Revenue Share PTC Site Strategy And Making Money Guide In Hindi

Revenue share paid to click PTC Site strategy and making money full guide hindi urdu me. Aaj kal internet se online money earn karna har koi chahta isliye bahut sare log online paise earn karne ke liye internet par Goggle youtube etc.. search karte rahte hai ke online paise kaise kamaye. Online money kamana koi jada mushkil kam nahi hai har koi asani se ghar baithe dollar kama sakte hai. Par uske liye kuch mehnat karna parta hai bena mehnat kiye hue kuch log chahte hai ke easily aasani se money earn karne ka vo koun sa tarika hai jisse bena koi investment ke bena online hard work kiye hue internet se paise kamaya ja sake.

Revenue Share PTC Site Strategy And Making Money Guide In Hindi

Is article me mai aapko revenue sharing program, traffic exchange, paid to click ptc site advertising company ke bare me full guide karunga or Revenue share program se online making money ka strategy bata unga. Ke sahi me koi aisa tarika hai jisse bena koi mehnat kiye hue or bena koi paisa invest ke hue asani se internet se money earn kiya ja sakta hai ke nahi. Ye bat to bilkul sahi hai ke internet se online bena kisi 1 rs invest kiye hue free me jaez tarika se paise earn kiya ja sakta hai. Par ye bat biluk galat hai bena kisi mehnat ke easily online se jaez paisa kamayaja sakta hai. Ha agar koi  chahe to cheating karke free me online money kama sakta hai par wo haram ka hoga.

Inhi sab bato to ke bare me mai yaha batane jaraha hun kuy ke aaj kal ptc sites or revenue share program se online paise kamane ka bahut jor se chalan chala hua hai. Bahut sare ham jaise log hai jo facebook youtube blog par rev share paid to click ptc sites ke bare me bahut sare video and article share kiye hue hai. Jinse new or garib logon ko bahut dhokha hojata hai jab vo video dekhte hai  or post padhte hai to vo yahi sonchte hai ke isse asan keya tarika hoga paise kamane ka.

Revenue Share PTC Site Strategy And Making Money Guide In Hindi

Mai ek bat clear kar deta hun ke Revenue share advertising company se bena koi hard work kiye hue asani se apna kuch paisa invest karke paise kama sakte hai. Par aap chahte hai ke koi paisa bhi kharch na ho or jada mehnat bhi karna na pare Paid to click ptc site hai hi isse asani se paise kama lunga to ye bat biluk galat hai. paid to add click advertising company se aap free me to dur ki bat hai 5000 Rs bhi laga kar profits nahi kama sakte hai. kyu ke ptc sites me 99.99% scam site hoti hai. Ye kah sakte hai ke 2 se 3 aise site aise hai jo real money profits deti hai.

Dosto maine is article ke sabse last me bata hai ke revenue share program me kon koun sa site legal hota hai or kin baton ka dheyan rakhna chahiye revenue sharing advertising company me. To aap is post ko pura padhe take aap ko full information mil jaye in sab program ke bare me.

Revenue share paid to click PTC site me agar aap work karna chahte hai to aapko hoshyar rahna chahiye kuy ke isme bahut Jada scamming hota hai. Agar mai ye kahun ke rev share and ptc site me 98% fake site hoti hai to mai galat nahi hu . Baki 2% me bhi 1% site hi legal hai jo apne members ko sahi profits deta hai.

Warna Bahut sari company money pay to karti hai par vobhi scam hoti hai. 98% PTC sites or revenue sharing website isliye hi apna site banati hai ke vo visitor ke sath scam kare or apna paise kamaye. Aur 1% aisi site hai Jo srif apna benefits dekhti hai unko visitor ke profits se koi matlab nahi hota hai bus vo chahti hai ke kisi tarah online me bani rahe. And 1% legal site ka bhi koi guaranty nahi rahta hai ke vo site bhi kab band close hojaye. Aapko online me revenue share and paid to click, ki ek 2 nahi takriban 3000 se 4000 websites mil jayegi unme se srif 10 se 20 website hi real money deti hai.

Sawal ye hai ke akhir PTC or Revenue sharing program me 99% scam sites hai to ye akhir online me kaise bani hui hai.

97% sites to bilkul scam hoti hai baki bache 2% site me Hota ye hai ke vo sitsari website starting me apne visitors ko profits deti hai or jab visitor ka account build ho jata hai to usko funding ka problem hojata hai aur jab visitors har din money withdrew karti hai aur new visitors ka join hona kam ho jata hai to is liye funding ki kami hojati hai us me se jis website ka owner imandar hota hai apni site ko close yani band kar deta hai.

Par bahut sari sites apni website ko band nahi karti hai aur vo apne site ko chalati rahti hai karti ye hai ke daily earning ka % kam kar deti hai. Ya fir pahle ke jetne bhi ad packs hote hai usko repurchase balance me dal kar uska daily earning 0.1% se lekar 0.5% tak kar deti hai. Jesse hota ye hai ke purane jetne visitors hai uska earning kam hojata hai isliye vo apne money ko withdrew nahi kar pata hai.

