Google Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai

Adsense account me Address pin verification kaise kare. Online money income karne ke liye Blogging karna sabse better tarika mana jata hai. jisse asani se paise kamaya jata hai.  Jab ham blogging karte hai or hamare blog par visitor aane lagte hai to uske bad ham google par adsense account ke liye apply karte hai.

Or jab adsense account approve hojata hai to paise earn karne ke liye hame jarurat hoti hai adsense ads ko blog par lagane ki oar jab hamara income $10 + hojata hai to google adsense ke traf se address verification karne ke liye hamare home address par PIN code aata hai.

Jisse adsense account me pin code dalkar address ko verify kiya jata hai. Is article me mai aapko batane jaraha hun ke adsense par address (PIN) verify kaise karte hai pure details ke sath Hindi me.

Google Adsense Address pin verification kaise kare

Google adsense duniya ki sabse top advertisement company hai.Iss liye ye popular aur treatable bhi hai.waise to lagbhag India me sabhi bloggers ke pass adsense account hota hai. Par new blogger ko adsense account approved hone ke bad , ad units create karne me or blog par ads placement karne me or bhi bahut sari jagah me problem aati hai.

Most Read..

Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai?

Jab aapke adsense account me 10$ earning ho jata hai to google aapke diye gaye address par pin code send karta hai. Ye pin code ek post card me hota hai jo apke address ko verify karne ke liye apke address hoe address pe atata hai.

Iss pin code ko address par pahuchne me kam se kam 2-3 week 20-25 din lag sakte hai. ye apke location pe depend karta hai India me bhaut se logo ko pin code receive karne me problem hoti hai.ye problem location ke vajah se hoti hai. kyu ki bhaut se jagah pe India me postal address sahi nahi hone ki wajah se aisi samasya ati hai.

Jab hamare postal address par PIN code aaata hai to isko verify karna bahut hi asan hai bas aapko pin code dal kar account verify kar lena hai.

Jab AdSense par humari income $10 se jyada ho jati hai to AdSense ke homepage par ek message show hota hai. “Your Payments are currently on hold because you have not verified your address.”

Jab is tarh ka message aapke account me show hone lage to Iska matlab hai ke google ne aapke postal address par ek letter post send kiya hai jisme address verify karne ke liye PIN code hai. Aapke postal address par 25-30 days me vo post aapko receive hojayega pin receive hone ke bad ab aapko vo pin code dal kar address verify kar lena hai.

To chalye dosto ab ham jante hai ke PIN code dal kar address verification kaise kiya ye karna bilkul asan hai.

Sabse pahle aap Apne Google adsense account me login Kare.

Login karne ke bad home page me Notification show horaha hoga, jisme likha hua hoga (Your Payments are currently on hold because you have not verified your address) ab aapko chahe to right site me top par notification icon par click karke ACTION par click kare ya fir right me ACTION button par click kare.

.AdSense address verify alert

Action par click karte hi aap verify address section me pahunch jayenge yaha aap Enter your PIN ke niche most recent IN was generated me aap date dekh sakte hai ke kab send kiya gaya hai.

PIN was sent to me apna postal address dekh sakte hai jis par google ki taraf se PIN code bheja gaya hai.

Ab aapko receive kiye hue Google letter ko khole or usme Your PIN me jo code hai usse Enter your PIN me dal kar Submit PIN par click kare.

Google adsense par address pin verification kaise kare

Congratulation dosto aapne bilkul asani se apna address verify kar liya hai. ab aapko apna bank account details submit karna hai jis par aap earn kiya hue money receive hoga.

Most Read.. Adsense me bank account submit kaise kare

Note:- Agar aap adsense account apply karte samai address me koi galti kardi thi or aapke address par (pin) verify code nahi aapaya ya aap apna address change edit karna chahte hai to vobhi asani se kar sakte hai.

