YouTube Par Video Upload Kaise Kare Jane Hindi?Urdu Me

Hello Dosto, aapne to YouTube par apna channel banahi liya hoga aur ab aap ye janna chahte hai ke apne YouTube channel par video upload kaise karte hai.

YouTube Par Video Upload Kaise Kare
Youtube ek bhut hi achha tarika hai online paise kamane ka aap ye to jaante hai. aur aapne phele ye bhi jaan liya tha ki YouTube se paise kis tarike se kamate hai.

Bhut log YouTube se paise to kamana chate hai par unko ye pata nahi hota ki youtube par apne video ko kaise upload karte hai, aaj is post me mai aapko batane jaraha hun ke videos ko Youtube channel par kaise upload kare.

YouTube Par Video Upload Kaise Karte Hai

Youtube par channel bana kar video upload karna koi jada mush kil kam nahi hai aap niche bataye jarahe step ko follow karke asani se apne youtube account par video ko upload kar sakte hai.

Step 1:

Computer me koi bhi web browser open kare aur apne gmail account me login karke Youtube ke home page par jaye. Right top bar me Upload ka options hoga upload button par click kar ke Select files to upload par click kare. (*Mobile me Video upload karne ka alag tarika hai janne ke lie yaha click kare.)

Select files to upload youtube channel

 

Step 2:

Select file to upload par click karte hi ek popup open hoga, Ab aap ko computer PC ke jis folder me aap ka video hai us folder me jakar video select kar ke open par click kare.

Select Video to upload youtube

Youtube par kaise video upload nahi karne chahiye uski jankari yaha hai.

Step 3:

Video Select karke open karne ke bad aapke youtube channel par video upload hone lagega, Ketni der me hoga ye depend karta hai aapke internet speed hai.

Jab tak aape computer se youtube par video upload ho raha hai tab tak aap us video ka details dal sakte hai ke aapne ye video kis chijke bare me banaya hai etc..

  1. Video ka title name dale.
  2. Kisi ke bare me video hai uska description dale.
  3. Yaha tags dale.
  4. Thumbnail select kare jo aapke video par show hoga.
  5. agar aapne video ke liye alag se koi image banaya hai to Custom thumbnail option se add kar saktee hai.
  6. Aap apne youtube channel par bahut sara video dalna chahte hai jis category ka video hai uska playlist bana le aur ussi me add kare.
  7. koi message video par dalna chahte hai to yaha par likhe.
  8. Ek bar pura details check aur 100% Video upload ho jane ke bad Publish Button par click kare.

Youtube Video Details Dale

 

Step 4:

Youtube se paise kamane ke liye aapne Youtube Videos Monetize enable And Adsense Se Connect kya hua hai. to video par advertising show karne ke liye monetize enable karne ka option yahi par hai.

  1. Monetization par click kare.
  2. Monetize with ads ko enable kare.
  3. Jo ad format select karna chahte hai usse select kare, best yahi rahega ke ap sabko select kare.
  4. then Video ko Publish kar de.

youtube Video Ko monetize kare

is tarah se aapne apne youtube channel par video upload kar ke publish kar liya hai, publish karte samai apne video ko Google+ aur Twitter account par bhi Shear kar diya kare.

  1. Agar aap ka koi video Google+ par bhi hai to usko aap direct YouTube par daal sakte hai.
  2. Direct apne webcam se record karke aap youtube par video upload kar sakte hai.
  3. Google+ se video chat karte huee aap apni live video youtube par daal sakte hai

Aapne jo video phele se upload kar rakhe hai usko yaha par jaa kar edit kar sakte hai. kaise edit karte hai ye me aapko baadme bataoga.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button