Aadhaar Card Ko SBI Bank Account Se Link Kaise Kare

Aadhaar Card Link To SBI Bank Account. Kya aapka Aadhaar card aapke Bank Account se link hai, Aapne apne bank me aadhaar card number ko register ad kiya hai.

Agar aapne abhi tak aadhar card ko apne bank account se nahi joda hai to ye article aapke liye hi hai is article me mai aapko batane jaraha hu ke aap aadhar card ko SBI bank account se link kaise kar sakte hai online mobile app or Sending SMS ke through.

Aadhar Card Link To SBI Bank Account

Bank account me direct Subsidy receive karne ke liye aapko apna adhar card number bank account se jodna parta hai. par iske liye aapko apna Aadhaar card ki copy LPG gas distributor ke pass jakar jama karna parta hai.

Ya apne bank branch me jakar lumbi line lagar kar add karna parta hai. Uske bad hi aapka aadhaar card bank account se link hota hai. Aab aapko iske liye jada parishan hone ki jarurat nahi hai ye sab kam aap asani se bena bank branch gaye hue bhi kar sakte hai.

Waise to bank account se adhar card link karne ke bahut sare benefits hai par mai kuch benefits ke bareme aapko bata deta hun.

  1. Direct benefits transfer (DBTL)
  2. Subsidy for commodity products
  3. Mahatma Gandhi National rura employment guarantee (MNREGA)
  4. Tribal welfare schemes
  5. Scholarship
  6. Pension

Aadhaar Card Link To SBI Bank Account Online In Hindi

Yaha mai aapko 4 different method batane jaraha hun jisse aap asani se kisi bhi method ko follow kar ke State bank of India ke bank account me aadhaar card number link register kar sakte hai. Vo bhi bena branch visit kiye hue.

Onlinesbi Net banking se Aadhaar card Link Kare

Online internet banking ke through aap asani se 3-4 step me apne SBI bank account me aadhar number ko link kar sakte hai.

online link karne ke liye aapka SBI net banking activate hona chahiye tab hi jakar aap online ad kar sakte hai. SBI me internet banking kaise activate register kare iske bareme mai already pahle bata chuka hun.

Most Read:

Dosto mai ab ye manke chalta hun ke aapka state bank of India me  internet banking activate hai. agar aap net banking nahi bhi use karte hai to bhi aap mobile se SMS send kar ke bhi asani se aadhar number link kar sakte hai iske bareme niche bataya gaya hai.

Aadhar card ko SBI bank account me online add karne ke liye sabse pahle aapko Stat bank of india ke official website www.onlinesbi.com par visit kar ke apne net banking account me log in karna hai

SBI net banking Account me login karne ke bad left site me aap ko Link your Aadhar number ka link dekhai dega aapko “ Link your Aadhaar number ” par click karne hai.

Link your Aadhar card to SBI Bank account

Link par click karne ke bad aap next screen aadhar registration section me pahunch jayenge yaha aapko aadhaar card number add karne ke liye.

  1. Transaction account: me apna account number select kare.
  2. Mobile Number: aapke bank account me pahle se mobile registered hai to mobile number apne se lelega agar registered nahi hai to apna mobile number dale.
  3. Aadhar number: 12 Digit ka aadhar card number dale.
  4. Conform aadhaar number: same number add kare.
  5. ek bar apna aadhar card number check karle uske bad “Submit” button par click kare

SBI Aadhar card registration

Submit button par click karne ke bad aapke registered mobile number pe one time password aya hoga OTP enter ke se Submit par click kare.

Enter OTP

Aap ka Aadhaar number SBi me Successfully Link hogaya hai aapko Reference number mil jayega or aapke registered mobile number pe message agaya hoga.

Aadhar number Link To SBI Successfully

Ise trah aapka aadhaar card link hogaya SBI bank account me online. agar aap mobile use karte hai to bhi aap asani se SBI Anywhere app se aadhar link kar sakte hai.

SBI Anywhere App se Aadhar card Link Kare

Aap chahe to State bank ki mobile App services SBI Anywhere se bhi Aadhaar card ko apne bank account se link kar sakte hai. Mobile app Android, iOS and windows phone ke liye available hai. aap chahe to apne Android mobile me play store se install kar sakte hai.

Sabse pahle aap apne SBI Anywhere app me apna net banking user name or password dal kar login kare.

Anywhere App me login karne ke baad niche bottom bar me Banking icon par click karke Aadhar subsidy par click kare.
sbi anywhere app link to aadhaar card

Aadhaar subsidy icon par click karne ke bad next screen me aapke samne 2 options ayega.

Aapko Aadhaar card link karna hai hai to “Link Your Aadhaar Number” par click kar ke apna Aadhaar card number submit kare.

sbi link aadhaar card to anywhere app

Agar aapke pass SBI me internet banking activate nahi hai to bhi aap aasani se bena branch gaye hue bhi bank account me aadhar card ad kar sakte hai.

Linking Aadhaar Card Number Through SMS

SBI bank account me aadhaar card add karne ke liye aap apna Registered mobile number se SMS ke though bhi aadhar card link kar sakte hai.

Note: Aap wahi mobile number se SMS send kar sakte hai jo number aapke SBI account me registered hai. agar mobile registered nahi hai to aapka adhar crad SMS ke through add nahi ho payega.

Iske liye bas aapko apne mobile ka Message box open kar ke new message send karna hai. see below:

Message me Type kare UID <aadhaar number> <account number> and Send to 567676

Example: UID  20117678838 20117678838 and send 567676

Link Aadhaar Card to SBI Via ATM Channel567676 par aadhaar number SMS send karne ke baad aapke mobile par confirmation message ajayega.

Aap apne near by State bank ATM par jakar bhi apna Aadhaar card number bank account se link kar sakte hai. Ye bahut hi simple tarika hai:-

  1. Visit the nearest SBI ATM
  2. Swipe your ATM Card & Enter your 4 digit ATM PIN code
  3. ATM PIN dalne ke bad  “Service Registration” option select kare
  4. Uske bad “Aadhaar Card” registration option select kare.
  5. Uske bad apna account type i.e Saving Account, or Current Account, choose kare.
  6. Ab aapko 12 digit ka “Aadhaar Card Number” enter karna hai.

Ye Bhi Padhe…

Related Articles

9 Comments

  1. Bhai mane apne sbi globsbivisa card ka pin generate nahi kiya h to kya ma online payment kr sakta hu

  2. Bhai
    Mnm madhubani (bihar) se
    Plz help me

    Mera joint account h sbi me
    Kai baar

    atm me aur sbi anywher me adhar link ki koshish kiya par kamyabi nahi mili
    Unsucces lekh k ataa h
    Mujhe yeh samjh nahi ata k adhar dono ka dalu ya dono me se kisi ek ka? ?

    1. Dono ka aadhar link karna hai
      Par abhi online SBI and ATM machine se aadhar or PAN link karne me problem ho raha hai isliye better ye hai Ke aap Branch me jakar karle
      Mai Bhi Darbhanga ka hun

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button