Payza Kya Hai? How to Create And Verify Payza Account in Hindi

Jab ham kisi company me online work karte hai to uske money send or receive karne ki jarurat parti hai. Jaise Revenue share Paid to click PTC site etc.. in site se ham jo money earn karte hai to us paise ko apne bank account me transfer karne ke liye online wallet me account banana par ta hai. Online money send or receive karne ke liye Payza best e wallet hai. To dosto mai aapko is article me batane jaraha hu ke Payza kya hai, how to create and verify payza account.

Payza Kya Hai How to Create And Verify Payza Account in Hindi

Payza Kya Hai ?

Payza ek online international bank hai jisse Online Money Transfer kiya jata hai, Payza apne users ko ek country se dusri country me online paise transfer karne me madad karti hai.
Paypal ki trah Payza ko bhi online money send or receive karne ke liye use kiya jata hai. or lagbhag dono ek hi jaise kam karta hai.

Jab ham online work karke paise kamate hai to vo money hame US Dollar milta hai Par us money ko direct apne bank account par nahi le sakte hai. Uske liye hame Paypal, payza, perfect money, jaise e wallet ki jarurat parti hai.

Jis me ham online kaye hue paise ko apne account par lete hai, uske bad us money ko bank account par bhejte hai. Payza USD money ko Rs Indian Rupee me convert kar ke hamare bank account par transfer kar deta hai.

Or jab hame kisi company ko money pay karna hota hai to Rs ko Usd me convert karne ki jarurat parti hai. Ye kam ham asani se apne bank account Debit/ visa card se Indian Rupees ko add fund kar ke kisi bhi online company ko money pay kar sakte hai payza ki maddad se.

How to Create Payza Account In Hindi

Payza me account bana bahut hi easy hai aap simple tarika apna kar free me account create kar sakte hai. Bus aapko niche diye gaye step ko follow kare or niche diye gaye banner par click kare.

Payza me account create karne ke liye aap sabse pahle payza ki site par jaye Click here to Sign Up Now Payza account.

Step 1: Ab aap payza ke home page par pahunch gaye hai yaha aapko new account create karne ke liye do jagah option hoga, usme se SIGN UP Button par click karna hai.

How to Create Payza Account kaise banaye

Step 2: Sign up par click karne ke bad ek or new page open hoga is page me aapko apna country select karna hai. Or kis purpose se account banana chahte hai jaise ki personal ya business.

  1. Select your country: me India select kare.
  2. Personal : Agar aap online earning ke liye account banana chahate hai to Personal select kare.
  3. Business : Agar aapka koi business hai or online payment karana chahate hai to business account select kare.

Create payza Personal or business account

 

Step 3: Select button par click karte hi ek popup me form open hoga us aapko apna name, email id or password dalkar get started par click kare.

  1. Salutation: Aap kya hai madr ya aurat Mard hai to Mr aurat hai to Mrs slect kare.
  2. First name: Isme apna pahla naam dale.
  3. Last name: me akhir ka naam dale.
  4. Email address : Apna email id dale (Gmail me email account kaise banate hai).
  5. Password: Isme  apna password dale jo aapko login karne ke time dalna hoga.
  6. GET STARTED: Sab sahi dalne ke bad last me Get started button par click kare.

Create your Payza petsonal account

Note:- Aapka Strong password tab hi banega jub in baton ka dheyan rakhenge. Password me kam se kam 10 digits hona chahiye or usme small letter ke sath kamse kam ek capitol letter(ABC..), ek number(123..) or ek special character (!@#$…) jarur rakhe ho isse aapka account safe ho jayega. Or is baat ka bhi dhyan de ki password me aapse related bate na ho jaise ki (mobile number, date of birth ya apna naam etc).

Step 4: Get started par click karte hi aapka account open ho jayega. or payza ke trafse welcome ka message ajaye ga or bola jayega ke aapke email address par verification link bhej digayi hai. Ab aapko apna email account open kar ke verif karna hai. TAKE ME HOME button par click kar ke home page par jasakte hai.

Payza account create hogaya hai

Step 5: Ab aap email account ko open kar ke sabse pahle account verify karle uske liye apna mail open kare or aap ke inbox me Payza: Validate Your Email Address ka mail aya hua hoga. usko open kar ke verification link par click kare.

Verify to email id in payza account

Aapka account successfully create hogaya hai or payza ke dashboard me pahunch gaye hai. Uske bad aap ko apna frofile complite karna hai.

Step 6: Payza ke dashboard par left side me aapko notification ‘Complete Profile setup’ dikhayi dega uspe click karna hai.

Complete Profile setup par click karna hai

Step 7: Complete Profile par click karne ke bad Tell us what you do section me pahunch jaenge yaha aapko Your industry me select karna hai ke aapka kya hai. Your Job imse apna job slect kare koun sa job hai aapka. last me save and continue par click karna hai.

