Youtube Videos Ko Monetize And Adsense Se Connect Kaise Kare

Youtube Videos Ko Monetize or Adsense Se Connect Kaise Kare. Online paise kamane ke liye YouTube ek bahut beadhya platform jis par videos upload karke asani se money earn kiya jata hai.

Youtube se money earning karna koi jada mushkil kam nahi hai aap bhi video bana kar YouTube par upload kar ke paisa kama sakte hai.

Iske liye bas aapko youtube par apni gmail ID se sign in karna hota hai or video upload karne ke liye ek channel create karna hota hai.

or jab kai sare video upload hojata hai to uske bad  Apni videos ko monetize kar ne ke liye Google Adsense se connect karna parta hai. Uske bad jab bhi koi visitor aapki video par show hone wale ads par click karega to aapki earning hogi.

How To Monetize Youtube Video With AdSense

Youtube se paise kaise kamaye iske bare me main already pahle sehi bata chuka hun adhik jankari ke liye aap meri ye post follow kar sakte hai jis par aapko puri jankari details ke shat milegi.

Most read… Youtube Se Paise Kaise Kamaye Full guide in Hindi

Is post me mai aapko YouTube videos ko monetize karne or YouTube channel ko google  AdSense se connect karne ke bare me step by step btane ja raha hu.

Youtube video ko monetize or adsense se connect karne ke liye sabse pahle aapko youtube par apna khud ka ek channel bana hoga jis par video upload kar ke usee monetize karna hai jisse aapka earning ho sake.

Youtube par channel kaise create karte hai or video upload kaise karte hai iske bare me bhi pure details ke sath bata cuka hun iske liye aap ye post follow kar sakte hai.

Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode

To dosto ab mai apne topic par chalta hu or aapko batata hun ke youtube video ko monetize kaise kare or adsense se connect kaise kare. Bas iske liye aapko niche diye gaye kuch simple setuup ko follow karna hai.

Note:- India me Google adsense account verify karna thoda mushkil hota hai. Isliye aap jab bhi youtube par channel banaye ya adsense se connect kare to iske liye aap bilkul new fresh gmail id create karke channel banaye or bena video upload kiye hue adsense account ke liye apply karde.

Kyuki maine ek bar apne 4 sal purane gmail account se youtube par channel bana kar 4-5 video upload kiya tha or 1 month bad video ko monetize kark adsense se connect kiya par mera adsense account verify nahi ho paya or reject hoga.

Ye bhi padhe..

  1. Website ke liye google adsense account kaise banaye
  2. Google AdSense Par Ad Units Create Kaise Kare

Ab mai manke chalta hun ke aapne youtube par channel bana liye hai or 2-4 video bhi upload kar liye hai. or ab aap isse paise kamana chahte hai to mai aapko bta deta hun ke is video se kamayi kaise hoti hai or iske liye aapko kya karna hai.

  1. Enable your channel for monetization
  2. Connect your channel an AdSense account

Mai aapko dono ke bare me vistar se btaunga aap chahe to aap abhi mere sath sath apne videos ko monetize or AdSense se connect kar sakte hai.

1. Youtube Videos Ko Monetize Kaise Kare?

YouTube ko monetize karna bahut hi asan hai iske liye aap do tarike apna sakte hai mai dono tarika ise liye batane jaraha hun youtube ke features me kafi changes ho gaye hai. So main yaha aapko old and new dono step bta raha hu.

New Method se Video monetize kare:

  1. Sabse pahle aap YouTube.com par jaye or apne gmail id se login karle
  2. Top sidebar me right side par apne account wale icon par click kare.
  3. Account icon ke bad Creator Studio par click kare.
  4. Ab left sidebar me Channel par click kare.
  5. Channel ke bad Status and features par click kare.
  6. Under monetization, Enable par click kare. (Ye option aapko tabhi dikhayi dekha jab aap advanced option me ja kar country change karnege.)

