SBI ATM/Debit Card Online Activate Kaise karte Hai Jane Hindi Me

How to activate sbi atm card online. Hello dosto keya aapne SBI ATM/Debit card online apply kiya tha ya aapke pass new SBI ATM debit/visa card hai, Jisse aap online activate karna chahte hai.

To is article ko pura padhe is post me mai aapko batane jaraha hun ke SBI ATM/Debit card online activate kaise kare uski puri jankari hindi me.

SBI ATM/Debit Card Online Activate Kaise kare

SBI ATM/Debit card Internet banking ke through online apply karna ketna aasan hai ye to aap jante hi honge. agar aapko nahi malum hai ke New ATM card ke liye online apply kaise karte hai. uske liye ye post padhe.

Most Read: SBI New ATM/Debit card online apply kare

State bank of India ne apne customer ki asani ke liye har kam net baking ke through kar diya hai. jisse user ko bahut hi asani hogai hai jaise.

Issi tarah aur bhi bahut sare future hai SBI internet baking me unme se ek ye bhi hai ke ATM/Debit card ko online activate karna.

Waise agar aap SBI ke kisi bhi branch me ja kar ATM card ko activate karne ke liye jate hai to aapko kafi sari parishani ka samna karna parta hai. Aur aapko kafi time line me khara bhi hona parta hai.

Par ab aapko branch me jakar line me khare hone ki jarurat nahi hai aur nahi parishan hone ki jarurat hai, aap ye kam ghar bathe internet ke through net baking use karke asani se kar sakte hai.

Thik issi tarah aap internet baking se apna ATM pin code generate/change bhi kar sakte hai. uske liye aapko kahi bhi jane ki jarurat nahi hai.

Must readATM/debit card PIN change/generate kaise kare.

SBI ATM/Debit Card Online Activate Kaise karte Hai

ATM ko online activate karne ke liye aapka net banking activate/register hona chahiye. agar aapne abhi tak apna net banking chalu nahi kiya hai to uske liye ye post padhe.

Must read

Dosto mai mankechalta hun ke aapka net banking chalu hai, aur aapke pass SBI ka new ATM/Debit card hai. jisse aap activate karna chahte hai.

Niche bataye jarahe tarika ko follow karke aap asani se Apna new ATM debit card online actuate kar sakte hai. To aaiye dekhte hai SBI ATM/Debit card receive karne ke baad usko online activate kaise karte hai.

Activate Your New SBI ATM/Debit Card Online?

Step 1:

Sabse pahle aap https://www.onlinesbi.com par visit karke user Id and password dal kar apne Internet banking account me login kare.

Step 2:

Net banking me login karne ke baad aapko e-Services option me jakar ATM card Services option me jana hai.

  1. Top menu bar me e-services tab par click kare.
  2. Left Menu bar me ATM card Services tab par click kare.

ATM Card services

 

Step 3:

Ab next screen me aap Block ATM card, ATM card limit/channel/usage change, New atm card activation, Request ATM/Debit card ka link de sakte hai. in me se aap ko New ATM Card Activation link par click karna hai.

New ATM card Activation

Step 4:

New ATM card activation link par click karne ke bad next screen me aapko Account number select karke ATM card number dalna hai.

  1. Account number select kare.
  2. Enter ATM card number: me 16 digit apna ATM number dale.
  3. Re-Enter ATM card number: Dobara same 16 digit ka atm numberdale.
  4. Sahi sahi number dalne ke bad Activate button par click kare.

Enter ATM card number

Step 5:

ATM number dal kar activate par click karne ke bad yaha bas ek bar 16 digit ka atm number check karle sahi hai ke nahi, than Confirm par click kare.

Confirm ATM debit card number

Step 6:

Confirm par click karne ke baad ab aapke registered mobile number par one time password (OTP) receive hoga jisse dal kar confirm par click karna hai.

Enter high security password

Done! aapka ATM/Debit card successfully Activate ho gaya hai aur ab aapko sirf uska PIN generate karna hai. PIN generate karne ke baad aap kisi bhi ATM me jakar paisa nikal sakte hai.

ATM card has been activated successfully

Aapne apna New SBi ATM/Debit card online activate kar liya hai ab usko use karne ke liye aapkoATM PIN chahiye, PIN ke liye aapko bank me jaane ki jarurat nahi hai. Ye kaam bhi aap Internet banking par kar sakte hai.

New ATM/Debit card ki PIN online kaise generate karne ke liye aap ye article follow kare.

Read: SBI ATM/Debit card ki PIN online generate kaise kare?

That’s All! Ab aap ready hai apne new ATM/Debit card ko use karne ke liye. aap kisi bhi ATM machine par jakar use kar sakte hai.

Dosto aapko SBI ATM/debit card online activate karne ki ye jankari kaisi lagi. agar aapka koi sawal hai to niche comment karke puch sakte hai, Aur isse apne doston tak share karna na bhule.

Must Read:

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button