SBI Internet Banking Se NEFT Fund Transfer Kaise Karte Hai

State bank of India me aap easily kisi bhi others bank account par fund transfer kar ne ke liye IMPS fund transfer. Quick transfer ko use kar ke instantly kisi bhi account me paise bhej sakte hai. Par agar aapko Rs. 2 lac se upar money transfer karne hai to aisi condition me aapko NEFT se paise transfer karna hota hai.

SBI Internet Banking Se NEFT Fund Transfer Kaise Karte Hai

NEFT ka matlab hota hai (National electronic fund transfer), lagbhag sabhi banks aapko online NEFT ke jariye kisi bhi bank account me paise transfer karne ki facility provide karta hai.

State bank of India NEFT me aap maximum Rs.10 lac amount kisi bhi bank account me transfer kar sakte hai.

How To Transfer Money Through NEFT in SBI

SBI NEFT se online fund transfer karne ke liye aapka net banking activate hona jaroori hai tabhi jakar aap kisi bhi other bank account me online paise bhej sakte hai.

Agar aapne abhi tak apna Net banking active nahi hai to don’t worry aap apne Debit card or registered mobile number se online net banking ko activate kar sakte hai. iske liye aapko bank branch me jane ki jarurat nahi hai.

Also Read:

Online SBI se NEFT fund transfer karne ke liye sab se pahle aapko apne account me beneficiary add karna hoga.

State bank of India me online money transfer karne ke liye beneficiary add kaise kare ke bare me mai already bata chuka hun.

Read : Sbi me online fund transfer ke liye beneficiary kaise add kare.

Beneficiary account usko kahte hai jisko aap money send karna chahte hai. Usko sabse pahle apne online banking me add kar ke activate kare. Jabb aap beneficiary karte hai to usse activate hone me 1 day lagta hai.

Uske bad hi Kisi bhi bank me online fund transfer kar sakte hai. Yani ke kisi ko paise bhejna hai to subse pahle beneficiary ko account me add karna jaroori hai.

To dosto main ab apne topic par chalta hu or aapko bata hu ke online sbi internet banking se NEFT fund transfer kaise karna hia. Uske liye bas aapko niche diye gaye setup ko follow karna hai.

SBI Online Banking Se NEFT Fund Transfer Kaise Kare ?

Dosto main manke chalta hu ke aapne apne online account me other bank account Beneficiary ko add kar liya hai.

NEFT Fund Transfer karne ke liye sabse pahle aap https://www.onlinesbi.com par jakar login kare.

Step 1: Payments Transfers

Apne OnlineSBI account me login hone ke bad aapko top bar me Payments/Transfers ka option milega bas aapko us par click karna hai.

How To Transfer Money Through NEFT in online SBI

Step 2 : Payment/Transfer Landing Page

Payment transfer button par click karne ke bad landing page me pahunch jayenge ya aapko Outside SBI me (inter-bank beneficiary) option par click karna hai.

NEFT payment transfer

Step 3: Outside SBI inter bank beneficiary

Ab Next screen me fund transfer karne ke liye aapko alag-alag type options dekh sakte hai, isme aapko NEFT select karke Proceed button par click karna hai.

sbi fund trasnfer NEFT

Step 4: NEFT Fund transfer

Ab aap neft transfer section me agaye hai yaha aapko jobhi beneficiary add kiya hai uska account select kare, Amount enter kare,  aur Pay Now choose kar submit button par click karna hai.

online sbi NEFT Transfer

  1. Amount : Isme paise daliye ketna fund send karna hai.
  2. Purpose : Isme type select kare Donation kar rahe hai ya apne kisi friend ko gift.
  3. isme apna beneficiary select kare jo pahle se add hai.
  4. Schedule : Abi fund transfer karna hai to Pay New ko tick mark kare.
  5. I accept the terms and condition : isko bhi tick mark kare.
  6. Submit : Sab sahi sahi dalne ke bad last me submit button par click kare.

Step 5: Verify details and confirm this transaction

Submit par click karne ke baad ab aapko  confirm kar le ki amount and beneficiary sahi add kiya hai ke nahi OTP mode select kar ke confirm button par click kare

SBI Inter Bank Beneficiary found transfer

Step :7 One Time Password (OTP password)

Confirm par click karne ke baad High security password aapke mobile number par OTP receive hoga wo yaha enter kar ke Confirm button par click kare.

one time password

Congratulation aapne successfully NEFT ke through money transfer kar liya hai, ab aap chahe to transaction ka print out nikal sakte hai for future reference ke liye.

online sbi successfully money transfer

SBI NEFT Me Money Kab tak Beneficiary ke account me Credit hoga?

NEFT fund transfer me IMPS ki tarah instant money transfer nahi hota hai. NEFT me fund transfer karne ke baad within 24 hours me money beneficiary account me pahunch jata hai.

Suppose agar aapne Morning 8 am fund transfer kiya hai to aisi condition me evening me 6 PM tak beneficiary ke account me paise pahunch jata hai.

Holiday period me aapko next day tak wait karna padta hai money receive karne ke liye.

Overall 24 hours me NEFT se transfer kiya hua money kisi bhi account me credit ho jata hai.

Main aapko recommend karunga ki maximum amount online transfer karne ke liye aap NEFT ka hi use kare, IMPS me kabhi-kabhi technical issues ki wajah se fund transaction fail ho jata hai aur uske baad aapko kafi problems face karni pad sakti hai.

To dosto aapko NEFT fund transfer ke bare me pure details ke sath jankari milgayi hogi agar aapko koi problems horaha hai to comment kar ke puchh sakte hai.

Or aapko ye jankari kaisa laga iske bareme jarur baye, and apne dosto se bhi share kare jaise facebook google + and twitter.

Also read…

Related Articles

4 Comments

    1. beneficiary account delete karne ke liye jab aap new beneficiary add karte hai to from ke top par delete ka option hota hai us par click karke account delete kar sakte hai. Editing ka koi option nahi hai delete karke firse beneficiary add kar liya kare.
      Bank-Beneficiary-delete-account

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button