SBI New ATM/Debit Card Online Apply Kaise Kare

How to apply for new atm card in SBI online, New ATM/Debit card online apply kaise kare. State bank of India me har kam asan hogaya hai Chahe new account ke liye apply karna ho internet banking online registor karna ho chahe Aadhaar card PAN card Link karna ho. Ab aap Ghar baithe online har kam kar sakte hai, vo bhi bea branch gaye hue.

Aap chahe to asani se ATM/Debit card ke liye SBI me online Apply kar sakte hai aur use Activate bhi kara sakte hai, vo bhi bena State Bank branch gaye hue.

Ye kam aap ghar baithe bena branch gaye hue internet ke thorough SBI ka koi bhi Debit card Global VISA, Paywave, Platinum, Gold International Debit card etc,  Online Apply karke apne Ghar par manga sakte hai.

how to apply for new atm card in sbi online

Kcuch Month pahle jab SBI me Online ATM/Debit card apply karne ki suvidha upladh nahi thi tab SBI ke customer ko bahut sari problems ka samna karna padta tha.

Bank branch jakar from fill karke jama karna, aur ghanto ghanta branch me bath kar wait karna. kabhi bhi staff nahi hai to khabhi server down hai, aur bhi bahut sari problems hua karti thi.

Par ab aisa nahi hai ab aap har kam onlinesbi par kar sakte hai. Dusre Banks ki tarah State Bank of India ne bhi apni jyada se jyada facility ko online kar diya hai. Lagbhag aap tamaam SBI ki services ko online use kar sakte hai. aur ATM/Debit se related saare kaam aap online kar sakte hai.

SBI New ATM/Debit card Online Apply kaise kare?

SBI debit card apply online karna bahut asan hai bas iske liye aapka SBI me net banking chalu hona chahye. Agar aapne SBI me internet banking activate nahi kiya hai to pahle apna net banking activate kare.

To dosto mai man ke chalta hun ke State bank of India me online net banking activate hai, ab jante hai ke sbi ATM/Debit card apply online kaise kar sakte hai.

Iske liye nahi to aapko kisi application form ki jarurat hai aur nahi branch jane ki jarurat hai. to chalye jante hai ke sbi  new atm card online apply kaise kiya jata hai.

1: Login SBI Account

SBI ATM card apply online karne ke liye sabse pahle aap ko onlinesbi.com par visit karke apne net banking account me login karna hai. OnlineSBI me login karne ke liye yaha click kare.

2: e-Services

Online sbi account me Login karne ke baad: ab aapko new ATM/Debit Card online apply karne ke liye.

  1. e-Services option par click kare.
  2. left-side me ATM Card Services ka toptin hoga uspar click kare.
  3. ATM Card Services optins me Request ATM/Debit Card par Click Kare.

sbi debit card online apply

2: Choose validate Option

Request ATM/Debit Card option par click karne ke bad Next screen me Account Validate karne ke liye “OTP” ya “Profile Password” ke jariye Account validate kare. OTP se validate karna hai to OTP aapke Mobile number par aayega. best yahi hai ke Using Profile Password select kare.

sbi atm card online registration

Agar aapne profile password select kiya hai to ab yaha apna profile password dal kar submit par click kare.

sbi debit card apply online

3: Request ATM/Debit Card

Profile password ya OTP dalne ke bad Ab next Screen me aapko apna name aur kis type ka card apply karna chahte hai vo select karna hai.

  1. Account Number Select kare.
  2. Name on Card me apna Name Enter kare, yahi Name aapke ATM/Debit card par Print ho kar ayga.
  3. Select Card of Type me apna card Select kare, jisme aap kayi tarah ke Cards Choose kar sakte hai.
  4. I Accept terms par tick √ mar kare
  5. then uske bad Submit par click kare.

SBI New ATM Debit Card Online Apply Kaise Kare

4: Confirm Request

Next screen me aapko bus saari Details Check karke confirm karna hai puri details sahi hai ke nahi then “Submit” par Click kare.

SBI Debit card apply online

Congratulations aapne SBI me online ATM/Debit card ke liye Successfully Apply kar diya hai.

Ab aapka SBI ATM/ Debit card online Apply karne ke baad 15-20 din ke andar aapne jo address bank account open karne ke waqt diya tha ussi address par aapka card jaayega.

Jab aapke ghar par online aaply kiya hua card ajaye to usse Activate karna hai. Activate karne ke liye aapko Branch jaane ki jarurat nahi hai. Ye kaam bhi aap Onlinesbi par kar sakte hai.

ATM/Debit Card Online Activate Kaise Kare?

Debit card ko online Activate kana sbi debit card apply online se bhi bilkul easy hai.

  1. Onlinesbi Account par Log-in karne ke bad. e-Services par Click kare.
  2. e-services me visit karne ke bad Left side me ATM Card Services par click kare.
  3. Ab New Card Activation par Click kare.

ATM/Debit Card Online Activate Kaise Kare

Ab Next aapko apna Account Number select karke “Enter ATM card Number” and “Re-Enter ATM card Number” dono jagah apna ATM number dal kar Activate par Click kare. Bus aapka card Activate ho chuka hai.

Activate new ATM card Online in SBI

To dosto is tarah se aap SBI me online ATM/debit card apply kar sakte hai aur ATM card ko online activate kar sakte hai. I hope ke aapko yah post pasand aaya hoga.

SBI se related ye article bhi padhe.

Related Articles

One Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button