SBI Me Internet Banking Online Activate (Register) Kaise Kare

State Bank of India me Internet banking services activate karne ke liye aapko jada kuch karne ki jarurat nahi hai. isse pahle mai aapko bata chuka hun ke SBI me new account opening ke liye aap online kaise apply kar sakte hai.

Or ye bhi jan gaye honge ki SBI  me first time user net banking kaise activate kare. Is article me mai aapko batane jaraha hu ke SBI me internet banking online register kaise karna hai bina SBI ke  branch ka chakar lagaye.

How to Activate SBI Internet Banking online

SBI me Pahle Internet banking services lene ke liye aapko branch me internet baking ke liye apply karna parta tha ke hame net banking ki services chahiye.

Aur uske liye aapko from fill up kar ke branch me jama karna parta tha uske bad 2, 3 week me aapke residential address pe net banking kit bheji jati thi.

Ab aapko SBI ke Branch me jaane ki jarurat nahi hai. ye kam aap bena internet banking kit ke bina bhi kar sakte hai.

Bas Aapke pass ATM, Debit card or registered mobile number hona chahiye?  Bus aapke liye ye do chij kafi hai Internet banking ko Online activate karne ke liye.

SBI Internet Banking Online Activate karne ke liye kya kya chahiye ?

SBI me Internet banking ko registration karne ke liye aapke pass passbook, ATM card or Registered Mobile Number hona bahu hi impotent hai baki niche diye gaye list ko mila le.:

1. Account Number
2. CIF Number (Bank Passbook me hota hai)
3. Branch Code (Bank Passbook me hota hai))
4. ATM Card
5. Registered Mobile Number (aapke SBI Account Ke sath jo register hai wo number)

Also Read:

To dosto ab ham man ke chalte hai ke aapke pass net banking services ko activate karne ke liye jetni chijo ki jarurat hoti hai vo sab aapke pass available hai.

SBI Me Internet Banking Online Activate Kaise Kare

To ab mai apne topic  par chalta hu or aapko batata hu ke state bank of india me online banking kaise register karna hai. Uske liye niche Di Gayi Step ko Follow Kare.:

Step 1: Online SBI ?

Ab aapko sabse pahle state bank ke website “https://www.onlinesbi.com” Par jana hai uske bad aap onlineSBI ke home page par pahunch jayenge yaha aapko “New user Registration” Button par click karna hai.

Uske bad ek new warning popup khulega usme OK button par click karna hai.  ( Use Popup me ye message likha hoga ki agar apne bank se internet banking ka kit liya hai to is link ka prayog na kare).

SBI Internet Banking Online Activate Kaise Kare

Step 2: User Driven Registration – New User ?

Ab aapke samne net banking registration form open ho jayega yaha aapko apna bank account number, CIF number, mobile number or puri information fill up karna hai.

Online SBI User-Driven Registration New User

  1. Account Number: isme Apna khata number dale.
  2. CIF Number: isme aapke passbook me jo CIF number hai vo dale.
  3. Branch Code: isme apne bank ka branch code dale.
  4. Get Branch Code: Agar aapke pass branch code nahi hai to ispar click karke search kar le.
  5. Country: India select kare.
  6. Registered Mobile Number: Jo mobile account se juda hai vo dale.
  7. Facility required: isme Full Transaction Rights select kare.
  8. Enter the text as shown in the image: Isme Captcha Enter karna
  9. Submit: Sab sahi sahi dalne ke bad Submit button par click kar de.

Step 4: One time password ?

Submit button par click karne ke bad Aapke register mobile number pe OTP (One Time Password) ayega use enter karke confirm button par click kar de. Agar OTP mobile pe nahi aya hai to (click hare to resend the SMS) par click karna hai.

SBI internet banking one time password

Step 5: Internet baking Registration ?

OTP dalne ke bad aapke samne 2 option ayega ke aap net banking ko register karne ke liye koun sa option select karna chahte hai.

1. You have ATM Card (Online Registration without Branch Visit)
2. You don’t have ATM Card (Activation by Branch Visit).

Ya aapko I have my ATM card (online registration without branch visit) ko tick √ mark karna hai.

sbi online banking Registertion

Aur agar aapke pass ATM Card nahi hai to aapko apne bank me jakar internet ke liye activation kar wana hoga.

Step 6: Payment information ?