Tell us what you do

Step 8: Yaha aapko apna personal information dalna hai hai jaise address, city, region, country, postal code etc.. aur Save and continue pe click kar de.

personal address inter kare

Step 9: Ab aapko apna mobile number add karna hai type of phone me mobile number dal ke Save and continue par click kare.

type of phone number me apna mobile number dale

Step 10: Ab jo protect your account ka window open hoga usme apko 1 question ka answer dalna hai agar aap kabhi password bhul jate hai to ye answer password recover karane me kam ata hai.

Uske bad date of birth aur pin code dale pin yane jab aap money deposit ya withdraw karenge to aapko ye pin dalna padata hai. Jis tarah ATM ka pin code hota hai. Uske bad save and finish button par click kar de.

protect your account

Aapko message ayega ki aapka profile successfully create ho gayiahai. Uske bad Take me home par click kar de.

Successfully setup yor profile

To dosto is tarah aapka payza account ka profile setup hogaya hai ab badhya yahi rahega ke apna payza account ko vreify bhi kar le.

Payza Account Ko Verify Kaise Kare Puri jankari :

Jab aap apna profile complete kar lenge to aapke dashboard me Pending account verification ka warning message show hoga. Isliye better yahi hai ke aap apne Payza account ko verify karle taki payza ke jetne feature hai uska benefits utha sake.

Payza account verification karne ke liye Aapko yaha pe 3 document upload karane padenge.

  1. Proof of identity: Government Photo id (voting card, driving license) ya aapke pass pan card hai.
  2. Proof of Address: Phone bill, electrical bill, credit card statement.
  3. Business Ownership: Agar kisi Business ke owner hai to iska koi proof. Ye srif business account ke liye hai.
  4. In document ko upload karna hai.
  5. Image ka format .jpg, .jpeg, png, pdf, me hona chahiye. Document clearly visible hone chahiye aur phone bill, electrical bill, credit card statement etc 6 month’s se purana nahi hone chahiye.
  6. Document upload karne ke bad aapka account 4-5 din me verify ho jayega.

Step 1: aapke home page pe left site me verify your account ka ek link hoga uspar aapko click karna hai.

How to Verify Payza Account ko verification kaise kare

Step 2: Validation complete the following procedure ke niche Document validation par click karna hai.

Payza Document Verification

Step 3: Ab is section me aapko apna document upload karna hai.

  1. Photo Id: Agar aapke pass Pan card hai to Pan Cad ko √ tick mark kare, uske bad Upload a file par click karke apne computer se id card upload kare. Pan card number me pan muner dale.
  2. Proof of Address: Utility bill me jo bhi hai aapke pass Phone bill, electrical bill, ko √ tick mark kare.
  3. Upload a file: ispar click karke computer laptop se bill ka image file upload kare.
  4. Upload karne ke bad Next button par click kare.

Upload Documents

Next par click karne ke bad aapne jo id proof upload kiya hai uska photo Review page par ajayega. documents sahi hai ke nahi check karlene ke bad Send par click karna hai.

id proof preview

Thanks for submitting your documents ka message ajaye ga or bola jayega ke 4-5 days ke andar account verify hojayega.

thanks-for-submit-documents

To dosto is tarah aapne apna payza account verify bhi kar liya hai. Agar aapke pass utility bill nahi hai to mujhse contact kar sakte hai.

mai aapko electrical bill bakar de dunga fir usko aap upload kar ke account verify kar sakte hai. mera mail id hai onlinejaankari@gmail.com ya naqeeb@onlinejankari.net par bhi contact kar sakte hai. thanks.

Ye bhi padhe….

Related Articles

140 Comments

  1. Sir ye dalna jaruri he ya nahi agar he to postel code kaise pata Karu fir uske bad pin cod dalne ko kha vo kiya he

  2. Sir payza account banate samay step3 me email dalne ke bad password dalkar gatstart par click karke aage nahi ja rha he invaild password batata he kiya Karu

  3. Sir Maine megatypers site ko scamadviser site par Check Kara to usme megatypers ko fack site bataya he sir kiya aapne megatypers site se mony earn ki he agar aapne megatypers se mony earn ki he to mujhe invitaion cod bata do

  4. Sir YouTube par video banakar dalne se income hoti h kiya hum bina video banay apne Chanel par vaisi video dalkar jaise gane trailer aisi video dalkar bi income kar sakte h

  5. Sir mai ek student hu mere pass voter id & pancard nahi hai only aadhaar & college id card hai kya hum ese use kar sakte hai please reply.
    Thank you.