Adsense Address Change Edit Kaise Kare

Ye karna bhi bilkul asan hai aap simple left bar me aap Settings ka option dekh sakte hai usme Settings>> Payments>> MANAGE SETTINGS par click kare.

adsense account settings

Next section me aap Payments profile page par pahunch jayenge ab aap jis jis options ko edit karna chahte hai yaha se kar sakte hai, than Name and address me pencil ke icon par click karke apna pura details edit kar le.

screen me

change edit adsense address

 

Adsense Address Verification Se Relate Sawal Jawab:

Q. 1 Adsense ki letter post kitne din me milti hai?

Ans- Jab aapke account me $10 hojayega or aapke main balance me pure month ka earning  show hoga uske bad next month 1st date ko AdSense aapke address par post bhejega. isme kitna time lagega.

ye aapki location par depent karta hai. agar aapki location kisi city ke aaspas ki hai to aapko 3o days ke andar post receive ho jayega.

Q. 2 How to Request a Nw PIN? Naya PIN Kaise Generate Kare?

Ans – Agar aapko kisi wajah se 4 weeks ke bad bhi PIN na mile to aap new replacement PIN ke liye request kar sakte hai. Iske liye aap ye step follow kare. New PIN ke liye request karne se pahle pata kar le ki aapka payment address bilkul sahi hai ke nahi.

To request a new PIN:

  1. Go to adsense.com and sign in with your gmail account.
  2. In the left navigation menu, click on Settings.
  3. Click Account then click Account information.
  4. Now click the Verify address link.
  5. Click Request new PIN at the bottom of the page.

Is tarah aap apne payment address par new pin send kar sakte hai. Ye PIN aapke first PIN ki duplicate copy hoti hai or is letter post me same wohi 6 digit ka code hoga jo first PIN me tha.

Q. 3 Verification pin code post ke liye ketni bar apply kar sakte hai?

Ans – Sirf 3 bar, agar aap ko tin bar me bhi post receive nahi ho paya hai. to uske bad aapko AdSense team se bat karni padegi.

Q. 4 Kya 3 bar apply ki gai post me alag-alag pin code hota hai?

Ans – aap 1 se jyada post ke liye apply karoge to bhi sabhi post me same hi code hoga. isliye aapko jo bhi post mile uska code use kar sakte hai.

Q. 5 Teen bar me bhi post nahi receive hone pe kya karna hoga?

Ans – Aapko apne Id proof se address verify karna hoga jaise Voter id, Passport, Aadhaar card Utility bill etc.. jisse verify hojayega.

Q. 6 Wrong PIN code Ketni bar dal sakte hai?

Ans – Sref teen bar hi dal sakte hai agar teeno bar code galat dalenge to aapka account suspend ho jayega.

Adsense Ki Post Kaisi Hoti Hai?

Adsense aapke postal address par jo post send karta hai. us me ek taraf aapka address or dusri taraf sirf google likha hota hai. niche image me AdSense pin verification letter ka screenshot dekh sakte hai.

AdSense pin post letter screenshot

Aapse ek bat kahna chahunga ke Indian villages me google AdSense ko koi nahi janta isliye ek bar post office me jakar postman ko bolde ke google ki tarf se post aane wala hai or aap chahe to uski photo bhi dikha sakte hai.

Post milne ke bad use open kare. usme jo 6 no.1 ka verify code hai. wo aapko AdSense par verify karna hai. post milne se pahle galat code try nahi karna hai. warna AdSense aapko block kar sakta hai.

Ab aapko ek kam karna or rah gaya hai Adsense me bank account number add karna jisse aap apna kamaya hua paise ko receive kar sake.

Most read..

I hope aapko ye post pasand aaya hoga. agar aapko is post me kisi sawal ka jawab na mila ho to aap niche comment box me apna sawal puch sakte hai. Or is article ko apne dosto tak share karna na bhule thanks.

Ye bhi padhe..

Related Articles

9 Comments

  1. Hello sirmeri estimate earning 60$ ho gai he gpin abhi ni aaya he but google adsencekehomepaepe ye show ho raha heeska malab kya he bhai plz bataiye

    We mailed you a PIN on Nov 12, 2017. It should take 2-4 weeks to arrive. Verify your address by entering the PIN we sent you.

    1. Ketne din pahle aapke address par pin send kiya gaya hai vo dekh le.
      1 month se jada ho gaya hai to apna address check kare sahi hai ke nahi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button