Youtube video ko monetize kaise kare new method
Old Method Se video onetize kare:

Old method me bhi koi jada frak nahi hai bas iske liye aapko 1-2 setup jada follow karne honge.

Step 1 Going My channel video manager:

  1. Left side me menu icon par click kare.
  2. My channel par click kare.
  3. Uske bad Ab video manager par click kare.

My channel

Step 2 Video views details :

Video Manager par click karte hi ek new page khulegi jisme aapke videos ki list hogi par isme video monetize $ ka icone nahi show ho raha hoga srif aapke video ka views show hoga .

Ye screenshot dekh sakte hai. Yaha par ek green color me dollar ka icon show hota hai jo video monetize karne ke bad ata hai.

Youtube video befor Monetization

Step 3 change country location :

Monetizetion enable karne ke liye sabse pahle aap o advanced option me jakar country change karna hai kyuki india country select rahne par monetizetion enable ka option show nahi hota hai india ki jagah (United states) ya (United king) karna hai.

  1. left sidebar me account ke Channel option par click kare.
  2. Advanced par click kare.
  3. Country me India ki jagah United states select kare.
  4. Page ko thda scroll karke niche jaye or Save par click karke save karle.

Advanced option change country

Step 4 Enable Monetizetion:

  1. Ab ko channel me Status and Features par click karna hai.
  2. Or aap monetizetion me enable ka option dekh sakte hai Enable par click karna hai.

Enable Monetization on Youtube

Enable par click karte bhi ab aap next page par pahunch jayenge yaha aapko jada kuch nahi karna hai bas get started par click kar dena hai.

Get Started Monetization

 

Ab ek new pop up window khulegi usme YouTube partner program policy ke bare me btayajayega. Aap chahe to Policy padh sakte hai  then sabhi terms par √ tick marck karke I accept par click kare.

Youtube partner program terms

Ab firse ek new popup  window khulega ji me aapse kaha yajega ke monetizetion enable karne ke liye Adsense account setup kare. then aapko Set up adsense account button par click karna hai.

Enable your account for Monetization

2. Youtube Channel Ko Adsense Account Se Kaise Connect kare?

Youtube channel ko AdSense account se connect karne ke liye aapke pas pahle se AdSense account hona jaruri nahi hai bas aapko apne gmail id se log in hojana hai.

Aap jab YouTube ko AdSense se connect karoge to aapka hosted AdSense account ban jayega. Jis se aap sirf apne YouTube videos par hi ads laga sakte hai. to chaliye ab ham jante hai  youtube ko adsense se kaise jodte hai paise kamane ke liye.

Step 1: Log in adsense account

Set up adsense account par click karne ke bad ab aap next screen me adsense page par pahunch jayege ya aapko welcome to adsense ka message show hoga. ya bas aapko sign in  par click karna hai.

connect YouTube channel to AdSense account

Step 2: select language:

Sign in par click karne ke bad ab aap nex page par pahunch jayenge yaha aap my website me apna youtube channel link dekh sakte hai. Bas aapko apna language select karke Save and continue par click karna hai. language me English hi rahne de

select language Save and continue

Ab aapke samne AdSense account ke ek information window khulegi jisme aapke address ke bare me pucha jayega. Isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai.

kyuki aapke btaye address par ek post aati hai usme aapke address verification pin honge jo aapko google AdSense account me dal kar apna pata verify karna hai. Address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.

Agar aap AdSense PIN ke bare me or janna chahate hai to Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai post pade.

Step 3 Contact information :

Ab jo page khulega wo AdSense sign up forum hoga isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai.