  6. sir main payza account verified karne ke liya pan card lagaya aur woh approved bhi ho gaya but uske baad se doucument validation ka link show nahi ho raha to main doosre document kaise upload karu .document validation kaise show hoga maine sab karke dekh liya par kuch nahi hua

    1. Left site me aapke Name ke niche Personal Account Verified likha hua aaraha hai to aapka account verify hogaya hai. Agar verified nahi aaraha hai to top bar me Bell icon par click karke verification option me ja sakte hai Payza verification

  7. THANK YOU SIR MERI REQUEST KA JAWAB DENE KE LIYE AUR SIR MERE LEFT SIDE MEIN PERSONAL ACCOUNT VERIFIED TO LIKHA HUA AA RAHA PAR MAIN SIRF PANCARD LAGAYA THA TO KYA MAIN MONEY SEND AUR RECIEVE KAR SAKTA HOON.BUT SIR MEIN 1& WITHDRAW KARNE KE LIYE BANK TRANFER OPTION MEIN JATA HOON TO TO RED WORD MEIN THE FOLLOWING IS OCCURED KAR KE KUCH LIKHKAR AATA HAIN ISKA KYA MATLAB HAIN

  8. sir left side mein personl account likhkar aa raha hain to kya mera account puri tarah se verified ho chuka hain maine to sirf pancard hi lagaya tha to kya pancard lagane ke baad aur koi document ki zaroorat nahi kyun isle main pooch raha hoon ki document validation ka link dobara show nahi hua hain .to main kya yeh samjho ki ab koi verified related koi problem nahi agar hain to please reply soon.

  9. Hello sir aap mujhe ye bataye ki Kya Bina verify k payza account se payment receive ya send Kar sakta hu ??
    Mera Matlab koi ptc site se payment receive Kar sakta hu Kya Bina verify k ??
    Aur bank me transfer kar sakta hu Kya Bina verify k payza account se ??

    Sir please bataye …….

  10. hay sir aaj ka mera question yah hain ki jab main payza account se 1$ bank me tranfer karne ki koshish karta hoon toh yeh likha hua aata hain(THD FOLLOWING ERRORS OCCURED)

    (you cannot withdraw more than what is available in your payza e-wallet.)

    sir yah do sentence likha hua aata hain to kya problem hain sir iske bare mein step by step bataye sir .

    1. HAY SIR JAB MAIN PAYZA ACCOUNT SE 1$ BANK ME TRANSFER KARNE KI KOSHISH KARTA HOON TO YEH LIKHA HUA AATAHAIN (THE FOLLOWING ERRORS OCCURED)
      (YOU CANNOT WITHDRAW MORE THAN WHAT IS AVAILABLE IN YOUR PAYZA E WALLET)

      sir yeh do sentence likha hua aata hain to kya problem hain sir iske bare mei step by step bataye sir

      1. Withdraw funds option me jakar From balance me US dollar select kare, to bank account select kare, Reason for withdraw select kare, amount dal kar Next karde. uske bad agli screen me aapko payza PIN dal kar submit kar dena hai Payza to bank account fund transfer

  11. sir yeh sara process karke check kar chuka hoon but meri yeh problem solved hi nahi ho rahi

    sir kahain aisa to nahi ki bank transfer ki fee 60 rupee hain aur 1$ 68 rupee kyon ki 60 rupee bank fee mein cut jayegne aur kevel 8 rupee bacenge jo bahut kam hain isle bank mere paise ko reciecve na kar raha ho.

  12. SIR MAINE KOLOTIBABLO NAAM KI CAPTCHA SITES PAR KAM KARNA SURU KIYA HAIN BUT YEH BAHUT SLOW HAIN AUR SYSTEM LOADING BAHUT SLOW HAIN TO KYA ISKI SPEED BADA NAHI SAKTE.

    SIR MAIN SOFTWARE BHI DOWNLOAD KIYA BUT SIR SYSTEM LOAD HONE MEIN JAYADAA SAMAY LETA HAIN EK BAAR YAA BAAR BAAR JYADA SAMAY LETA HAIN KYUN KI AISE TO CAPTCHA TYPE KARNE MEIN MAZA NAHI AAYEGA .

    KYA SYESTEM LAODING SLOW HAIN YAH MUJHSE GALTE HO RAHI HANI

    DOSRA SAWAAL SIR AAP JIS SITES PAR KAM KAR RAHE HAIN USKE BAARE MEIN BATAYE JISSE MEIN JAYADA SE JYADA EARNING KAR SAKU KYUN KI SIR I M STUDENT OF ENGINEERING AND I NEED LOT OF MONEY BECAUSE I WANT TO DO JUNIOR ENGINEERING COACHING SO SIR PLEASE HELP ME THANK YOU SIR FOR REPLY

    1. Free member me csptcha kam load hota hai. Par etna kam load nahi hota jo aap bata rahe hai. Aap konsa net use karrahe hai.
      Aap jada money earn karna chahte hai to Blogging kijye jaise mai karraha hun ya youtube par video bana kar upload kijye.
      Isse aap bahut hi achha paisa kama sakte hai

  13. sir aap kuch best earning sites bataye jis par aap kaam kar rahe hain jo aapke ke hisaab se trusted hain jo pay karti hain.