Or kuch rev share site isliye hai apne site ko lunch karti hai take usko bad me band kar diya jaye. Or vo revenue or daily earnings ka % percentage bahut achha rakhte hai or jab uske account me 2-4 lacks usd money founding hojata hai to usme se 2-3 lacks paise  apne member ko pay kar deti hai. Aur bena kisi tam jham ke lacko lacks money kama leti hai. Fir kuch din bad ek or new website bana deti hai. Ya fir us money ka koi alag business kar leti hai.

Jab ek bar company famous ho jata hai or visitors usko Etna Jada promote kar dite hai jaise YouTube blog etc par isliye new member unko milte rahte hai. Or new log google, Yahoo, YouTube par search karte rahte hai ke online money kaise kamaye etc..

Aur jab vo apne topic se related videos or post dekhte hai to vo ye nahi dekhte hai ke ye video or article kab publish kiya gaya hai iska admin koun hai kabka date hai.

Bus videos and article ke titles ko padh lete hai, how to make money online free, How to earn money fast. How to making money at home, How to earn $10 to $50 one day. How to make money easy without any hard work. Internet se ghar baithe paise kaise kamaye. Ek din me 10 se 50 Us dollar kaise kamye. Internet se free online money kaise earn kare. Etc…

Yahi sab topic bahut Jada search karte hai or is topic se related video or blog aapko ek do nahi lakho ki tadad me milenge. Par unmese bahut sare aise article or video milte hai jisme Rail money earn karne ka sahi tarika bataya jata hai. Jaise blogging karna YouTube par video bana kar upload karna Etc..

Par new logo ko ye sab hard lagta hai blog banana video bana ketna mushkil kam hoga or sabse asan easy kya lagta hai bus 2 tarka 1 paid to click PTC site . 2 traffic exchange revenue sharing website. Aur jab rev share ptc site se related videos and article dekhte hai to vo bahut exiting hojate hai.

Or in kamo me interest lena chalu kar dete hai. Ye nahi dekhte ke jisne ye post or video share kiya hai wake me usne jo apne title me likha hai utna paisa kamaya hai ke bhi nahi. Aur agar kamaya bhi hai to uske liye ketna apna money invest kiya or usne yaha tak aane me ketne month lagaya or ketna hard work kiya etc…

Bena koi chhan bin study kiye hue bus 10 se 15 video dekh liya or 2 char blog par padh liya or jakar us website me joining hogaye.

Paid to click (PTC) Site Money kaise Earn kar Sakte hai free me

Ye bat kahna hi bekar hai aap PTC site se free me money earn karhi nahi sakte hai jaha tak mujhe malum hai clixsense.com ko chod kar baki jetne bhi ptc sites hai vo sari ki sari scam hai. Aap kabhi bhi ptc sites me profits nahi kama sakte hai. khas kar neobux se bhale hi neobux 2009 se hi paise pay kar rahi hai par sabse bari scamming company yahi hai. Kyu  ke neobux nahi to aapko Direct referrals ka clicking income degi aur nahi to Rented referrals ka sahi earnings degi.

Darasal ptc sites ka asal strategy rented referrals par hota hai Par jab tak aap free member hai to aapko jetne bhi paid to click websites hai vo rented referral ke clicking average badhya degi 1.5-2 clicks ke ass pass. Par free member me 200 se jada rented referrals buy nahi kar sakte 1 rented referral ka prices hota hai $0.2 yani $40 me 200 buy kar sakte hai 1 month ke liye 1 clicking value $0.005 rahta hai .

Agar aapko 1.5 ka clicking average mila to month ka hoga 300 click yani daily $1.5 monthly $45 yani 1 month me $5-$10 profits ho sakta hai. and agar aap apna $0.001 daily 20 click karte hai to $0.02 par day yani 1 month ka $0.6 click profits hoga.

Aur agar aapne koi member ship buy kiya jaise gold $90 member ship to rented referral ka clicking value hoga $0.01 or aapne 200 se jada rented referrals buy kiya hua hai to aapke referrals ka daily clicking average 0.5 se bhi kam hojayega. Aap apne hisab se uska profits calculate kar sakte hai.

Ye bat srif neobux ki nahi hai bake jetne bhi paid to click (PTC) hai sab ka yahi strategy hota hai. Revenue sharing program ho chahe ptc site ho Ye sari websites ek scrip ke throw chalti hai. Jetne bhi website ke owner hote hai sab ke hath me hota hai har chige ka seating vo jaisa chah te hai usi hisab se kar te hai.

Paid to click ptc site ke admin karte ye hai ke unke dashboard me seating hota hai ke rented referrals ka click average ketna hona chahye. usi hisab se vo average set kar dte hai yani referrals ko boot kar dete hai. Ab chahe aapka referrals rojana 4 click bhi karega par aapko 0.5 se lekar 1.5 tak hi milega, jetne par admin ne set kiya hua hoga. Simple ye bat sonch sakte hai ke har company ka ye rule hai jab tak koi member 4 click nahi karega to usko next day ka referrals earning nahi milega.

