Google Par Email Id Gmail Account Kaise Banate Hai
Create new email account in Hindi, Hell Dosto, kya aap Google par aapna Gmail Account yani new email id banana chahte hai. to is post ko pura padhe is me mai aapko, email id banane ka tarika batane jaraha hun. Jise jan kar aap asani se aap apne liye google account email address khole sakte hai.
Email address kya hota hai?
Email address kya hota hai ye apki ek virtual ID hoti hai jiski madad se aap kisi dusre ki Email ID par message send kar sakte hai, Internet ke thoro. Sam samajhye jistarah mobile me ksi dusre weyakti ko Message bhejte hai usi tarah ye bhi hota hai bas iske liye aap ko internet ki jaroorat hoti hai.
Jo Email ID hota hai usme hamara username hota hai or akhri me jis site par hamne email id banani hai. uski link hoti hai or dono ke bich me @(at the rate) ka sign hota hai.
Email address aap kisi bhi site par bana sakte hai jaise Yahoo, Microsoft ya GMail Par. is atricle me mai aapko Gmail Par ID banane ka tarika batane jaraha hun. kyu ki ye Google ki hi Service hai jiski wajah se iske or bhi bahut sare faide hote hai.
- Apne dosto se jurne ke liye Facebook Par Account Kaise Banaye
- Twitter Par new Account Kaise Banaye full guide hindi me
Google Par Email Id Gmail Account Kaise Banate Hai Step by Step Puri Jankari
Dar asal Gmail Google ki hi ek free service hai isliye Gmail Account ko Google Account bhi khate hai. Gmail Par account banana koi jada muskil kam nahi hai. Aap simple tarika apna kar google yani gmail account create kar sakte hai.
Bas iske liye aap ko niche bataye jarahe tarika ko follow karna hai. take aap ko gmail id banane me koi problem naho sake. To chalye jante hai ke google par email id banane ka tarika pure details ke sath step by step in Hindi/Urdu me.
Step 1:
Google par email account kholne ke liye Sabse phele aap Google ki official site www.Gmail.com par visit kare.
Step 2:
Jaise hi aap apne browser me gmail.com open karenge to aapke samne kuch is tarah ka page open hoga usme top and center me likha hua hoga Create An Account bas aap ko “Create An Account” par click karna hai.
Agar aapke browser me koi aur gmail id se login hai to aapke samne kuch is tarah ka page open hoga,yaha bas aapko “Use another account” par click karna hai.
Use another account par click karne ke bad next page me aapko “More Options” link par click karke “Create account” button par click karna hai.
Step 3:
Ab aap ke samne gmail sign up from open ho jayega jisme aapko apna Name, new email id, password etc.. dal kar next karna hai.
- Name: Yaha Apna Pahla name dale.
- Apna last name yani akhri naam dale.
- Choose your username: aap ko jis name ka email address bana hai vo id dale,(for example:- onlinejankari).
- Aapne jo apna email address dala hao vo agar pahle se kisi aur ka hoga to red color ka worming ayega koi dusra name choose karna hai. ya apne naam ke sath “onlinejankari123” to aap ka id ban sakta hai. aur niche me bahut sara jo id show horaha hai usme se koi pasand aye to usse bhi chose kar sakte hai.
- Create a password: Yaha aap ko apna password dalne hai jo email me login karte samai dalna hota hai.
- Confirm your password: do bara same password dale.
- Birthday: apna date of birth yani janam din dale (Month, Date and year select kare).
- Gender: Mard hai to Male aur Aourat hai to Female select kare.
- Mobile Phone: Apna Mobile number dale.
- Your current email address: Agar aapke pass pahle se koi email id hai to vo dale, nahi hai to mera email id dal sakte hai ([email protected]) ye is liye dala jata hai ke agar aap password bhool gaye to isse Recovery kar sakte hai. ya fir khali hi rahne de.
- Location: India select kare.
- sab sahi bharne ke bad last me Niche ki taraf Next Step button par click kare.
Username banane me Agar koi error ata hai. to username me aisa naam bharna hai jo phele kisi ka na ho. Misal ke tour par aapka naam Raju hai to aap raju user name me bharne par error aaye to usme kuch number laga de jaise raju123.
Password aesahona chaiye jo aapko aasani se yaad rahe or dusra koi pata na kar paye. password me Number (12345) latter (ABCabc) or special cerector (@#$%!) ko milakar jo aap chahe bo password rakh sakte hai.
Step 4:
email sign up from me Apna pura details bhar kar next step par click karne ke bad ab aap ke samne is tarah ka page khulega. yaha bas aap page ko thda sa niche le jaye aur “I Agree” button par click kare.
Step 5:
Terms and condition ko I AGREE karne ke bad aap ke samne Welcome page ajayega aur yaha par aap jo mail id banaye hai vo bhi likha hua hoga bas aap ko Continue to Gmail ki button par click karna hai.
Step 6:
Continue to gmail karne ke bad Aap ka email account ready hogaya hai. aur aap apne google account ke Dashboard me pahunch ne hi wale hai. bas aap ko Next button par click karna hai ye options 3 ya 4 bar ayega Next Next karte rahna hai.
Step 7:
To akhir aap apne gmail account ke Dashboard me pahunch hi gaye. aap ke samne Google yani gmail ka Dashboard agaya hai.
Congratulation dosto aapne successfully google par email id banali hai. To dekha dosto aapne ketne asani se apna google account kaise khole ke bare me jan liya hai.
- ZohoMail Par Free Professional Business Email Address Kaise Banaye
- Website Ke Liye Professional Custom Email Address Kaise Banaye
Google Gmail Account Me logout kaise karte hai.
Agar aap apne id ko logout karna chahte hai to upar me aap ke name gol sa icon hoga us pe click kar ke right site pe Sigh out ka options hoga uspe click kar ke aap apne email ko logout kar sakte hai.
ye karna koi jaroori nahi par agar aap kisi aur ke pass account banaye hai to jaroor account ko logout sign out karlena chahiye.
Apne Gmail id se Dusre id par Email Message kaise Send Kare
Aapne to successfully google par new email id bana liya hai. ab jante hai ke apne dosto ko email message kaise send kiya jatahai.
- Dosto ko Email bhejne ke liye left bar me COMPOSE ke button par click kare. ab aap ke samne ek right site me new window khulega.
- jisko email bhejna hai uska id dale.
- kunse subject se bhejna chahte dale.
- yaha par jo message likhna hai likhe.
- uske bad Send ke button par click kar de.
Dosto aapne aap google account bana kar apne dostko mail yani message bhi send kar diya hai, yani bhej diye hai. or agar aap mobile me, new email id banane ka tarika janna chahte hai to uske liye ye post padhe.
Most read … Play Store par gmail Account Kaise Banaye jane pure details ke sath
agar aap ko isse bane me koi problem hota hai to aap niche comment box me comment kar ke puch sakte hai.
- Free Website (Blog) Kaise Banaye, website banane ki Puri Jankari
- Youtube par video upload karke Paise Kaise Kamaye Full guide
- Paypal kya hai? Paypal Par Account Kaise Banaye
- Payza Kya Hai? How to Create And Verify Payza Account in Hindi
Google Account ko kaha Kaha Use kar sakte hai
Jo hamne apna Gmail id banaya hai usse Google ki jitni bhi service hai un sab par login kar sakte hai.Ye khuch Service jin par ham apni email id or password se login kae sakte hai
hiii
hi
Everything is very open with a very clear explanation of the challenges.
It was really informative. Your website is useful.
Many thanks for sharing!
Thanks
Nice article sir
Hi