  14. sir mera sawal yah hain ki jab bhi koi ptc sites chahe woh neobux ho clixsense ho ya phir suprpay par task aur offer par kaam karta hoon toh this survey is not available batata hain jabki main sab sahi sahi bharta hoon phir bhi koi task complete kyun nahi hota iske bar me bataye.

    sir ho sake to step by step bataye meri galti kahan ho rahi hain

    1. Bhai PTC site se koi faeda nahi hone wala hai. Mai bhi PTC aur revenue shear site par work karke $500 se jada money loss kiya aur 8-10 month time west kar diya.
      Neobux par $120 invest kiya aur usme se srif $20 nikal paya yani $100 ka loss

    1. Jaise mai blog bana kar bahut sari chijon ke bare me bata hu thik issi tarah aap bhi blog bana sakte hai. Blog/website banane ke bad jab site par visitors aane lagta hai to adsance ke add blog me laga ya jata hai jisse bahut hi achha earning hota hai

  15. sir blog mein aap post likhte hain to yeh image kahan se late hain aur sir mujhe apno blog customize karna hai par kuch acche customize nahi mila

  16. sir payza se bank account mein paise transfer karne ke liye bank account net banking se connect karna jaruri hain?

  17. SIR , aapke dwara a/c banane ki prakriya samajh mein aa gayi hai .is ke liye bahut -2 dhnaywad. Kindly mujhe asi site bata dijiye jo sahi ho Online form Filling and Copy Paste job work karne ke liye……………………..

  18. SIR MEINE 2CAPTHA SE 2 DOLLAR PAISE PAYZA SE BANK TRANSFER OPTION SE BHEJA THA PAR AAJ 5 DIN HO GAYE PENDING DIKHA RAHA HAIN KAHIN 2CAPTHCA FRAUD TO NAHI

    KYA 5 DIN KE ANDAR MONEY BANK MEIN PAHUNCH JATA HAIN AUR YEH KAISE DEKHE KI MONEY MERE ACCOUNT MEIN PAHUNCH CHUKA HAIN

  19. HAY SIR MERA QUESTION YAH HAIN KI SIR MERA EK PAYZA ACCOUNT HAIN AUR MAIN USKO PTC

    SITES PAR USE KAR RAHA HOON LEKIN AB MAINE EK SITES PAR KAM KANA SURU KIYA TO USME

    PAYPAL ACCOUNT MAANG RAHA HAIN.TO SIR MENE JO INFORMATION PAYZA MEIN BHARI THI

    TO KYA MEIN SAME BHAR SAKTA HOON .MERA ACCOUNT PANCARD EK EHI HAIN TO KYA MEIN NAYA PAYPAL ACCOUNT BANAU YA NAHI PLEASE BATAYE

  20. sir mein paidverts naam ki ptc sites par kaam kar raha hoon par mujhe apne referal ko lakho people tak promote karna hain to kaise kar sakta hoon

  21. sir maine 2$ payza me bhej diya hain ab aage ka process bataye sir jisse mein 2$ paidverts me bhejkar earning kar saku

    sir with image bataye jis tarah pehle aapne bataya tha usse kafi help hui thi

    thank you sir

    1. Jab aapke payza account me paise ajaye to uske bad aap paidverts me add buy karte samai payment option me payza select karke paise pay kar Dena hai

  22. hay sir , sir maine upwork par account bana liya hain but sir mujhe yeh nahi pata chal raha ki job ka order kahan aaya hain aur aur agar aya hain toh use kahan par dekhe aur complete karke kaise bheje client ke paass.

    sir step by step bataye

  23. sir mera 2captcha suspend bata raha hian yeh likhka aa raha hain.

    .You made too many mistakes.

    Your account has been suspended until moderated. Moderator will check your account within the next 2 working days.

    Maybe, You made a mistake not on purpose, or the system is accidentally block your account, in this case, moderator unlocks the account, and you can work more.

    Please, do not write in support about the suspension, it does not speed up the checking account.

    The recent incorrectly solved CAPTCHAs

    MERA BALANCE BHI NAHI NIKAL RAHA BATAYE KAISE NIKLEGA AUR KYA MERA ACCOUTN PHIR SE ACTIVE HONE KA CHANCE HAIN

  24. sir mera question hian ki main amzaon par account bana liya hain jisse me product sell karke paisa kamane ke liye but mera sawal yah hain ki

    KYA MEIN AMAZON KE PRODUCT KO KISE DOOSRE SITE LIKE EBAY FLIPKART PAR PRODUCTJ KO SELL KAR SAKTA HOON AGAR HAIN TO PRCESS BATAYE WITH IMGE

    1. Nahi Aap ebay ya flipkart par sel nahi kar sakte hai, isse aap Facebook Twitter, YouTube par sale kar sakte hai, uske liye bass Website And Mobile App List me jakar facebook youtube ka link add kar den.