Apko internet banking activate karne ke liye apne ATM Card se Rs.1 rupay ka transaction karna hoga.
Uske liye apne ATM card ki details dale ya dalna hai jaise card number, card holder name, expiry date, and pin code.

sbi internet banking payment information

  1. Card Number: isme apna ATM/Debit card number dale.
  2. Valid thru / Expiry Date: Yaha apne atm card ka expiry month or year select kare.
  3. Cardholder’s Name: ya apna naam dale.
  4. PIN: isme aapko ATM pin code dalna hai.
  5. Enter the characters: isme jo niche Captcha code hai vodale.
  6. Submit: Sab sahi dalne ke bad last me Submit button par click kare.

Step 7: Billing information ?

Ab aapne jo ATM card ka details diya hai billing information ke liye vo sahi hai or aapse pucha ja raha hai ke money pay karna hai ke nahi. Bus aap Pay button par click kar de.SBI-internet-banking-billing-information

Step 8:Internet banking Registration Create Own Password ?

Ab aapka Temporary user name mil jayega use aap kahi likh le ya copy kar ke notepad me save karle. (Username aapke mobile number par bhi message aayega.)

Uske bad aapko apne net banking ke liye New Login password dalna hai usme aap charo chaij use kare, jaise (Abcd#@%1234) uppercase letters, lowercase letters, numbers, and symbols,  ` ! ” ? $ ? % ^ & * ( ) _ – + = { [ } ] : ; @ ‘ ~ # | \ < , > . ? / or minimum 8 characters hona chahiye.

  1. Enter New login password: Yaha apna password dale isme teeno hona jaruri hai (Abcd#1234)
  2. Confirm new login password: isme same password dalna hai.
  3. Submit: Password same dalne ke bad submit button par click karde.

bsi internet banking registration login password

Congratulation dost aapka Internet Banking successfully registration hogaya hai. Ab aapko 20-25 minutes wait karna hoga. But ye user name aur password temporary hai. ise aap 30 minutes bad login karna hai. (SBI Me First Time User Net Banking Activate Kaise Kare)
successfully register internet banking

  1. First time Login karne ke bad aapko apna user name aur password create karna hai jo aapka permanent hoga. Isliye user name aur password soch ke dale. Password me alphanumeric character and number hone chahiye jaise Online#123 is type ka Password case sensitive hota hai.
  2. Uske bad aapko profile password create karna hoga profile password aur login password different hona chahiye.
  3. Or aapko security question select karke uska answer fill up karna hai.

Baki maine First time user login kaise karna hai uske bare me pure details ke sath bata chuka hu (SBI me first time user login kaise kare uski jankari yaha hai).

To dosto aapne State bank of India me online banking Successfully Registration Kar Liya Wo bhi bina bank me gaye hue .

Agar aapko SBI internet banking activate karne me koi problems ho raha hai to aap comment box me jarur comment karke puchh le. or ye article aapko psand aya to apne dosto se share karna na bhule.

Ye bhi padhe…

Related Articles

55 Comments

    1. CIF number online pata nahi kar sakte hai ek bar cheque book par dekhle agar uspar bhi nahi hai to aapko sbi ke branch me jakar CIF number pata karna hoga ya fir toll free number pe contact kar sakte hai. 1800 11 2211, 1800 425 3800 or 080-26599990.

      1. HELLO NAQeeb
        me pahle sbi freedom use kar rahatha pr ab wo sbi anniwhehe me wo login and pass. nahi chal raha he aor me forgot login pass. magva rahahu to your mobile not registerd. aesa msg. aa raha he pls help me..

        1. freedom user id ko aap sbi anniwhehe me use nahi kar sakte hai, freedom mobile banking hai aur sbi anniwhehe ko net banking se use kiya jata hai,

    1. Jab aap beneficiary add karenge ya kuch bhi change karenge jaise mobile number etc. to Profile password dalna parta hai. behtar yahi hai ke alag password dale Waise chahe to same wahi password bhi dal sakte hai

    1. password strong dalye jaise Adbhj#13452* etc password me charo chij hona chahiye uppercase letters, lowercase letters, numbers, and symbols, ` ! ” ? $ ? % ^ & * ( ) _ – + = { [ } ] : ; @ ‘ ~ # | < , > . ? /

  1. sabkuchh ho gaya hair sir

    successful bhi hogaya hai

    but jab mai tempror…

    usernames se log in kar raha hu to invailid bata raha hai

    kyo.

    plz sir bataiye

    1. Onlinesbi.com par jakar login section me Forgot Username par click karke CIF Number, registered mobile number, dal kar aap apne SBI internet baking ka user name pa sakte hai.

