Paytm Kya Hai? Paytm Account Kaise Banaya Jata Hai

How to create Paytm wallet Account in Hindi/Urdu. Hello dosto kya aap Paytm par apna account bana chahte hai. aur ye janna chahte hai ke paytm kya hai. to is article ko pura padhe is post me mai aapko paytm account kaise banaya jata hai ke bareme puri jankari share karne jaraha hun Hindi/Urdu me.

How to Create Paytm Account in Hindi

Paytm Kya Hai ?

Paytm India ki ek bahut hi Popular Mobile Commerce company hai. joke starting me mobile recharge and online utility bill payment karne ke liye jani jati thi.

Ab paytm ne apne consumers ko pura marketing pales diya hai, jaha par aap apne jarurat ki sari chij online le sakte hai wo bhi apne mobile app se.

Paytm par har month 10 Million se jada orders aate rahte hai, Isko One 97 Communications name ki company chalati hai.

Isko use karne ke benefits bahut sare hai iski help se aap apna Electricity Bill, DTH Recharge, Train ticket, Flight ticket booking, Online Shopping Payment aur Mobile Recharge etc.. through Paytm se kar sakte hai.

Kuch aur bahut sare aise kaam jinke liye market me jane ki jaruart padti hai, wo sab kaam mobile se paytm app ke through ghar baithe hi kar sakte hai. Iske alawa aap apne wallet ke paise ko direct bank account me bhi daal sakte hai ya apne kisi friend ke wallet me transfer bhi kar sakte hai.

Isko use karne ke liye aapko bas Paytm par apna account ID banana hoga. Aap chahe computer user ho ya mobile user dono me isse aasani se use kar sakta hai. Dono ka same hi tarika hota hai, aur ye puri tarah se trusted service hai. Is par online transaction karna bahut easy hai.

Paytm Par Account Banane Ke Liye Kiya Kiya Chahiye ?

Account banane ke liye sabse pahle apna mobile number registration karna hota hai. Android user phele mobile me Paytm App Download karke Account bana sakte hai. aur laptop computer user direct site par jakar easily apna account create kar sakte hai. Paytm use karne ke liye kuch jaruri chize apke pass hona chahiye.

  1. ATM Card
  2. Credit Card
  3. Net Banking

Inme se koi bhi ek hoga to chalega aur ha! “Paytm use karne ke liye apke bank account me Balance hona jaruri hai, tabhi aap apne paytm wallet me money add kar ke online shoping ya recharge kar payenge”. Yah service cashback code aur coupons ke liye Popular hai. Promo Code aur Coupons Mobile me sasta Recharge Cashback me use hota hai.

Paytm Account Kaise Banaya Jata Hai Puri Jankari?

Paytm account banana bahut aasan hai. Agar aap computer/laptop pc me account bana chahte hai to uske liye simple aap www.paytm.com pa jaye aur top par Log In/Sign Up ke option par click karde. ek popup window open hoga jiesme aap aasani se account bana sakte hai.

Yaha mai aapko mobile me app ke through paytm account banane ka tarika batane jaraha hun. aap chahe computer se account banaye ya mobile app se dono ka tarka same hai.

Step 1: Install Paytm app

Sabse pahle aapko apne mobile me paytm App download karke install karna hai. uske simple play store open kare aur search bar me paytm type kare.

Ab aapke same Payments, Wallet, Recharge, QR Scan.. likha hua Paytm app show ho jayega bas aapko INSTALL par click kardena hai.

Install Paytm app

Install par click karte hi aapke android mobile me paytm app download hone lagega, app download ketni der me hoga ye depend karta hai aapke internet speed par.

Step 2: Choose language

Mobile me app install hone ke bad,  ab usse open kare jaise hi aap app kholenge sabse pahle aapke samne Language chunne ka option aayega.

Aap chahe to apne bhasa ke anusar koi bhi Language choose kar sakte hai. best yahi rahega ke English hi rakhe. English select karke Continue button par click kare.

Choose language

How to Create Paytm Wallet Account In Hindi/Urdu

Step 3: Login to Paytm

Language select karke Continue button par click karne ke bad, ab next screen pe login karne ka option ayega. Page ke niche Create a new account ka button hoga Create a new account option par click kare.

Create a new account in paytm

4: Create a New Paytm Account

Create a new account par click karne ke bad ab next page me registration ka options aajayega jaha aapko apna mobile number, password, and email address dal kar new paytm account register kar lena hai.

  1. Yaha apna mobile number dale jis par OTP code ayega.
  2. Minimum 5 character ka password dale. kamse kam 1 number aur 1 Alphabet hona jaruri hai.
  3. Email Id dale. (Email address kaise banaye uski jankari yaha hai).
  4. Sab sahi sahi dalne ke bad Create a new account ke button pr click kare.

signup paytm

5: Verify Phone Number

Mobile number aur email address dal kar create a new account par click karne ke bad aapne jo mobile number dala tha uss par Paytm ki traf one time password (OTP) code message aayega jisse dal kar apna mobile number verify karna hai.

Agar aapke Android phone me same mobile number hoga to aapko OTP dalne ki jarurat nahi hai OTP automatic lelega.

  1. Enter OTP option me 6 digit code dale.
  2. Done par click karde.

Enter Paytm OTP

6: complete your profile

Phone number verify karne ke bad Next page me ab aapko apna profile details dal kar paytm share details complete karna hai uske liye.

  1. First Name: me apna pahla naam dale.
  2. Last Name: me apne aakhri naam dale
  3. Date of Birth: me apna janam din likhe.
  4. Mard hai to Male, Aurat hai to Female select kare.
  5. Ek bar sab check karle fir Create Account button par click kare

complete your profile

7: Set Paytm Passcode

Profile complete karne ke bad ab aapko Paytm Passcode yani 4 digit ka Pin code set karna hai jo ke bad me aapko Account recovery karne me kam aayega. jaise Password, and mobile number etc..  change karna.

Set your Paytm passcode box me 4 digit ka koi bhi number dale, Pin code aisa hona chahiye jo aapko bad me aasani se yadd rakh sake.

Set your Paytm passcode

8: Confirm your paytm passcode

4 ank ka pin code dalne ke bad ab ek bar same wahi pin code dal kar passcode confirm karle.

Confirm your paytm passcode

Pass code dalne ke bad ab aapka Paytm Account successfully ban gaya hai. ab aap paytm app ke home page par visit kar jayenge.

successfully created paytm account

Aap chahe to aap apna balance dekh sakte hai Wallet me 0 balance show kar raha hoga, kiyu ki abhi apka new account create kiya hai. aap Add Money ke option par jakar Net Banking ya ATM Card se Wallet par Mony Transfer kar sakte hai.

To dosto aapne online jankari blog ki is post se jan liya ke Paytm Kya Hai Or Kaise Use Kare in Hindi – Account Banane Ka Tarika,

Upar bataye gaye method me agar apko account banane me koi problems arahi hai, ya kuch puchna chahte hai to comment karke puch sakte hai. Apke sabhi sawalo ka jawab dene me mujhe khusi hogi.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button