Check UAE Visa Status, Dubai Ka Visa Kaise Check Kare

How to check UAE visa status with entry permit number, UAE (United Arab Emirates) Dubai ka visa kaise check kare, UAE Visa Check Online, Check UAE Visa Status Online, Dubai Visa Check Kaise Karte Hai Sahi Hai Ya Galat.

Hello Dosto kya aap ka yahi sawal hai, Aaj kal Fording ka zamana hai bedish Jane ke chakkar me kai bar Agent log Colinte se paisa lene ke chakkar me kisi aur ke visa ko Editting yani name passport number etc.. Change karke Galat visa dedete hai.

How to Check UAE Visa Status Online

Agar aap Dubai Abu Dhabi, Sharjah ya UAE ke kisi bhi city me jobs, Work karne ke liye Entry Permit visa par jarahe hai, To aapko chahiye ke Apna Entry permit visa online check karle sahi hai ke nahi.

Internet ki Dunya me har kam asan hogaya hai, Agar aapko koi agent bewakuf bana raha hai to is me aapki galti hai.

UAE (United Arab Emirates) ek secured aur advanced country hai jahan pure world ke log baste hai. Adhunik sukh suvidhaon se paripurn country jahan pe Dubai aur Abu Dhabi jaisi cities ka living standard sabse behtar hai.

UAE me duniya ke kone-kone se log rozgar aur ghumne ke Liye yahan aate hai. Agar aap bhi UAE (Dubai, Abu Dhabi, Sharjah) Ja rahe hai to apna visa verify jarur karle taki aapko puri tarah se ye confirm ho jaye ki aap ka Visa valid hai.

Dubai Government ne Visa status online check karne ke liye website launch ki hai jahan aap sabhi tarah ke jaise family Visa, Employment Visa, Visit aur Tourist Visa, Entry permit sabhi visa ka status online ckeck karke verify kar sakte hai.

How to Check UAE Visa Status Online in Hindi/Urdu

Dubai Visa status check karne ke liye Sabse pahle aap GDREA (General Directorate of Residency & Foreign Affairs) ki website par visit kare. GDREA site par aap 5 tarah ke Visa Check kar sakte hai.

  1. ENTRY PERMIT VALIDITY
  2. RESIDENCE VALIDITY
  3. eDNRD APPLICATION
  4. eFORM APPLICATION
  5. RESIDENCE APPLICATION STATUS

GDREA Website Par visit karne ke bad E-Services tab par click karke Visa Validity button par click kare.

Check Dubai Visa Validity

www.gdrfa.ae/portal/pls/portal/ E-Services Visa Validity tab par click karne ke bad, simple sa online form show hoga jisme aapko Visa se sambandhit kuch details fill karni hai. Yaha mai aapko ENTRY PERMIT VISA check karne ke bare me bataraha hun

  1. Select Service To Inquire: ENTRY PERMIT VALIDITY Select kare,
  2. Entry Permit No. type year and select karke Permit number dale
  3. First Name In English: Apna “first name” English Capital latter me likhe
  4. Gender: tick mark kare aap male ya female jo bhi hai.
  5. Date Of Birth: Apna Janam Date dale.
  6. Nationality: drop down menu se apni country select kare jo aapki nationality hai.
  7. Picture me dikhai de rhe same captcha code enter kare.
  8. Puri information clearly fill karne ke bad Submit button par click kare.
Track Dubai visa status Online

Jaise hi aap Vista type Entry Permit No, Residence File No, eDNRD Application No, eFORM Transaction etc.. ki sari details dal kar submit karenge

Same page par Niche me aapka Visa Validity status ajayega yaha aap Entry Permit No, Name, Gender, expiry date etc… dekh sakte hai.

UAE ENTRY PERMIT VALIDITY

Note: Aapne jo details Dali Niche me agar kuch bhi show nahi kar raha hai to ek bar pura details check karele sahi hai ke nahi, firbhi niche me kuch nahi show horaha hai to iska matlab hai ke visa galat hai.

Dosto aapne ketne asani se Dubai UAE ka Visa status validity check kar liya hai, Agar aap ko UAE visa status online check karne me koi preshani ho rahi hai to aap hume comments me puchh sakte hai.

Related Articles

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button