  25. sir computer par bitcoin wallet kaun sa sahi hoga jo dosre currency ko indian currency mein change kar sake

  26. sir mene unocin par account bana liya

    MERA QUESTION HAIN KI SIR UNOCOIN PAR ACCOUNT BANANE KE BAAD KAUN SI BITCOIN EARNING SITES HAIN JISSE MEIN BITCOIN KAMA SAKTA HOON.

    AUR KAMAYE GAYE BITCOIN KO INDIAN CURRENCY MEIN CHANGE KAR SAKTA HOON

    AUR SABSE MOST QUESTION KYA BITCOIN SAFE HAIN INDIA MEIN AUR ISSE ABHI LOG KAMA RAHE HAIN

  27. sir main upwork par kaam karna chahta hoon par ek problem aa rahi hain wo problem hain ki jmeri english good nahi hain .

    iske liye main google tranlslat ka use kiya but isse english to hindi convert karne par hind bahut hi shudh aati hain jo samajh nahi aati .

    to aisa koi software hian jo english to hindi convert kare jo samajh mein aaye

    reply soon.

  28. sir upwork par portfolio maang raha kuch samajh nahi aa raha hain ki kya karun

    mujhe upwork par data entry ka kam karna hain lekin portfolio kaise banaye

    usme past jo kaam kiya hian wo mangte hain par main kabhi kaam kiya nahi to

    mein portfolio kaise banau jisse mujhe kaam mil sake bataye kaise banau.

  29. sir 2captch mein jab mein kaam karta hoon to google ban your ip address bata raha hain is problem ko kaie door karu aur yeh kis karan ho raha hain bataye

    1. Aap kounsa net use karte hai
      Ek bar usse band karke dobara chalu kare agar mobile net use karte hai to mobile ko switch off karke chalu kare

  30. sir main pc use karta hoon aur kafi dino se kaam kar raha hoon but yeh problem kaise aa gayi aur mein net setter use karta hoon par net se iska kya lena dena hain sir step by step bataye ip address ban kyon ho gaya

    1. aap net setter ko off karke dobara restart kare jisse aapka ip address change ho jayega jab aap net setter ko band karke chalu karenge to uska ip address change ho jayega

  31. sir main contentmart par account bana raha hu par kuch problem aa rahi hain jaise

    1 sir portfolio mein (Attach your best previous work or write fresh samples to show writing skills.) YEH BATA RAHA HAIN PAR MAIN BEGINNER HOON KAISE IS PROBLEM KO SOLVE KARU

    2 AUR SECOND PROBLEM ISME (PASTE THE TITLE OF THE ARTICLE HERE (5-25 CHARECTER) BATA RAHA HIAN ISME KYA KARU.

    THANK YOU

    1. Aapne jo category select kiya hai uske hisab se ek skills likhe jaise man ke chalye aap blog website ke liye post likhna chahte hai to 1. (I Will Write A High Quality 300 word Blog, Article Or Website Content) ya aap google par aapne category ki hisab se skills search kar sakte hai, aur aap kisi topic par ek post likhe aur post ka title 2. me likhe

  32. sir my question are:

    FIRST- SIR YEH POOCHNA CHAHTA HOON KI BITCOIN LEGAL HAIN KI NAHI INDIA MEIN KYON KI HAMARE ECONOMY MINISTER ARUN JATLEY NE KAHA HAIN KI BITCOIN LEGAL NAHI.

    SECOND-AGAR MAN LE BITCOIN LEGAL NAHI HAIN INDIA MAIN PHIR BHI BITCOIN KA USE HUM OTHER SITES ME KAR SAKTE HAIN JAISE KOI PTC SITE ME INVEST KARKE AISA TO HO SAKTA HAIN NA SIR.

    THIRD-

    1. Bitcoin ek online currency hai isse aap srif online me hi use kar sakte hai is liye ARUN JATLEY ne kaha legal nahi hai. baki online me aap kahi bhi use kar sakte hai aur jarurat parne par kisi bhi currency me convert karke apne bank account me paise le sakte hai.

  33. SIR 2CAPTCH MEIN IP BAN HO JANE PAR JO PROCESS BATAYE THE WO SAB KARKE DEKH LIYE MAGAR KUCH NAHI HUA.

    SIR AUR GOOGLE NE ISE KYUN BAN KAR DIYA HIAN BATAYE

    1. Aapne ek hi internet se 2CAPTCH par 2 account ko use kiya tha kya. agar aapne 2 account id se 2CAPTCH par login nahi kya hai to ek bar aap kisi dusre computer me apna account open kar ke dekhe.

