How to Check Iqama Expiry Date Without Absher In Hindi/Urdu

How to check iqama expiry date saudi arabia online in Hindi/Udu, Hello dosto kya aap Saudi Arabia KSA me job karte hai aur aap apne Iqama ka validity check karna chahte hai ke aapka iqama kab expire hone wala hai. Is article me mai aapko Iqama expiry date check karne ka tarika batane jaraha hun.

How to check iqama expiry date in hindi urdu

Jo log KSA yani Saudi Arabia me rehta ho job karte ho ya phir business karte ho. In sabhi logo ko iqama ki jarurat hoti hai. jo ki Saudi government banati hai. iqama ek identity card hai, jise aap residence permit kah sakte hai. jise har saal renewal karwana padata hai Agar aapne iqama ko valid date se pehle renewal nahi karate hai to aapko iske liye fine bhi bharna pad sakta hai.

Iqama kya hota hai.

Iqama

Iqama ek identity card ki tarah hota hai jaise india me Aadhar card hota hai. waise hi Saudi Arabia me iqama hota hai. isme 10 dijit ka number hota hai, jo humare photo ke niche likha hota hai.

jisme humari sabhi jankariya hoti hai. Pehle iqama 1 saal ka banta tha lekin ab 5 saal ka ban rha hai. Aap ye mat samjhiye ki ek baar 5 saal ka iqama ban gaya to ise 5 saal ke baad hi renewal karwana padega. Aisa nahi hai aapko har saal apna iqama renewal karana ya karwana hota hai.

How to Check Iqama Expiry Date Without Absher In Hindi/Urdu

Dosto ab se pahle moi ksa iqama expiry date check online karne ka bahut asan tarika tha par ab iqama expiry and validity status check karne ke liye aapko absher account bana parta hai aur absher account create karke verify karna bahut mushkil hota.

Is liye Yaha Mai aapko bahut hi asan tarika batane wala hun jisse aap bahut hi asani se Saudi Arabia iqama expiry date check kar sakte hai, is methord me aapko Absher account banane ki koi jarurat nahi padegi.

How to Check Iqama Expiry Date or Validity status In Hindi/Urdu

KSA Iqma Validity status check karne ke liye sabse pahle aapko Wazarat amal (MOL Ministry of Labour KSA website) par visit kana hai.

Wazarat amal Page par visit karne ke bad sabse pahle aapko English select karke Language change karna hai.

iqama expiry date inquiry english

Language choose karne ke bad ab aapko Left menu bar me Create account tab par click karke basic data fill karna hai.

Note: Yaha aapko MOL Ministry of Labour KSA par apna Account create nahi karna hai. Bas aap apna iqama number aur date of bith dal kar iqama ka pura details check kar sakte hai.

  1. Create Account: tab par click kare.
  2. ID / Iqama / Border Number: iqama me aapke photo ke niche 10 digit ka Number hoga usko dale.
  3. Date of birth: par click karte hi colander ka popup open hoga Hijri ki jagah Gregorian select kare aur uske bad year month and date select kare.
iqama expiry check saudi arabia
  1. ID / Iqama number dale.
  2. Date of birth choose kare.
  3. Verification Image: me jo number hai same wahi number Verification code me dale.
  4. Next: Sab sahi sahi dalne ke bad Next button par click kare
 Wazarat amal registration form

Registration form me Jaise hi aap iqama number and date of birth dal kar next karnege aapke iqama ka pura status show ho jayega yaha aap apna name, Date of birth, iqama number, and Iqama expiration validity me Aap English and arabi dono language me Expiry date dekh sakte hai.

 Iqama expiration validity date

Note: registration form jab aap apna iqama details dekh le to uske bad kuch bhi fill nahi karna. bas yahi se browser ko close kar dena hai.

Ummid karta hun ke aapko iqama expiry date online check karne, iqma validity status check karne ki ye jankari achhi lagi hogi. agar aapko koi problem hoto iske bare me batana nahi bhoole thanks.

Related Articles

One Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button