaise Add Kare

Blogger me CSS code ko add karna bahut asan hai aap chahe to css codding ko blogsport me 3 tarike use kar sakte hai. Or ham yaha tino tarika ke bare me ek ek kar ke jange. Bus uske liye aapko niche diye gaye step ko follow karna hai.

Step 1: Customize setting me add kare CSS Code ko.

Blogger me Customize kar ke CSS code add karna bahut aasan hai iski madad se aap asani se apne blog ko style kar sakte hai. or isme agar codding me aapse koi galti bhi hojayegi to koi problem nahi hoga.

Blogger me login hone ke bad simple Dashboard >> Theme >> Customise par Click kare.

CSS Code Add karne ke liye template ke customise section me jaye

Ab jo aapke samne page open hoga usme aapko Advanced >> Add CSS par click karna hai.

Uske bad add custom css bux me aapko jo style code dalna hai vo yaha dal sakte hai. uske bad last me apply to blog button par click karke save kar lena hai.

blogger advance Add Custom CSS code

Note: Add custom CSS me style code dalne ke bad last me ; laga na hai uske bad hi save karna hai. aap is trah code likh sakte hai. maan ke chalye hame table me background color add karna hai to uske liye aise style code likhna hai.

table { background-color: #cccccc;}

Custom code editor me hame <style></style> lagane ki jarurat nahi parti hai aap simple SCC layout code dal kar usme {} ke andar or last me ; yani css code ko start or close karne ke liye {} or ek sentence ko band karne ke liye ; lagana jaruri hai.

table {
border-bottom: 2px solid #F00;
background-color: #CCC;
}

Step 2: Blogger ke Template Edite HTML me CSS ko Add kareYe tarika apna kar blogger me custom code add kar sakte hai. ab ham janege 2 tarika jisse template ko edit bhi kar sakte hai.

Blogger Template edit add karne ke liye aapko Dashboard >> Template >> Edit Template button par click kare.

blogger template edit karne ke liye Edit HTML par click kare

Edit template button par click karne ke bad aapke samne jo Editor open hoga usme kahi par bhi Click kare uske bad Ctrl+F keyboard ka Button dabaye. uske bad top right site me jo search box aayega usme ]]></b:skin> type karke Enter button par click kare.

]]></b:skin>

Enter button dabane ke baad aap ke samne pile color me ye code highlight hojayega. Uske baad aap jo bhi  CSS style Code hai vo ]]></b:skin> ke upar daalkar Save Template button par click karke save karde.

blogger template Edit html par click karke CSS Code add kare

Note: CSS code me agar koi galti hoti hai to save karne ke samai error show hoga aapne jo code dala hai usme ye check kar lena hai ke sab me starting tag and closing tag hai ke nahi. Jaise <style></style> <> ye starting tag hai or </> iske andar / ajayega to ye closing tag hojayega. {;}[]()

Step 3: HTML/Java Script Widget me CSS code ko add kare

Aap widget me jakar HTML/ Java Script ke andar CSS or HTML code ko add kar sakte hai ye bhi bahut aasan tarika hai.

Also Read:

Uke liye aapko apne Dashboard me >> Layout >> Add Gadget par clck karna hai. Jab aap Layout section me jaenge to aapke blog ka pura page open hojayega or gadget ka bahut sara option milega jaise header, footer sidebar home page, jaha par bhi aapko style ya html code dalna hai. Add a Gadget button par click karenge to new popup me ek window open hoga. usme aapko HTML/Java Scrip select karna hai.

Blogger Layout Add Gadget

HTML/JavaScript select karne ke bad ab aapke samne Configure HTML/JavaScript ka page khul jayega. Title me kuch likhne ki jarurat nahi hai. Jo bhi likhna hai vo Content me hi likhna hai. Uske bad last me Save button par click kar ke save karlena hai.

Blogger CSS code ko HTML JavaScript medale

Note: Content me jobhi CSS ya HTML code dalenge to yaha aapko CSS ke liye starting me <style> or last me</style> or HTML ke liye pahle <table> uske bad last me </table> ke ander hi likhna hai.

 <style>
table {
width:100%;
margin-top: 10px;
background-color: #cccccc;
}
</style>
<table>
<tr><td>table ke andar agar kuch likhna hai to aise likhe</td>
</tr>
</table>

Or Agar aapke blog me Phele se hi koi HTML/JavaScript widget add hai to usko edit karke apna CSS Code uske last me add karle, Jisse aapke blog me extra widget add karne ki jarurat nahi padegi.

Blogger Me CSS Code ko Edit Kaise Kare

Blogsport me CSS coding ko Edit karna to new blogger ke liye asan nahi hai par aap thodasa dimag laga kar or dhyan dekar HTML or CSS code ko bhi aram se Edit kar sakte hai. Par isme aap srif Edit HTML template section me ja kar hi kar sakte hai. Jo 3 tarika upar bataya gaya hai CSS Code ko add karne ka usme se srif 2 number tarika hai use kar sakte hai.

To chalye dosto ab aap ye bhi jan lijye ke blogger me HTML CSS code ko kaise Edit karte hai. Uske liye aap ko  Dashboard me Template >> Edit Template button par click karna hai.

Main maan ke chalta hu ke aap Edit Template section me pahunch gaye hai or hame Post Layout ka background color change karna hai.

Sabse pahle aap apne mouse ko bichme kahi par bhi click kare uske bad apne keyboard button ka Crtl + F key dabaye uske bad top me ek search box khulega yaha aapko jobhi changing karna hai. vo search box me likh kar keyboard ka Enter button dabaye. jab Enter button parses karege to aap jobhi word type kiya tha waha par pahunch jaenge.

Maan ke chalye hame body ka background color change karna hai to maine type kiya hai “CSS Post Layout” ab main CSS post layout style section me pahunch gaya hu yaha hame background color ko Edit karna hai to mai body {background:#eeeeee; ko badal diya hai.

Blogger Me CSS Code ko Edit Kaise Kare

Note: Aap koi bhi coding ko edit or remove kar sakte hai bus uske liye aapko us coding ka naam malum hona chahiye. Or aap ko ye dhyan dena hai ke koi bhi tag galat nahi hona chahiye.

To dosto ab to aap samjh hi gaye hoge ke blogger me CSS code ko kaise Edit or Add karte hai. Agar aapko koi problem horaha hai to coment kar ke puchh sakte hai.

Related Articles

9 Comments

  1. Hello sir kisi blogger site me kuchh dusra type ka css add hota he background me wo kaise karte he. Example: Kisi website me 1 white background hota he or usi me kuchh dusra type ka background hota he. Isko kaise add kare

  2. Kisi kisi blog me mene dekha he uske post me extra background add hota he wo kaise kare. (Kisi ke blogger me book me text likha hota he)

    1. Wo table ya pre tags ke Ander kuch words likh kar uska background colour change karte hai
      Aap post ke HTML section me jakar table ya pre tags me Jo words likhna chahte hai wo likh le.
      Aapeke template me table tag ka pahle se hi style hoga aap chahe to usse style.css option me jakar Apne hisab se kar sakte hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button