  34. sir apne freebitcoin bare me bataya tha main uspar account banane ja raha hoon lekin usse pehle ek sawal poochna chahunga

    MY QUSTION IS : SIR FREEBITCOIN MEIN BITCOIN WALLET MANG RAHA HAIN TO KYA MAIN

    BITCOIN WALLET MEIN SIRF UNOCOIN NAME DALU KI UNOCOIN KA ADDRESS

  35. sir freebitcoin mein withdraw karte samay doosra pehle se likha hua address aata hain to main uskei jagah par apna unocoin adress kasie set karu or mera kehna ka matlab ki apna address kaise uski jagah set karu .

    please tell me sir step by step

    1. freebitco.in weekly auto payment karta hai jab aapka earning 0.00010000 + ho jayega to Sandy ko aapke bitcoin address par send kar dega. aap chahe to manually withdraw kar sakte hai par issme fee cut jata is liye better yahi hai ke sandy tak wait kare

  36. sir kya aisa ho sakta hain ki mein jo santoshi earn kar raha hoon direct mere unocoin wallet address par transfer ho jaye aur mein uska use kar saku .

    KYOUN KI SIR MAIN FAUCET HUB KE BARE MEIN SUNA HAIN JO DIRECT KAMAYI GAYI SANTOSHI KO AAPKE WALLET ADDRESS PAR SEND KAR DETA HAIN.

    MERA DOUBT HAIN KI MAIN IS PAR ACCOUNT BANAU KI NA BANAO KYUN KI KAHIN MERA ACCOUNT SUSPEND NA HO JAYA.

    SIR KRIPYA YEH BATAYE KI WALLET ADDRESS AUR EARNING SITE AUR FAUCETHUB KAISE EK DOOSRE KE SAATH KAM KARTE HAIN.

    SIR JIS TARAH AAPNE PEHLE IMAGE KE JARIYE BATAYA THA AGAR HO SAKE TO DETAILS MEIN BATAYE.

    THANKS

  37. SIR FAUCET HUB ME DIRECT SANTOSHI KAISE TRANSFER KAR SAKTE HAIN .

    MAIN KAI EARNING SITE PAR WITHDRAW KARNE KI KOSHIS KI TO WITHDRAW NAHI HOTA

    KEWAL ITNA LIKHA HUA AATA HAIN KI JAB 10’000 SANTOSHI HO JAYANGI TAB WITHDRAW

    HOGA KYA ISTANT SANTOSHI TRANSFER NAHI HO SAKTI.

    NEXT QUESTION SIR KYA MAIN SANTOSHI KO DIRECT PAYZA ME INSTANT TRANSFER KAR SAKTA HOON KI NAHI KI ISME BHI JAB SANTOSHI 10″000 HO JAYENGI TAB HI TRANFER HO PAYEGI

  38. sir mere question hain

    FIRST- SIR MERE FAUCET HUB ACCOUNT MEIN 240 SANTOSHI AA GAYE HAIN

    KYA MEIN INHE PAYZA MEIN SEND KAR SAKTA HOON AUR KAISE.

    SEXOND – AUR SIR MERA SAWAL HAIN KI JIS TARAH 1$ KI KIMAT INDIA

    MEIN 63 ABOUT HAIN USI TARAH I SANTOSHI KI VALUE KITNI HOTI HAIN .

    _

    1. Pahle aap 10000 SANTOSHI earn kijye uske bad account par send kijye.
      Waise BTC 0.0000018 ka 1/-Rs hota hai yani 18 SANTOSHI ka 1 Rupe banega.
      Paise withdraw karne ke liye ye step follow kare
      faucethub

  39. sir jab bhi mein btc lucky faucet par bitcoin earn karne ki koshish karta hoon to pehle to btc aaram se send ho jata tha par aaj yeh bata raha hain iska kya karan hain aur solution bataye.

    (THE FAUCET HAS INSUFFICIENT FUNDS TO SEND TO THE PAYOUT)

    YEH KYUN HO RAHA HAIN

  40. sir meinn paopleperhour par account bana raha hoon par sir ek probleme aa rahi hain ki sir

    isme portfolio maang raha hain par sir mein ek beginner hoon mujhe kevel typing aati hain to main kaise ise poora karu

  41. I am really happy for you sir that you could earn good handsome of money through this process .I am also interested to earn I live in southern part of India could I be able to get money with any problem through PayPal or payza account can we do just through our persnl account only please suggest and help me thank you.

