Play Store Account Kaise Banaye – Gmail id Banane Ka Tarika

Android mobile me apps install karne ke liye play store ka use kiye jata hai,  Google play store hi ek aisi jagah hai jaha par asani se har type ke apps or games free or paid sab mil jate hai. yani agar aap apne android mobile me koi bhi software, apps install karna chahte hai to uske liye aapko play store me jakar hi install karna parta hai.

Par jab aap kisi apps ko install karne ke liye play store open karte hai to usme add a google account ka option aata hai. Is article me mai aapko batane jara hun ke play store par account kaise banaye, play store ki id banane ka tarika Hindi Urdu me.

how to create google play store account in hindi

Play store ek aisi free android service hai jis par har type ke mobile apps asani se mil jate hai. ek tarah se aap isse apps market bhi kah sakte hai. Aur isme unlimited apps available hai.

aapko apne mobile ke liye jis type ke android apps, software chahiye sab asani se mil jaenge, Aapke dimag me jo bhi name ata hai usko google play me search kar ke dhekh sakte hai us topic par koi na koi apps mil hi jaenge.

Waise internet par or bhi bahut sari sites mojood hai jaha se aap aasani se kisi bhi application ka apk file download karke apne android phone me apps install kar sakte hai.

Par woh apps aapke mobile version ke hisab se sahi nahi hoti hai jiske wajah se application chalane me aapko bahut se problems ka samna karna par sakte hai.

Aur jab aap play store se apne phone me jo bhi apps install karte hai woh aapke mobile ke version ke hisab se hi hota hai. Islye vo application chalane me koi problem nahi hoti hai.

Play Store Account Kaise Banaye – Gmail id Banane Ka Tarika

Play store google company ke dwara banaya gaya Android application platform hai, Aur google ki kas bat ye hai ke google ki kisi bhi service ko use karne ke liye alag se account banane ki jarurat nahi hoti hai. Gmail id use kar ke aap play me login kar sakte hai.

Kahne ka matlab ye hai ke aap gmail account se google ki kisi bhi service me log in kar sakte hai. Agar aapne ne pahle se hi gmail id bana rakha hai to aapko google play store me new account id banane ki jarurat nahi hai. Bas aap apne purane wale gmail id ko dal kar login kar lena hai.

Waise maine Computer loptop user ke liye google par “email id banane ka tarika” bata cuka hu aap chahe to vo article follow kar sakte hai.

Most read.. Google Par Email Id Gmail Account Kaise Banate Hai puri jankari

Dar asal play store par account bana yani gmail id bana hi hota hai. New visitor ko ye sab bate malum nahi hoti hai ke play store account kya hai, google account kya hai, or email account kya hai etc..

Isliye vo google par search karte rahte hai, play store ki id kaise banaye, play store par account kaise banaye, gmail id banane ka tarika, gmail account banana hai, google account banane ka tarika bataye, etc.

Play Store Par Account Kaise Banaye

To dosto ab main apne topic par chalta hu or aapko bata hun ke android mobile me play store account kaise banaye, yani gmail id kaise banaye, Ye bana bahut hi asan hai iske liye bas aap ko niche diye gaye kuch simple setup follow kar ke asani se new gmail id bana sakte hai.

Step 1: Open play store application

Sabse pahle aap apne android mobile phone me menu par click karke apps application section me jaye or play store icon par anguli press karke isse open kare. Play store application aapke home screen par bhi ho sakta hai.

Step 2: Add a google account

Ab aap next screen add a google account section me pahunch jayege yaha aapko likha hua milega “do you want to add an existing account or create a new one?

Yani play store aapse bolraha hai ke aapke pass pahle se google yani gmail account hai to existing option par click karke isme log in karle. or agar aapke pass gmail id nahi hai to new par click karke new gmail id banale. then gmail id banane ke liye New press kare.

Add a google account

Step 3: Enter Your name

New option dabane ke bad ab next screen me aapko apna name dalna hai jab aap kisi ko mail send karenge or gmail google google+ etc. sab me aapka yahi name sho hoga.

