Passport Number Se Dubai Visa Status Check Kaise Kare

Dubai visa status by passport number, Dubai visa check by passport number only, How to check UAE visa status with entry permit number, Passport Number, Emirate Unified Number, and File Number, UAE (United Arab Emirates) Dubai ka visa kaise check kare Passport Number se.

Check dubai visa status by passport number

Aaj kal forwarding ka zamana hai bedish Jane ke chakkar me kai bar Agent hama re Sath Scam karte hai, paisa lene ke chakkar me kisi aur ke visa ko Editting yani name passport number etc.. Change karke Fake visa dedete hai.

Agar aap Dubai Abu Dhabi, Sharjah ya UAE ke kisi bhi city me jobs, Work karne ke liye Entry Permit visa par jarahe hai, To aapko chahiye ke Apna Entry permit visa online check karle sahi hai ke nahi.

Internet ki Dunya me har kam asan hogaya hai, Agar aapke sath koi agent forwarding karta hai to is me aapki galti hai.

Aapne Bena Visa verify kiye hue Agent ko Paisa Dedete hai, Dubai Government ne Apne Desh me ane wale Logo ki asani ke liye Passport number se bhi visa check karne ki facility de rakhi hai.

UAE (United Arab Emirates) ek secured aur advanced country hai jahan pure world ke log baste hai. Adhunik sukh suvidhaon se paripurn country jahan pe Dubai aur Abu Dhabi jaisi cities ka living standard sabse behtar hai.

UAE me duniya ke kone-kone se log rozgar aur ghumne ke Liye yahan aate hai. Agar aap bhi UAE (Dubai, Abu Dhabi, Sharjah) Ja rahe hai to apna visa verify jarur karle taki aapko puri tarah se ye confirm ho jaye ki aap ka Visa valid hai.

Dubai Government ne Visa status passport number se online check karne ke liye website launch ki hai jahan aap sabhi tarah ke jaise family Visa, Employment Visa, Visit aur Tourist Visa, Entry permit sabhi visa ka status online Track karke verify kar sakte hai.

How to Check UAE Visa Status By Passport Number in Hindi/Urdu

Dubai Visa status check karne ke liye Sabse pahle aap FAFIC (FEDERAL AUTHORITY FOR IDENTITY AND CITIZENSHIP) ki website par visit kare. FAFIC site par aap 5 tarah ke Visa Check kar sakte hai.

  1. ENTRY PERMIT VALIDITY
  2. RESIDENCE VALIDITY
  3. eDNRD APPLICATION
  4. eFORM APPLICATION
  5. RESIDENCE APPLICATION STATUS

Step 1: Browse Smart Service

FAFIC Website Par visit karne ke bad File Validity tab par click kare.

dubai ka visa kaise check kare


https://echannels.moi.gov.ae/echannels/web/client File Validity tab par click karne ke bad, simple sa online form show hoga jisme aapko kuch options choose karke passport number dalna hai.

Step 2: File Validity

  1. Search By: me Passport Information Select kare,
  2. Select the Type: me Visa check box ko Tick mark kare
  3. Passport No : Apna number dale
  4. Passport Expire Date: passport kab expire ho raha hai vo date dale.
  5. Nationality: drop down menu se apni country select kare jo aapki nationality hai.
  6. I’m not a Robot: reCaptcha verify kare.
  7. Puri information clearly fill karne ke bad Search button par click kare.
dubai visa check by passport number

Jaise hi aap Passport number, passport expiry date and Nationality select karke search button par click karenge. Visa ki details show ho jayegi

Same page par Niche me aapka Visa Validity status ajayega yaha aap Identification Information For Sponsored (Service Beneficiary) me File number, File Status, Visa Validity date etc… dekh sakte hai.

File Information

Note: Aapne jo Passport No. dalkar search kiya hai Niche me agar kuch bhi show nahi kar raha hai to ek bar pura details check karele sahi hai ke nahi, firbhi niche me kuch nahi show horaha hai to iska matlab hai ke aapke passport par koi visa issue nahi hua hai.

Dosto aapne ketne asani se Dubai UAE ka Visa status validity check kar liya hai passport number se, Agar aap ko UAE visa status online check karne me koi preshani ho rahi hai to aap hume comments me puchh sakte hai.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button