  42. SIR MEIN EK BIGINEER HOON AUR MUJHE CONTENTMART PAR DATA ENTRY KA KAAM KARNA

    LEKIN SIR MEIN PROFILE COMPLETE KARNE JATA HOON TO PORTOLIO MANGTA HAIN BUT

    MERE PAAS PORTFOLIO NAHI HAIN MAIN PORTFOLIO KAISE BANAU DATA ENTRY PAR KYA MEIN

    1. nahi isme fraud wali koi bat nahi hai Payza ek online bank hai aur iske Million se bhi jada user hai

  43. sir mene epay par account banaye hain lekin log in karne par do cheez mang raha hain

    EMAIL VERIFICATION CODE AND GOOGEL VERIFICATION CODE LEKIN EMIIAL VERIFICATION CODE TO MIL JATA HAIN PAR GOOGLE VERIFICATION CODE KAHAN AAYA HAIN ,KAHAN MILEGA PATA NAHI ISE STEP BY STEP BATAYE SIR

    WITH IMAGE EPAY

    1. play store me jakar Google Authenticator ko install karle.

      Install karne ke bad BIGIN par click kare.

      Add account option me scan a Barcode ya enter a provider key dono me se koi Ek select kare kare.

      Ab aap epay account verification options me jakar Barcode scan kare ya your key me Barco ke right me Jo Code show horaha hai usse Dale.

      Ab aapke samne epay Google verification code aajaayega is code ko dalna hai
      verification code dal kar confirm kar le.

  44. SIR MEINE PEOPLE PER HOUR PAR ACCOUNT BANA LIYA HAIN AUR SARI FORMALITIES PURI KAR LI LEKIN EK PROBLEM AA RAHAI HAIN

    SIR MERA WORK KAHAN PAR AAYA HAIN AUR US WORK KO COMPLETE KARKE KAHAN DENA HAIN SIR PLEASE BATAYE

    SIR ZALDI BATAYE YE PROCESS KYOUN KI MEIN BAHUT DINO SE TRY KAR RAHA HOON PAR KOI PURI JANKARI NAHI MILI

  45. hello sir aaj ka mera sawal affiliate marketing aur online promoting se hain jisse mein earning kar saku

    MERA SAWAL HAIN FACEBOOK PAGE MAIN KIS CATEGORY KA BANAU KYON KI MUJHE AFFILIATE MARKETTING AUR PROMOTING KA KAM KARNA HAIN TO KAUN SI CATEGORY CHOOSE KARU

  46. sir upwork mein employment history maang raha hain main abhi beginner hoon to mein kya karu

    sir mera question hain ki mein kabhi data entry ka kaam nahi kiya hain aur mere paas experience bhi nahi hain to mein overview main kya dalu kya mein experience ke baare mein jhooth dalu

    agar jhooth daloonga to employement history mein experience kahan se dalung yeh meri problem hain

  47. SIR MEINE FAUCET HUB KA JAB ACCOUNT BANAYA THA TAB UNICOIN WALLT ADDRESS FAUCET HUB SE LINK KIYA THA PAR AB MUJHE USE CHANGE KARKE BLOCKCHAIN KA ADDRESS LINK KARNA HIAN ISSE KOI PROBLEM TO NAHI HOGI

    KYOU KI MAIN BITCOIN JITNE BHI KAMAYE HAIN WOH SAB UNOCOIN JO FAUCET HUB SE LINK HIAN US PAR GAYE HAIN KAHIN CHANGE KARNE PAR WO SARE BITCOIN CHALE TO NAHI JAENGE KAHI MERI MEHNAT KHARAB TO NAHI HO JAYEGI

  48. sir ek faucet site jis per main register kiya aur log in karne par jab mein koi bhi earning coin claim karne jata hoon to wahan claim ki jagah disable adblocker likh kar aa raha hain main koshish ki phir bhi nahi ho raha hain

    site ka naam hai ALLCOINS.PW

    1. Aape apne web browser me add blocker ko enable kar rakha hai. Use disable kar den. Browser ke Right Top me adblocker ka logo hoga

  49. SIR MY PAYING ADS FRAUD HAIN LEGIT .

    SIR MERA ACCOUNT KHUL NAHI RAHA HAIN KAFI DENO SE SAB KHUCH THEEK HAIN PASSWORKD USER NAME PHIR BHI ACCOUNT OPEN NAHI HOT A

  50. SIR JAB MEIN FACEBOOK PAR KOI PRODUCT KO POST KARTA HOON TO YEH LIKH KAR AATA HAIN

    You can’t post this because it has a blocked link
    The content you’re trying to share includes a link that our security systems detected to be unsafe:

    linkshrink.net

    Please remove this link to continue.
    If you think you’re seeing this by mistake, please let us know

    ISKA SOLUTION STEP BY STEP BATAYE

    1. Bena https wala link share kar rahe hai kya facebook har link ko support nahi karta hai.
      Better ye rahega ke Aap
      Facebook par Aapna ek page create kar len Aur usme Product ko share Kaiya Kare

