How To Booking Flight Ticket Online Low Cost In Hindi

How to booking Low cost air tickets online in Hindi.  Jab aap travel agent dala ke pass flight ticket booking karwane ke liye jate hai to vo travel agent aapse bahut sara paisa leleta hai. Jetne ki air ticket hoti hai usse kahi jada paisa aapse leleta hai.

Ab Aapko kisi bhi travel agents dalal ke pass jane ki jarurat nahi hai aap asani se ghar baithe low cost, kam paise me flight ka sasta ticket online book kar sakte hai. Agar aap ye sonch rahe hai ke online air ticket book karna bahut mushkil kam hoga or isme bahut jholjhal hoga paise kaise pay karenge etc.

to aapko biluk kuch bhi sonchne ki jarurat nahi hai kuy ke is article me mai aapko batane jaraha hun ke kam paise kam kharch me man pasand airlines company ka flight ticket online book kaise kar sakte hai.

how to booking flight ticket online

Online Flight Ticket Booking – For Low Cost In Hindi?

Low cost me flight ticket book karne ke liye sabse best site hai IRCTC jiha bahut sare log yahi jante hai ke irctc srif train ticket book karne ke liye hi use kiya jata hai par Indian railway IRCTC ki ek or service hai jiska name hai air.irctc jo ke official flight air tickets book karne ke liye hi banaya gaya hai.

Dar asal jab ham kisi other website par ticket booking karne ke liye jate hai to vo sab site ticket price se Rs 200- 500 apna services charge leti hai jiske karan visitor ko jada paisa pay karna hota hai kuy ke vo sab site garment ko Tex bhi deti hai isliye vo apna profits ko bhi flight ke orignal price me jor deti hai isliye hame orignal prices ke kahi jada paisa pay karna hota hai

Par jab ham Indian railway IRCTC se aie tickets booking karte hai to Tex ka problems nahi rahta hai or IRCTC hame srif Rs 50 apna serves charge leti hai.

Par aie.irctc par ek problem hai baking ka agar aapke pass in sab bank mese se kisi ek bank ki bhi servies hai to aap tow cost me booking kar sakte hai.

  1. ATM debit card, se money pay karne ke liye srif, Bank Of India, Union Bank Of India, or Bank of Baroda hi sport karega.
  2. Credit card, Se payse pay karne ke liye ICICI Bank, CITI Bank, or HDFC Bank, me account hona chahye.
  3. Net baking use karne ke liye ICICI Bank, HDFC Bank, Corporation Bank, SBI Internet Banking, Indusind Bank, Bank Of India, Union Bank Of India, Bank of Baroda, or IDBI Bank. in sab mese kisi ek bank me net banking activate hona chahiye

Agar aapke pass inme se kisi ek bank me bhi account nahi hai to aap air.irctc se low cost low rate kam paise me online ticket booking nahi kar sakte hai.

Most Read.

Agar aapke pass upar diye gaye bank me se kisi bhi bank ATM debit, Visa card ya inetnet baking activate nahi hai to aapko parishan hone ki jarurat nahi hai.

Aap IRCTC ke alawa Yatra.com Goibibo or Makemytrip par bhi asani se ticket book kar sakte hai,adhik jankari ke liye ye article padhe.

  1. www.air.irctc.co.in
  2. www.goibibo.com
  3. www.yatra.com
  4. www.makemytrip.com

Agar aap laptop ya computer use karrahe hai in charo site ko new tab me alag alag open kar le or agar mobile use karrahe hai to sabse pahle air.irctc open kare. kye ke aapko flight ka price milane me asani ho or ye dekh sake ke konsi site jada sasta ticket deti hai.

Dost Ab main apne topic par chalta hu aur aapko batane jaraha hun ke irctc par online air ticket kaise book karna hai pure details ke sath bataounga jisse aap follow kar ke asani se book kar sakte hai..

or last me maine flight ticket cancel kaise karna hai ke bareme bhi bata hai aap vobhi padh sakte hai.

Aaap chahe to yatra.com or goibibo se bhi asani se flight tiket book kar sakte hai iske bare me mai already bata chuka hun aap meri is post ko follow kar sakte hai.

Most readYatra.com or goibibo par air ticket book kaise kare

Indian railway ki Site IRCTC ki Site Se Flight Tickets Kaise Book Kare

Sabse pahle aapko Indian railway ki site www.air.irctc.co.in par visit karna hai uske liye click here

Indian railway flight book status par visit karne ke bad ab aapko yaha par apna journey details dalna hai