  2. Ma apne online personal banking sa New ATM ke liye request nahi bhaj pa raha hu or bhe application kaam nahi lr rahi h

    1. Onlinesbi me login karne ke bad e-Services par click kare uske bad left site pe ATM Card Services ka option hoga us par click karke Request ATM/Debit Card par click kare aur aapke same do ption ajayega Using Profile Password ya Using OTP in dono me se jisse select karna hai karke. next option me Account Number Select kare, Name on Card me apna Name, Select Card of Type me apna card Select kare, uske bad I Accept terms par tick karke Submit par click karke new atm ke liye apply kar sakte hai.

    1. Profile option me jakar Manage A/c Display par click karke no account mapped for this username sbi ko kaise sahi kare
      Uske bad profile password dal kar UnHide Accounts me click kare useke bad account select karke submit par click kare fir aapke mobile par verification code ayega otp dal kar account logout karke login karna haino-account-mapped-for-this-username-sbi

  3. Sir global card apply karne ke liye bank ma minimum kitne rupy hone chaiye or kya global card ka use hm india sa bahar kr sakte h

    1. mujhe blog banaye hue abhi 5 month hi hua hai aur 2 month pahle hi adsense apply kiya tha isliye abhi earning kam hai waise pichle month $100 usd income hua tha yani Rs 6600

  4. Ser mai fast step me pura from filap kiya hai fir bhi.
    retail. onlinesbi is invalid
    kyo likh raha hai. Please help karen sar

  5. Sir Mene ek Baar Bank se net banking kit liya tha lekin Chala nhi login nhi ho paya
    ab me usse istemal nhi Kar rha Kyo ki wo invalid user name and invalid user password dikhata hai
    Me online net banking karna chahta hu
    Kya me Aapke bataye Article se net banking use kr Sakta hu.
    Mene pahle bank se net banking kit liya tha Jo invalid batata hai
    Plz tell me

      1. Good afternoon sir jab maine sbi mai khata khola tha jo number diya tha abhi vo number mere pass Nahi hai kiya dusra number se registration kar sakte hai

  6. Good afternoon sir jab maine sbi mai khata khola tha jo number diya tha abhi vo number mere pass Nahi hai kiya dusra number se registration kar sakte hai

  7. Sir atm card activate nahi hai kehra hai.
    Sir kya karna padega activate karne ke liye……. Plz reply……???

    1. Aapka net baking activate nahi hai to aap ATM machine me jakar ATM Debit/visa card activate aur pin generate kar sakte hai. ya aap SBI ke 567676 number par apne register mobile se message send kare message me aise likhe <7654><7765> last four digit ATM card number. aur last Four digit Account Number. send to 567676, 24 hr ke andar atm PIN code mobile par aajayega

  8. boht hi achhi jankari di he sir aap ne aap ka boht boht sukriya

  9. bhai mai online sbi netbanking kar raha tha to Maine galti se isper tic kar diya
    2. You don’t have ATM Card (Activation by Branch Visit).

    Lenin mujhe branch nahi Jana hai online netbanking karna to kaise hoga kar raha hun to bank me jaane ko bol raha hai
    ye option nahi de raha hai

    1. You have ATM Card (Online Registration without Branch Visit)

  10. Sir me step 8 tak aa gya tha uske bad mene temporary username ki jagah mene dusra no. Dal diya or wah success bhi ho gya par jab mene password dala to wah success nhi huwa.
    Ab us username I’d se me password forget bhi kiya or Jo massage me aaya password o bhi dala par registered nhi ho RHA he
    Mene new user register par bhi apply kiya par waha bhi nhi ho RHA he
    To sir ab kya kiya jaye.

  11. Hello Naqueeb
    I am Vivek from Trick Solver Hindi.
    aapka article padah, achha laga. Kaafi INFORMATIVE or USEFUL information share ki hai aapne.
    and or sath hi ye dekh ke achha laga ki aap comment me bhi Readers ki kaafi help kr rahe hain
    So, THANKS for sharing it and helping people by responding in comment.
    Keep it up man

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button