Kuwait Ka Visa Kaise Check Kare [Check Kuwait Visa Status]

How to check Kuwait visa is original or fake, How to Check Kuwait Visa Status online in Hindi/Urdu, Kuwait ka visa kaise check kare, Kuwait Visit visa application check Kaise Karte hai, Is post me kuwait ka visa check karne ka tarika ke bare me janege.

How to Check Kuwait Visa Status online

How to Check Kuwait Visa Status Online

Aaj kal forwarding ka zamana hai bedish Jane ke chakkar me kai bar Agent hama re Sath Scam karte hai, paisa lene ke chakkar me kisi aur ke visa ko Editting yani name passport number etc.. Change karke Fake visa dedete hai.

Agar aap Hawalli, As Salimiyah, Sabah as Salim, Al Farwaniyah, ya Kuwait ke kisi bhi city me jobs, Work karne ke liye Entry Permit visa par jarahe hai, To aapko chahiye ke Apna Entry permit visa online check karle sahi hai ke nahi, original ya fake hai

Internet ki Dunya me har kam asan hogaya hai, Agar aapko koi agent bewakuf bana raha hai to is me aapki galti hai. Aap asani se kisi bhi country ka visa status online check kar sakte hai.

Kuwait Ka Visa Kaise Check Kare Puri Jankari

State of Kuwait Ministry Of Interior (MOI) ne Visa status online check karne ke liye website launch ki hai jahan aap sabhi tarah ke jaise family Visa, Employment Visa, Visit aur Tourist Visa, Entry permit visit visa ka status Application number se ckeck karke verify kar sakte hai.

Kuwaiti Visa status check karne ke liye Sabse pahle aap Ministry Of Interior (MOI) website par visit Kate. MOI Site par visa Data check kar sakte hai.

Note:- Yaha mai aapko Visa Application number Se Kuwait ka visa online check karne ke bare me batane jaraha hun.

Step 1: Visit MOI

Sabse pahle aap Ministry Of Interior (MOI) Kuwait ki Official website
Ministry Of Interior (MOI) par visit Kare, Aur Visa Application status tab par click kare.

Check kuwait visa status online

Step 2: Visa Application Status

Visa Application Status tab par click karne ke bad ab aapko yaha visa application number and captcha code dal kar submit karna hai.

Application Number aapke 9 digits ka hota hai aap apne visa par dekh sakte hai jaha (رقم التأشيرة) likha hua ho vahi aapka Application number hai, Image me dekh sakte hai.

Kuwait Visa Application Number
  1. Yaha Visa Application Number dale.
  2. Image me jo captcha code show ho raha hai same captcha code dale.
  3. Submit button par click kare.
kuwait ka visa kaise check kare

Jaise hi aap visa application number dar kar submit button par click karenge aapka visa Status show ho jayega. Ysha aap pura details check kar sakte hai.

NOTE: Application number dal kar search karne me agar Invalid Number Araha hai to iska matlab aapka visa fake hai.

Dosto mujhe ummid hai ke Kuwaiti Visa status online check karne ki ye jankari aapko pasand aayi hogi. Agar aapko Visa tracking karne me koi problems ho raha hai to aap comment karke puchh sakte hai.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button