Indian Railways ki site irctc par air flight tickect kaise book kare

  1. India me hi kisi dusre city ka ticket nikalna hai Domestic par select rahne de india se bahar kisi other country ki chahiye to International select kare.
  2. Srif jane jane ka hi lena hai to One way par tick mark rahne de.
  3. Aane jane returning ka bhi chahiye to Round trip ko select kare.
  4. From(Any City or Airport) me Jaha Se Apko Travel start karna hai us city ka name dalna hai jaise Ne Delhi, Mumbai, Kolkata, Patna, Jaipur etc.
  5. To (Any City or Airport) isme aapko jaha tak jana hai vo city ka name dale.
  6. Departure: me aapko traveling date dalna hai jis din yatra karna hai colander icon par click kar ke day month or year select kare.
  7. 12 sal se upar ke admi ka jetna ticket nikalna hai Adults (12+ yrs) me vo dale akele ka lena hai to 1 hi rahne de.
  8. 2 se 11 sal ke bich ka agar koi bachha hai to Children (2-11 yrs) me vo dale.
  9. Or aapke pas 2 sal se kam umar ka bachha hai to Infants (Under 2 yrs) me dale
  10. Aapko kounse class ka ticket lena hai Class of Travel select kare Normal ticket chahye to Economy hi rahne de agar aap business main hai to Business select kare.
  11. Airline Preference me All airline hi rahne de.
  12. Ek bar sab check kar lene ke bad last me Search par click kar.

Search par click karne ke bad aapke screen par jetne bhi airlines  company hai sabke flights detail ajayenge yaha aap

Flight Price and details

  1. Flight: me airlines company ka name dekh sakte hai
  2. Departs: me City dekh sakte hai jahase aapko jana hai.
  3. Is me aap flight time dekh sakte hai jis sami hawai jahaz uregi
  4. Arrives me last airport city dekh sakte hai jaha aapko jana hai.
  5. Kis time pe aapko pahunchyegi hawai last airport pahunchne ka samai.
  6. Duration: me ye dekh sakte hai ke kena time ghanta flight me travel karna hai.
  7. Stops: me 0 stop hai to direct pahuchayega agar 1 stop ya 2 stop hai to fir vaya kar ke pahunchayega.
  8. Price in INR ime aap air ticket ka paisa dekh sakte hai ketna price hai ticket ka.
  9. Jis flight ka ticket book karna chahte hai uska sab time paisa dekh lene ke bad Book par click kare.

Note: Agar Price or Stops ke sath kisi chij ka icon bana hua hai khana free No Luggage bag allow aap check kar le.

Apna man pasand airlines or price select kar ke Book par click karne ke bad air.irctc flight ticket booking karne ke liye Review and login pag par pahunch gaye hai

  1. Flight, Departs, Arrives, Duration, Class,or total price check karle.
  2. I have checked all journey details, read and accepted the User & Airline Agreement ko √ tick mark kare.
  3. Aap ke pass IRCTC ke account hai to I have IRCTC User ID & Password ko tick mark karke Same IRCTC ka username or password dal ka Continue par click kare. (IRCTC me new account kaise banate hai ye janne ke liye yaha click kare).
  4. Agar aapke pass irctc ka account nahi hai or id bana bhi nahi chahte hai to aap  Guest User ko select kare and apna Email id or mobile number dal kar Continue par click kare (Email id kaise banaye uski jankari yaha hai)

Flight ticket booking Review Login

Note: Badhya yahi rahega ke aap irctc ke account se hi login kare agar nahi karna chahte hai to apna wahi email address or mobile number de jo sahi ho galat mail or mobile number bikul na  dale.

IRCTC account se login ya email id or mobile number dal kar Continue par click karne ke bad ab aap Traveller Details section me pahunch gaye hai. apna name contact details dalna hai.

irctc air ticket booking Traveller Details

  1. Title* name ke sath kya lagate hai mar hai to Mr ladki hai to Ms or shadi shuda ourat hai to Mrs select kare.
  2. First Name * Apna pahla naam dale jo id prof pe ho same wahi dalna hai.
  3. Middle-Name Last-Name * Agar aapka 3 name hai to bich ka our akhri naam dale.
  4. Contact information First Name: * Apna pahla name dale.
  5. Last Name: * Aakhri naam dale.
  6. Address: Village gaon shahar ka name dale.
  7. City: District ka name dale.
  8. State: aapka state hai vo likhe
  9. Pin Code: Post office ka pin number dale.
  10. Country: India likhe.
  11. Email ID: ek bar check kar le sahi hai ke nahi.
  12. Mobile No.: sahi mobile number dale.
  13. Landline No.: hai to dal de koi jaruri nahi hai.
  14. I agree to pay the Final Amount + Applicable Payment gateway charges. ko √ tick mark kare. ek popup window open hoga OK par click karna hai IRCTC Booking Charges of INR 50) IRCTC aapse Payment Gateway Charges Rs 50 lega.
  15. Ek bar apna name email address or mobile number check karke Make to Payment par click kare.

Note: Contact information me srif name mobile number or email address dana jaruri hai agar aap address dalna chahte hai to dal sakte hai behtar yahi rahega par ye important nahi hai.