  1. Yaha par aap apna country select kare.
  2. Apne country ka time zone set kare. India ka time zone +05:30 hai.
  3. Account type me individual select kare. aap business karna chahate hai to Business select kare.
  4. Apna naam likhe. agar aap company select kiya hai to company naam se aapka bank account hona chahiye.
  5. Apna sahi pata yaha par enter kare. dhyan rahe ye sahi sahi bharna hai.
  6. Aapka state konsa hai wo select kare.
  7. Post office ka pin code enter kare. (pin code aapko usi jagahka dena hai jaha aap rahte hai.
  8. yaha par aapko apna pura naam bharna hai. aap jo bhi chahe bhar sakte hai. wese apna asali wala naam jyada sahi rahta hai.
  9. apne mobile number enter kare. (jis par adsance ki taraf se verification code ayega vo code dal kar mobile number verify karna hai is liye sahi number dale.)
  10. Aap jis id se login hai vo auto lelega email id change karna chahe to change kar sakte hai.
  11.  aap kis liye adsense account bana rahe hai wo select kare. agar aap blog ke liye adsense account bana rahe ho to online forum or blog select kare.
  12. yaha par sabhi jagah yes par √ tick mark kar de.
  13. ab ek bar apni sari jankari check kar le taki koi galti na ho. sabkuch sahi dala hai to  Submit My Application par click kare.

Adsense sign up forum

step 4: send verification code to your mobile

Apna pura details sahi sahi dal ka submit my application par click karne ke bad ab aapko apna mobile number verify karna hai .

  1. ek bar apna mobile number check karle sahi hai ke nahi.
  2. Text message (SMS) ko select karne de.
  3. Send verification code par click kare.

Verify phone number

Step 5: Enter mobile verification code number

Ab aap apna mobile check kare apke number pe google ke rtaf se 6 number ka verification code aya hoga code dal kar verify par click kare.

Enter mobile verification code number

Step 6 Adsense terms and condition:

Mobile number verify karne ke bad ab aapko adsense terms and conditions ko padh kar yes i have read and accept the condition ko tick mar karke Accept par click karna hai.

Adsense terms and conditions

Ab aap jaise hi Submit My Application par click karenge to kuch second me aap wapis apne YouTube account par pahuch jaoge or aapke samne same aysi window khulegi.

Your AdSense application has been submitted

Yaha par ek message show hoga jisme likha hoga “Your AdSense application has been submitted and is being reviewed. You will revive an email regarding the status of your application within about a week.” mean aapka AdSense account application submit ho gaya hai

Aur aap ke email address par adsense ke traf se mail aya huga jisme likha hoga Hello yourname, The AdSense account linked to your YouTube channel your channel was successfully changed.

All future payments will be processed through this new AdSense account. Or aapka Adsense id bhi hoga par abhi aapka account status pending me hoga.

AdSense account linked to your YouTube channel

ab google aapke account ka review karega or review complete ho jane par aapka AdSense account approved hoga ya nahi.

iske bare me aapke email address par AdSense ka ek mail aa jayega. Isme ek week ka time tak lag sakta hai. jab aapka adsense account full approve hojayega to aapke mail par google adsense ke taraf seis type ka message ayega “Congratulations Your account is now fully approved.”

Your account is now fully approved.

 

Ab aapka YouTube account AdSense account se jud chuka hai. Ab jab bhi koi aapke video ko dekhega to us video par AdSense le ads show honga or jab koi un ads par click karega to aapki income hogi.

Jab aapke adsense account me $10 dollar earning hojayegi to adsense aapke home address par account verify karne ke liye pin code bhejega jisse aapko dal kar account verify karna hai.

Aur jab $100 earning hojae to apne bank par payment lene ke liye bank account add karna hai. iske liye aap meri ye post follow kar sakte hai.

Agar aapne mere sath apna YouTube account AdSense se connect nahi kiya hai to der mat kijiye or jaldi se apne account ko AdSense se jod lijiye or paise kamane shuru kar dijiye.

Agar aapko is process ko follow karne me kahi par koi problem aaye to aap humse comment me is bare me apne sawal puch sakte hai.

I hope aapko ye post pasand aayegi or aapko YouTube se paise money earn karne ke bare me achhi jankari milegi. So plz ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

Related Articles

3 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button