    1. first name dale.
    2. last name dale.
    3. Niche Right me  jo arrow hai daba kar next page par jaye

New gmail id banane ke liye apna name dale

Step 4: create gmail id username

Apna first name or last name dalne ke bad ab aapko ya par gmail id banana hai yani aap sij name ka id banana chahte hai jaise “onlinejaankari@gmail.com” isme se srif “onlinejankari” dalna hai baki @gmail.com apne se lelega.

  1. gmail id username dale
  2. Niche Right arrow par click kare

choose gmail id username

Username banane me Agar koi error ata hai. to username me aisa naam dalna hai jo phele se  kisi ka na ho. Misal ke tour par aapka naam hai Ahmad khan to ahmadkhan user name me dalne par error aaye to usme kuch number laga de jaise ahmadkhan123.

Touch for suggestions option par click karke dekh sakte hai jis name ka available hoga usme show hora hoga usse select karsakte hai agar vo pasand nahi aye to dusra koi name word dal kar try anagin kar ke check kar sakte hai available hai ke nahi.

change username

Step 5: Create password

Apna email id choose karne ke bad ab next screen me aapko password dalna hai password thoda strong hona chahye or aisa hona chahye jisi aap asani se yad rakh sake, or dusra koi pata nahi kar sake.

password me Number 12345 Sabd (ABCabc) ko milakar aapko jo samajh me aye vo password rakh sakte hai. or yad rakhne ke kiye password ko kahi par likh le. or ek bat ka dheyan rakhe ke apna mobile number ko password nahi banaye.

  1. Upar niche dono jagah same password dale. minimum 8 akhchar
  2. Niche Right arrow par click kare

create gmail password

Step 6: Recovery information

Ab aapko apna Recovery information dalna hai ye isliye dala jata hai ke agar aap apna password bhool gaye yad karne ki koshis karli par password yad nahi aya to.

forget password option ka use kiya jata hai jisme Recovery information dal kar dobara se new password bana kar apne google account me log in kar sakte hai.

  1. Security question select kare. isme 2-3 option hoga jo aapko pasand aye vo select kare. jaise first teacher’s name yani aapke teacher ka kya naam hai.
  2. yaha par answer likhe
  3. Agar aapke pass ya kisi dost ke pass koi dura email address hai to vo dale or agar nahi hai to isse khali chhod de.
  4. Niche   arrow par click kare

Recovery information

Step 7: Finish account

Ab aapka account ban gaya hai bas ek do kam or karne hai.

  1. Web history chahte hai to Turn on web history ko √ tick mark kare.
  2. email par play stor ki taf se new chahte hai isse tick mark kare.
  3. Niche me is   arrow par click kare

Finish account

Step 8: Enter captcha code

yaha par jo captch code show horaha hai same usko dal kar next page par jaye

Enter captcha code

Step 9: Play store wallet

Agar aap play store mai paise add karna chahte hai to setup credit card par click kar ke paise add kar sakte hai. Not now par click kare.

google play store wallet

Agar aap google account me apps ka back up rakhna chahte hai to isse tick mark kar ke next kare.

google account back up

Finch setup

Is trah aapne successfully play store se gmail account bana liye hai bas yahapar aapko play store use karne ke liye uske terms of service ko accept karna hai

google play terms of service

Final Words: So friends dekha aapne play store ki id banana kitna aasan hai, Aap yeh tarika kisi bhi android mobile me apna sakte hai.

I hop aapko ye article pasand aya hoga agar aapka is article se related koi sawal hai to aap comment box me likh kar puch sakte hai.

Or aapko intent se related koi bhi jankari chahye to aap www.onlinejankari.net website par asakte hai ye blog appke liye hi hai. yaha ham internet se paise kaise kamaye, computer, social media, etc ki jankari hindi or urdu me dalte hai.

 

Related Articles

4 Comments

  1. apne heading background keliye jo symbol caode use kiya hai kiya app mujhe wo code mujhe email par send karenge.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button