Contact information dal kar make to payment par click karne ke bad ab aap Payment section me pahunch gaye hai. aap kis chij ke thuro paisa pay karna chahte hai vo option or bank slect karna hai.

Note: ek bar fir bata dun ke air.irctc.co.in se online flight ticket book karne ke liye 1 ATM debit card, me srif Bank Of India, Union Bank Of India, or Bank of Baroda hi se aap paise pay kar sakte hai baki kisi bhi bank ka options nahi hai. 2 Credit card me ICICI Bank, CITI Bank, or HDFC Bank, ka options hai. 3 or Net baking me ICICI Bank, HDFC Bank, Corporation Bank, SBI Internet Banking, Indusind Bank, Bank Of India, Union Bank Of India, Bank of Baroda, IDBI Bank.

Agar in sab bank me se kisi ek me bhi aapka account hai tab hi jakar aap Indian railway air.irctc se low cost kam price rate me air ticket book kar sakte hai. warna aapko fir kisi or website se online flight ticket booking karna hoga.

Most read.

  1. Credit card, Net banking, Debit card in 3no me se jisko select karna chahte hai uspar click kare.
  2. Jis bank ka aapke pass account hai uss bank ke icon par click kare.

Flight ticket booking select Payment options

Agar aap Credit, Debit card options select karke paise pay kana chahte hai to next screen me us bank ka payment pay karne ka option ajayega ya aapko Card number, card expiry date, CVV number jo 3 akchar ka atm ke piche hota hai, Name dal kar Buy par click karna hai.

Debit Card for payments options

Ya aapne internet banking choose kiya hai to next screen me jo bhi bank select kiya hai uska login page ajayega username or password dal kar login kar ke payse pay kana hai.

air ticket booking use SBI net banking

Payment pay karne ke bad irctc ke traf se aapko congratulation you have successfully booked a ticket your transaction id number is. journey details flight details ya aap dekh sakte hai or aap chahe to ticket ka print bhi nikal sakte hai.

Flight ticket booking successfully

Aapne air. irctc par successfully flight tickets book kar liya hai ab aapke mail or mobile number par passenger details flight detail online booking kiya hua air ticket ajaga hoga aap check kar sakte hai.

Dosto is trah aapne online tickets booking karne tarika jan liya ab aapko agar kisi wajah se flight ticket cancel karne ki jarutrat par jaye to uska bhi tarika jan lete hai.

Online Book Kiya Hua Flight Air Ticket Cancel Kaise Kare

Agar aap kisi wajah se air flight ticket cancel karna chahte hai jaise aapka ariport time se nahi pahunch pae ya kisi karan flight cancel hoya ho or aap ye chahte hai ke usko cancel kiya jaye to uska bhi bahut hi simple tarika hai.

Yaha mai air.irctc par par cancel karke bata deta hu aap kisi bhi online website se ticket book karte hai to vo aapke mail par pura details send karta hai us email par e-ticket print or Cancel / Change My booking ka bhi option ata hai aap us link par click karke apna ticket id dal kar cancel or change kar sakte hai.

Air.irctc Indian railway se jahaz tickets cancel karne ke liye Simple aap sabse pahle www.air.irctc.co.in par apna irctc username password dal kar login karle uske bad top bar me My Account par click karke Booked ticket section me jaye.

irctc-flight-ticket-bookin-history

Booked par click karne ke bad aap ne jetna bhi irctc par air ticket book kiya hai uska pura list ajayega yaha se aap apne ticket ka print bhi nikal sakte hai than ji ka bhi cancel ya print nikal na ho usko select kar ke print ticket ya cancel par click kare.

air tickect cancel kaise kare

Airline ticket Cancel karne ke liye select segment ko √ tick mark kare uske bad select passenger ko √ tick mark karke cancel ticket par click karde.

Cancel ticket par click karne ke bad ek popup window open hoga usme warning ayega ke kya sahi me aap cancel karna chahte hai than aapko ok par click kar dena hai. Is trah aapka air.irctc.co.in Indian railway se book kiya hua ticket cancel hojayega. aapka paisa aapke same payment progressing method bank account me 1 week ke andar pahunch jayega.

Dosto aapko ye online jankari kaisi lagi is bare me hame comment karke batana na bhule or agar aapka koi sawal hai online flight tickets booking karne ka to bhi hamse puchh sakte hai.

Ye Bhi padhe…

Related Articles

6 Comments

  1. Keya fly tickets cancel kane par pisa wapas melta hai kon se site par melta hai batao aur kis tatika se melega

    1. Aap jis site se ticket book karnge usi site se ticket cancel bui kar sakte hai har site me ticket cancel karne ka option rahta hai.
      Par flight ticket cancel karne par bahut kam paisa return milta hai 40-50% ke ass pass Maine air.irctc se ticket cancel kya tha Rs 4000 ka ticket tha par 1700 hi return mila takriban 10 din bad
      Paisa same wahi account par ayega ji account ka ticket book karte samai use kiya tha

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button