Youtube Par Kaise Video Upload Nahi Karne Chahye

Hello Dosto, aap ne Youtube Chanel to bana liya aur bahut sare video bhi upload kar diya par aap ko ye pata hai ke koun koun se video upload nahi karna chahiye. to ham is post me janenge ke Youtube Par Kaise Video Upload Nahi Karne aur hamare video copyrighted na ho.

Youtube Par Kaise Video Upload Nahi Karne Chahye

Jab ham Youtube par starting me video upload karna shuru karte hai. To hamare hi banaye hue video copyrighted ho jate hai. Isliye aapko videos upload karne se pahle ye jan lena jaruri hai ki ham kis tarah ke video YouTube par upload kare.

Jab hamara apna banaya hua (self created) video copyrighted ho jata hai. To hamare man me yahi sawal uthta hai ki ye video to maine khud banaya hai lekin fir bhi copyrighted ho gaya. Lekin isme galti hamari hi hoti hai ham YouTube ki policy ko sahi tarike se follow nahi karte hai. Aur hamari video copyrighted ho jati hai. Aksar ye problem new YouTube user ko hoti hai.

Youtube par Video upload kaise kare ye to aapko pata hi hoga, agar aapko nahi pata hai to ye post bhi pade:

Computer se youtube par video kaise upload kare
Mobile se Youtube par Video kaise upload kare

YouTube Me Kon kon Se Videos Copyrighted Ho Sakte Hai ?

Agar aap YouTube pe video upload karke paise kamana chahte hai. To iske liye aap ko YouTube ki policy ko acche se follow karna hoga. Youtube me daily na jane kitne log YouTube channel banate hai. Lekin 10% log hi success hote hai. To aaj mai apko yahi batane ja raha hu ki ham kaun se video YouTube par upload nahi kar skte hai.

Youtube Channel Par Kaise Video Upload Nahi Karne Chahye

To dosto ab ham apne topic par chate hai aur jante hai ke Youtube Par Kaise Video Upload Nahi Karne Chahye.

  • 1:  Games and Software: Ham kisi bhi game ya software ki screen recording karke YouTube par Video upload nahi kar skte hai.
  • 2: TV and Movies: Ham kisi bhi tv serial ya movies ki recording karke YouTube par Video upload nahi kar skte hai. Agar hamne Video upload kar bhi diya to Serial ya movies ke owner ham pr copyright ka claim laga kar hamara video delete karwa skta hai.
  • 3:  Sound Recordings: Ham kisi ke bhi music ya sound ko upload nahi kar skte hai. Agar music ya sound YouTube par pahle se hi uploaded hai toh hamare video par copyright claim lag skta hai aur hamara video delete ho skta hai.
  • 4:  Advertisement: Ham kisi ke advertisement poster ke videos banakar upload nahi kar skte hai.
  • 5:  Your Age: aap YouTube par video tabhi upload kar skte hai. Jab aapko age 17 year se jyada ho. Agar apki Ummar 17 year se kam hai to apki video delete ki ja skti hai.
  • 6: Porn: Koi bhi aslil Blue flim ke video bhi ham YouTube par upload nahi kar sakte hai..
  • 7:  Kisi ko koi problem na ho: Hamne jo Video upload kiya hai usse agar kisi insan ka nuksan ho raha hai to wo YouTube se Complain report karke us video ko delete karwa sakta hai.
  • 8: Video ki permission: Agar hamne koi video upload kiya hai jo copyrighted hai to hamare pass kiska legal notice hona chaiye jisko ham YouTube me upload karke us video ko upload kar sakte hai.
  • 9:  Hacking Video: Agar aap kisi chij ko hack karne ka tarika bata rahe hai video me. Jese Facebook Password kaise hack kare wagaira wagaira to bhi aapka account delete ho sakta hai.

Agar aap is tarike ke video youtube par upload karenge to aapke videos copyrighted ho skte hai. Agar aap in points ko sahi se follow karoge to apke video kabhi bhi copyrighted nahi hoge. Ek bat apko hamesha yad rakhni hai. Aap self created apne se banaya hua video hi YouTube par upload kare, Kyu ki dusro ki videos se ham kuch bhi nahi kama skte hai.

Video Upload karne ke baad uski setting kaise kare ki wo aasani se search me aa sake uski jankari yaha hai.

Ye Bhi Pade:

Ache Video banane ke liye kya jaruri hai
Youtube ke Subscriber kaise badaye
website me youtube video ko kaise add kare

Related Articles

3 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button