SBI Bank Account Me PAN Card Online Link/Register Kaise Kare

Link PAN card to SBI account online. Hello dosto Kya aapka PAN Card  SBI bank Account me link register hai, Agar aapne abhi tak apne pan card ko bank account se nahi joda hai to aap sabse pahle apna PAN card number ko SBI account me add register kare.

Ye bahut hi jaruri hai. Ab pen card ko bank account se link register karna bahut hi asan hogaya hai ye kam aap ghar baithe internet ke through online kar sakte hai.

How To Link Pan Card To SBI Bank Account

PAN card ko bank account ke sath register karne ke waise to kayi sare benefits hai jaise ke aapko Rs.50000 se jada transaction karna hai to uske liye PAN Number add karna jaroori hai. agar aapke bank account me PAN crad register nahi hai to aap 50,000 se jada paise transaction nahi kar sakte hai.

SBI Bank Account Me PAN Card Online Register Kaise Kare

Agar Aap bank me Fix deposit karte hai to income tax se relief paane ke liye bhi aapko PAN card account se link karna jaruri hai. Net banking use karne wale customer ke liye liye bhi ye bahut impotent hai.

Internet Banking se related bahut sare aise kam hai jo ke bank account bena pan card update kiye hue nahi hopata hai. Agar aapke pass PAN card nahi hai to aisi condition me aap Form 60 fill-up kar ke bank me submit kar sakte hai. Par agar aapke pass pan card hai to aapko jaroor apne bank account me register kar  lena chahiye.

Agar aapke pass pan card nahi hai to aap pan card banane ke liye online bhi apply kar sakte hai 10- 15 days me aapke home address par buy post pan card aajayega . Online apply kaise kare iske bareme mai already pahle bata chuka hun.

Most read.. New pan card banane ke liye online apply kaise kare

To chalye dosto ab mai apne topic par chalta hu or aapko bata hun ke SBI me online pan card link/register kaise kare. bas uske liye niche diye gaye kuch simple step ko follow karna hai.

SBI me PAN card online register karne ke liye aapke pass internet banking activate hona jaruri hai tab hi jakar aap online pan card update/register kar sakte hai.

Agar aapne abhi ta sbi me apna net baking chale nihi kiya hai to aapko jada sonch ne ki jarurat nahi hai aap kuch hi step me asani se apna net banking register kar sakte hai.

Agar aapko sbi ki traf se internet baking kit nahi mila hai or aap net banking chalu karna chahte hai to ye post padhe.

Most Read.  SBI me internet baking online register kaise kare

Or aapke pass pahle se hi net banking kit hai or aap first time login karna chahte hai to uske liye ye post padhe.

Most readSBI Me first time user net banking activate kaise kare

To chaliye dosto mai aapko batata hu ki kaise aap apna PAN Number apna SBI account ke sath Online register/link kar sakte hai. usse pahle jan lete hai ke aapke account me pahle se to nahi pan card link/register hai.

Aap apna Aadhaar card ko bhi bena bank branch gaye hue asani se online ya mobile se SMS send karke bhi aadhaar card number bank account se link kar sakte hai. Aadhaar number State bank of India ke bank account me link kaise kare iske bare me mai pahle bata chuka hun.

Read. Aadhaar card ko SBI account se link kaise kare 4 method apna kar

SBI Account me PAN Card Register hai ke nahi Kaise Pata kare?

Jab Aap SBI me apna account open kiya tha to opening ke time pan card diya bhi add kiya tha. Ya aapko nahi pata hai ke aapke bank account me PAN card number add register hai ke nahi.

Aap apne SBI Net banking account me login kar apna registered pan card dekh sakte hai.

Simple aap onlinesbi net banking me login kare uske bad my account page par aapko “View Nomination and PAN Details” par visit kar ke ye check kar sakte hai. My Account> View Nomination and PAN Details> par click kare.

View nominatin and PAN card details

 

Next screen me aap apna registered pan number dekh sakte hai, Account information me PAN Registered ke niche aapka pan number show hoga.

agar aapka Pan number SBI account me registered nahi hai to waha par Click here to register ka link hoga. aap chahe to is link par bhi click kar ke register kar sakte hai.

SBI pan card information

Ye bhi padhe..

Link PAN Card To SBI Account Online – In Hindi

Jab aap bank account me pahle apna pan card register karte the to uske liye aapko bank branch me jakar KYC form fill-up kar ke sath me PAN card ka xerox photo copy bank me jama karna parta tha. par ab ye kam bilkul asan hogaya hai.

1# Login SBI account

Sabse pahle aap apne SBI ke Net banking me user ID and password enter kar ke login kare. www.onlinesbi.com

2# Visit Profile personal details

Apne Net Banking account me login karne ke baad aapko Profile page par jana hai uske liye top bar me Profile ka option hoga us par click karke personal details par click karna hai. Profile> Personal details> par click kare.

3# Enter profile password

Personal Details par visit karne ke liye next screen me aapko  Profile password enter karna hai. Profile password dal kar Submit par click kare.

SBI Enter profile password

4# Register pan card

Profile password dal kar Personal Details page me visit karne ke bad aapko left side me “PAN Registration” ka option dekhai dega uspar click karna hai. uske bad apna pan number dal ka submit karna hai.

  1. PAN Registration par visit kare.
  2. Visit karne ke bad CIf number select karna hai uske “Click here to register” par click kare.
  3. PAN number or Re enter pan number me same dale.
  4. 2 no jagar pan card number dalne ke bad “Submit” Par click kare.

Register PAN card to SBI account

5 # OTP conformation mode

Pan number dal kar submit par click karne ke bad Next screen me aapko confirm par click karna hai. agar aap SBI Secure OTP app use karte hai to OTP mode select karke Conform par click kare.PAN registration OTP Mode6# Enter One time password 

Aapke registered mobile number par OTP receive hogaya hoga Enter high security password me aapke mobile par jo OTP number aya hai use dal kar Conform par click kare.

Enter one time password

 

OTP conform karne ke bad aapka PAN number update hojayega or aapko screen par Your pan number added successfully. ka message show hoga.

PAN number update successfully

Done! Aapne apna PAN card sbi me registration ke liye submit kar diya hai.

SBI Me PAN card Online Submit karne ke baad Register Kab hoga?

Online PAN card number submit karne ke baad within 7 days me aapka pan card aapke bank account se register ho jayega.

Aap Status par click karke apna registered pan number check kar sakte hai aur sath me My Accounts> view nominations and PAN Details par click kar bhi check kar sakte hai. Abhi aapko Pending show hoga.

I hope ke aapko ye post pasand aya or isse read karne ke baad aap apne PAN card number ko sbi account ke sath register/link easily kar sakenge. Agar aapke paas Net banking ki sowidha nahi hai to fir aapko bank branch me jakar KYC form fill-up kar ke register karna hoga.

Ye bhi padhe.. 

Related Articles

3 Comments

  1. After completing all the steps which you have mentioned above, Will my PAN Card linked or again I have to visit my home branch to do follow up the same thing??

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button