Yatra.Com Or Goibibo Par Online Air Flight Ticket Book Kaise Kare

How to booking ticket online in Hindi.  Jab aap travel agent dala ke pass flight ticket booking karwane ke liye jate hai to vo travel agent aapse bahut sara paisa leleta hai. Jetne ki air ticket hoti hai usse kahi jada paisa aapse leleta hai.

Ab Aapko kisi bhi travel agents dalal ke pass jane ki jarurat nahi hai aap asani se ghar baithe yatra.com or goibibo, kam paise me asanise flight ticket online book kar sakte hai.

Agar aap ye sonch rahe hai ke online air ticket book karna bahut mushkil kam hoga or isme bahut jholjhal hoga paise kaise pay karenge etc. to aapko biluk kuch bhi sonchne ki jarurat nahi hai kuy ke is article me mai aapko batane jaraha hun ke yatra.com or goibibo par air flight ticket online book kaise kar sakte hai.

How To Book Air flight Ticket Online In Hindi

How To Book Air Ticket Online In Hindi

Jbse internet ka dour aya hai har kam asan hogaya hai ab har kam ghar baithe asani se kar sakte hai chahe railway ticket booking karna ho chahe kisi ke bank me account open karna ya kisi ko paise transfer karna ho.

Waise online air ticket book karne ke liye sabse best platform hai irctc.co.in ji hai aap chahe to indian raiway ki site irctc se low cost me flight ticket asani se book kar sakte hai. Adhik jankari ke liye aap meri ye post follow kar sakte hai.

Most readHow To Booking Flight Tickets Online Low Cost In Hindi

To chalye dosto bat ko jada lamba nahi karte hue apne topic par chalte or jante hai ke Yatra.com or goibibo.com par online flight ticket kaise book karna hai.

Bas iske liye aapko niche diye gaye kuchh simple setup ko follow karna hai. yaha mai aapko yatra.com or goibibo.com par air ticket booking karne ke bareme batane jaraha hun.

Yatra.Com Par Online Air Ticket Booking Kaise Kare

To sabse pahle aap ko yatea.com se online flight ticket booking karne ke bareme batata hun baki niche aap goibibo ke bareme jpadh sakte hai.

Sabse pahle aap Yatra ke official website yatra.com par visit kare

yatra.com par visit karne ke bad aapke samne jo page open hoga usme apne flight ka journey details dal kar search karna hai.

  1. srif jane ka ticket lena hai to one way ko tick kare,
  2. select Origin me jahase travel karna hai vo city dale,
  3. jaha tak jana hai vo city airport dale,
  4. jis date ka chahiye vo deate select kare,
  5. jetna ticket nikalna hai vo select kare,
  6. uske bad Search par click kare.

book flight ticket for yatra.com in hindi

Next screen me ab aap airlines company, flight time price check kar lene ke bod jo flight aapko stable lage usko dekh kar book now par click karde.

Yatra flights Airlines and price details

Apna man pasand airlines or price dekh kar Book now par click karne ke bad ab aapko next screen me review your booking section page pe ajajyenge yaha aap apna flight price or agar aap promo code use kana chahte hai to promo code par click karke apply karde than uske bad aapko Continue par click karna hai.

Yatra.com Review your booking

Ab aapko next screen Traveller Details me aapko apna details dalna hai.

  1. title me mard hai to Mr, or lady hai Mrs select.
  2. Apna first name dale.
  3. Agar aapke 3 word ke name hai to bich wala name dale.
  4. Yaha apna last name dalna hai,
  5. contact details me apna email address dale
  6. mobile number dale.
  7. agar aap insurance karna chahte hai to add travel assistance and insurance me price dekh kar √ tick mark kare.
  8. or apna final amount dekh lene ke bad continue par click kare.

Yatra.com Traveller Details

Apna pura details dalne ke bad next screen me aapko payment method chopse karna hai net banking use karte hai to net banking select kare.

ATM debit card se paise pay karna hai to usse select karke apna card number Name expiry date or CVV code number dale jo Debit visa card ke piche hota hai 3 ank ka, apna final payment karne ke liye Pay Now par click karna hai.

Select Payment method and pay

Debit visa card se payment karne par  apna card number name etc dal kar Pay par click karnege to nexr screen me aapke bank ke taraf se (OTP) one time password aapke mobile number par ayega otp dal kar final payment kardena hai.

uske bad aapke email or mobile number par yatra.com se book kiya hua ticket ka pura details ajayega jis par aapke flight ka journey details hoga aap uska print nikal sakte hai.

Is trah aapka yatra.com par tickets booking karne ka posses pura hogaya hai final payment karne ke bad aapke email or mobile number par online booking kiya hua tickets ka pura details ajayega aap waha tickets ka print nikal sakte hai.

How to Book Flight Ticket For Goibibo

Sabse pahle aap Goibibo ke official website par jaye www.goibibo.com aapke samne first page par hi Book Domestic & International Flight options ajayega 1 one way lena to isse select kare. 2 Airport city ka name dale, 3 jaha tak jana hai us city ka name dale, 4 Date select kare, 6 jena ticket lena hai vo dale, 7 Economy hi rahne de, 8 Search par click kare.

Goibibo Booking Domestic and International Flight ticket

Jo bhi airlines flight ka ticket nikal na hai price check karlene ke bad Book par click kare.

Goibibo flights Airlines and price details

Book par click karne ke bad ek popup page open hoga or new account create karne ke liye kaha jayega aap chahe to goibibo par apna account bana sakte hai aacount nahi bana hai to closse par click kar dena hai.

Review your booking me flight details check karle Traveller Details me name mobile number or email address dal kar Make Payment par click kare

Goibibo Review bokking and Traveller Details

Make Payment par click karne ke bad next screen me aapko payment option select kar ke jis chij se paise pay karna haite hai ATM card, Debit card, visa card, net banking, inme se jo bhi services hai or jis bank ka bhi hai vo options select kar ke Pay Securely par click karke money pay karde.

Goibibo flight ticket booking payment method

Bank select karke apna card number name etc dal kar Pay par click karnege to nexr screen me aapke bank ke taraf se OTP one time password apke mobile par ayega vo dal kar final payment kardena hai uske bad aapke email par or mobile number par goibibo se book kiya hua ticket ka pura details ajayega aap uska print nikal sakte hai.

To dosto aapko Yatra.com or goibibo.com se online air ticket book karne ki jankari kaisi lagi agar aapka koi sawal hai to aap niche commitment box comment karke puch sakte hai. or aap is article ko apne dosto tak share karna na bhule.

Ye bhi padhe..

Related Articles

6 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button