Passport Number se Saudi Ka Visa Kaise Check Kare

How to check Saudi visa is original or fake, Check Saudi visa status with passport number, Saudi ka visa kaise check kare, KSA Visit visa application check Kaise Karte hai, Is post me me ham jange ke Saudi Arabia Ka visa status Passport Number se online check Kaise kiya jata hai ke bare me.

How to Check Saudi Arabia Visa Status Online

Aaj kal forwarding ka zamana hai bedish Jane ke chakkar me kai bar Agent hama re Sath Scam karte hai, paisa lene ke chakkar me kisi aur ke visa ko Editting yani name passport number etc.. Change karke Fake visa dedete hai.

Agar aap Mecca, Madina, Jeddah, Reyadh, ya Saudi Arab ke kisi bhi city me jobs, Work karne ke liye Entry Permit visa par jarahe hai, To aapko chahiye ke Apna Entry permit visa online check karle sahi hai ke nahi, original ya fake hai

Internet ki Dunya me har kam asan hogaya hai, Agar aapko koi agent bewakuf bana raha hai to is me aapki galti hai. Aap asani se kisi bhi country ka visa status online check kar sakte hai.

Passport Number se Saudi Ka Visa Kaise Check Kare

KSA Government ne Visa status online check karne ke liye website launch ki hai jahan aap sabhi tarah ke jaise family Visa, Employment Visa, Visit aur Tourist Visa, Entry permit visit visa ka status online Passport number se ckeck karke verify kar sakte hai.

Saudi Visa status check karne ke liye Sabse pahle aap (Enjaz) Visa Services Platform website par visit Kate. Enjaz Site par aap 21 tarah ke visa check kar sakte hai.

  1. Business Man Visit
  2. Commercial Visit
  3. Diplomatic
  4. Educational
  5. Escort Visa
  6. Extend Return
  7. Family Visit
  8. Government Visit
  9. Hajj
  10. Medical
  11. Merchandise Delivery
  12. Missions and Organizations Visit
  13. Personal Visit
  14. Resident
  15. Seasonal Work
  16. Special
  17. Temporary work
  18. Tourism
  19. Transit
  20. Umrah
  21. Work
  22. Working Visit

How to Check Saudi Visa Status With Passport Number in Hindi/Urdu

Passport Number se Visa Check karne ke liye niche bataye jarahe kuch simple Steps ko follow kare.

Step 1: Visit Enjaz

Sabse pahle aap Saudi Arabia ki Official website (Enjaz) Visa Services Platform par visit Kare

  1. Aapko Arabic nahi aati hai to sabse pahle left top menu bar me English language choose kare.
  2. English Choose karne ke bad Individuals tab par click kare.
Saudi Visa Services Platform Enjaz

Step 2: Visa Services

Individuals page par visit karne ke bad Visa Services me Find Application Data link par click kare

find Visa application data

Step 3: Find Applicant Data

Find Applicant Data tab par click karne ke bad ab aapko Passport number se KSA Visa track karna hai.

  1. Passport Number: Apna Passport Number Dale. (Capital later me)
  2. Visa Type: Kis type ka visa hai Select kare.
  3. Current Nationality: Aap jaha ke rahne wale hai Country select kare.
  4. Visa Issuing Authority: Kis city se Visa Issue hua hai vo city select kare.
  5. Image Code: me Jo captcha code show ho raha hai same code dale.
  6. Sab sahi sahi dane ke bad Search button par click kare.
how to check saudi visit visa stamping status

Step 4: Print eVisa

Passport number, Visa type, Country, City and captcha enter karke search karate hi aapka visa Status show ho jayega. Ysha aap pura details check kar sakte hai.

Get Person Visa

NOTE: Passport number dal kar search karne me AGAR KUCH BHI SHOW NAHI ho RAHA HAI TO iska MATLAB aapka aapke passport par koi visa issue nahi hua hai.

Dosto mujhe ummid hai ke Passport number se Saudi Arabia Visa status online check karne ki ye jankari aapko pasand aayi hogi. Agar aapko Visa tracking karne me koi problems ho raha hai to aap comment karke puchh sakte hai.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button