  51. SIR MUJHE AFFILIATE MARKETTINGKARNE HAIN TO KYA MAIN FACEBOOOK PAGE BANATE SAMAYE CATEGORY BUSINESS CHOOOSE KARU

  52. SIR MERA SAWAL HAIN KI KYA MAIN EK SE ADHIK FACEBOOK PAGE BANA SAKTA HOON EK HI FACEBOOK ACCOUNT SE.

    DOSRA SWAL KYA MAIN FACEGROUP EK SE ADHIK BANA SAKTA HOON EK HI FACEBOOK ACCOUNT SE

    THANKS SIR

  53. sir paypal account bana raha hoon par proof of address maang raha hain

    pehle bank statement and doosra cancelled chekced maang raha hain

    mere pass check nahi hain aur bank statement ka kya karu

    kya doosra koi proof address laga sakta hoon

  54. SIR MEIN GET CRYPTOTAB PAR BITCOIN MINE KAR RAHA THA PAR JAB MEINE WITHDRAW KARNE KI KOSHISH KI TO MERA BALANCE LOST HO GAYA PATA NAHI KAHAN CHALA GAYA

    KYA MEIN BALCANCE KO RECOVER KAR SAKTA HOON AGAR HAIN TO BATAYE

  55. Thank you For sharing the Great article and this article is very helpful for me. we follow this technique in my activities to improve and I have learned a lot from you

  56. SIR MEINE APPRENTICE KE LIYE NATS MEIN FORM FILL KIYA TO USME GALATI HO GAYI TO KYA BATA SAKTE HAIN CORRECTION KAISE KARU KYOU KI CORRECTION KARNE KA KOI OPTION NAHI HAIN

    SIR MEINE QUERY BHEJ DI PAR REPLY NAHI AAYA

    SIR LAST DATA 10 AUG HAIN ZALDI BATAYE

  57. sir mere coinbase ke account mein bitcoin hian aur mein use payeer account mein transfer karna chahta hoon to kasie transfer karu mujhe samahe mein nahi aa raha hain .

    sir iske baare mein detalis se bataye.

  58. SIR JESE MERE COINBASE MEIN KUCH BITCOIN PADE HUYE HAIN AUR MAIN UNKO PAYPAL MEIN LENA CHAHTA HOON TO MAIN KYA STEP FOLLOW KARU AUR KYA YEH HO SAKTA HIAN’
    STEP BY STEP OR IMAGE KE JARIYE BATAYE TO ACCHA HOOGA

    THANKS SIR

    1. Buy/sell option me jakar sell select kare
      1. Sell from me apna BTC wallet select kare
      2. Deposit to me Paypal select kare.
      3 Amount me jetna send karna hai utna money dale.
      4. Sell Bitcoin par click kare.
      Transfer Money from Coinbase to Paypal

      Confirm your transfer me sell confirm kare
      Confirm your Coinbase to Paypal transfer

  59. thank you sir mere sawal ka jawab dene ke liye

    aaj ka mera sawal hain ki kya hum cureency to curreny earn kar sakte hain jaise

    jaise kisi kisi desh mein indian rupee ki valeue jyada hain to kya hum us indian ruppe ko doosre desh ki mudra mein change karke jyada earn kar sakte hain..
    mere kehna ka matlab hain ki

    INDIAN RUPPE KO KISE DESH KI MUDRA MEIN CHANGE KARKE PHIAR USE APNE ACCOUNT MEIN DOOSRE MUDRA KA BRABAR AMOUNT APNE BANK ACCOUNT MEIN RECIEVE KAR SAKETE HAIN KI NAHI

    1. Aisa to ho sakta hai par iske bare me mujhe Jada knowledge nahi hai.
      Aap Google YouTube ki help le sakte hai.
      Bas ek bat ka dheyan rahe ke jis site se bhi currency convert karenge to vo convert karne ka charge lega isliye pahle aap check kar lenki aisa karne me benefit ho raha hai ke nahi

  60. sir my question is mein thorex airdrop ko my etherwallet mein withdraw kaise karu kyou ki main isme naya hoon aur mujhe withdraw karne ka process isme nahi pata

    sir pls bataye ki thorex airdrop ko my ether wallet mein kiase withdraw karu

    sir step by step batayega jaise pehle imge ke zariye bataya tha

  61. HI SIR MY QUESTION ARE
    FIRST:- SIR MERE COINPAYMENTS KE ACCOUNT MEIN CPS COIN KUCH PADHE HUYE HAIN AUR MAIN UNKO BITCOIN MEIN CONVERT KARKE PAYPAL MEIN SEND KARNA CHAHTA HOON PAR KAISE KARU SAMAJH NAHI AA RAHA HAIN AUR YAD MEIN CONVERT KARTA HOON TO KYA YE TURANT CONVERT HO KE BITCOIN MEIN DIKHAYEGE KYOU KI MUJHE PAYPAL MEIN TURANT BHEJAN HAIN

  62. sir process bataye kaise atm debit card se paypal me money add kar sakte hain pls reply soon thanks for answer.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button