Yani jab aap 1 day ptc add nahi dekhte hai to agle din aapko us referrals ka profits nahi melega par 1 month ke liye buy kiya hua rented referral ka 1 din kam hojayega. Yani us din ka profits loss ab ye sonch sakte hai ke jab company ka rule hai ke 4 click daily karna hi hai to jab visitor 2 click karnge to yani usne 15 day work kiya. Jab kisi ko 15 din wark karne me koi profits nahi hoga to vo akhir aise hi bekar ka roj clicking kyu karta hai.

Revenue Sharing Program Se Paise Kamane ke liye kin Baton ka Dheyan Rakhna Chahiye

Agar aap revenue sharing site me work karna chahte hai or money making karna chahte hai to in bato ka dheyan rakha kare.

  1. Wo company online me ketne month year se hai.
  2. Us company ka revenue profits ketna % percent hai.
  3. daily revenue earning ketna % percent deta hai.
  4. Company ka owner kaha ka hai or usse online marketing ka ketna experience hai.
  5. Company ne jo domain name yani website name buy kiya hai vo ketne year ke liye register hai.

Agar koi new revenue sharing program lunched hota hai to us company ka pura details pata kare ke ye scam to nahi hai.

110% – 130% se jada revenue nahi hona chahiye agar koi company ye bol rahi hai ke 1 ad pack pay par 110-130% se jada 150-200% profits milega to usko join nahi karna hai.

Daily revenue earning 1% to 3% se ke ass pass hona chahiye or nahi to jada ad paks ka daily sharing earnings hona chahye. agar koi advertising company ye likhe hua hai ke 1st level ad packs pe 5% daily revenue earning 2nd level ad pack pe 10% daily profits etc.. to Aisi company ko kabhi nahi join karna chahye.

New revenue sharing advertising company jime ad packs ka share 130% se jada or or agar ad packs share ka 110 to 130% hai par Daily earning 5% se dada or domain website name 1 year tak hi register hai to samjh jaye ke ye advertising company 1 se 2 month me band close ho jayega. kyu ke ye company srif logon ko dhokha dene ke liye aur rato rat amir banne ke liye banaya gaya hai.

Ek bat ka yad rakhe ke koi bhi revenue sharing, traffic exchange, ptc site, advertising company ko lunch yani banaye me $200 to $300 se jada money invest karne ki jarurat nahi hoti hai. or ketna bhi kamina company ka owner ho vo asani se kai hazar usd kama hi leta hai. Key ke aisi company ko to apne jeb se money kharch karna nahi parta hai. Jab ham jaise log usme paise investment karenge to ussi paise se vo kisi dusre program jo legal hai usme invest kar ke kai gunna jada profits kama leta hai. Aur kuch member ko paise de bhi deta hai take jo new member join kare to usko money withdraw ka sabut dekha sake.

Simple mai ye kahunga ke koi bhi advertising company sab se pahle investor ka money apne pass legi uske bad hi usme se kuch logo ko profits degi jab ye dhekhe gi ke ab funding or investor kam hogaya hai to vo site ko close kar degi.

Agar aapko ye wishwas ho jata hai ke is advertising company ka owner legal hai aur ye company age ja sakti hai to aisi revenue share website me join ho sakte hai. Par uske liye ek khas bat ka dheyan rakhna hai ke jab aap money invest kare to thoda bara investing kare $400 to $500 aur 1 – 2 month ke andar apna sara invest kiya hua money withdraw kar le. Jab ham kam money invest karte hai $100 to $200 to hamara account billed nahi hopata aur hame money withdraw karne ke liye 3 to 4 month lag jata hai.

Kyu ke sabse danger kisi new website ke lie 4/5 month bad ka hi hota hai. Agar is time company sambhal jati hai to thik hai warna 98% legal website isi time me band hoti hai.

Agar aap ye sochte hai ke $20 to $50 money invest karke kuch paise kama sakte hai kisi bhi legal rev share advertising company me to ye aapki sabse bari bhool hai. Aisa aap ko kabhi bhi nahi karna hai kyu ke online me 2 4 hi aisi company hi jo 1 year se jada online me bana hua hai.

Maine bahut sari legal revenue share advertising company ka profits calculator banaya hai jisme aap aapna money deposit dal kar jobhi paise invest kiya hai ya karna chahte hai to uska profits aasani se calculate kar sakte hai. Click hare Rev share online profits calculator

To dosto ab aap to samjh hi gaye honge ke revenue share ptc site me kab aur kin compay me join karna chahye or paise kamane ke liye ketna money invest karna chahiye. Agar aap ko ye article pasand aya to apne doston kat isse share karna na bhule agar aapka koi sawal hai to comment jarur kare thakns.

Also Read…

Related Articles

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button