Cloudflare CDN Se Website Ki Loading Speed 200% Fast Kaise Kare

Speed Up WordPress blog and Improve Performance using Cloudflare CDN. Hello dosto ya aap CloudFlare CDN aur HTTPS SSL use karte hai. To is article ko pura padhe main aapko Cloudflare Free CDN ki aesi trick btane ja raha hu jisse aapke blog or website ki loading speed 200% fast ho jayegi.

Make Your Website 200% Faster

Agar aapki site abhi 2 second me open hoti hai to ye trick apna kar aapki site 1 second ya isse bhi kam time me open hone lagegi.

Jab aap Cloudflare par CDN Setup karte hai to free plan me aap srif image, scripts, CSS ko hi cache kar sakte hai HTML content ko nahi.

Agar CSS, Script, Images, and static HTML in sab pages ko cache karna hai to aapko cloudflare ka Business plan buy karna padega. By default cloudflare HTML content cache nahi karta.

Par Is article me main aapko aesi trick btaunga jisse aap cloudflare free plan me image, script, ke sath html content ko bhi bare asani se  cache kar sakte hai.

Without HTML Content Cache

Jab aap HTML content cache kiye bina blog ko Website Speed Test tool par check karenge to aapki site Load time (2.0 sc) se jada time me open hoga.

With HTML Content Cache

Aur jab aap HTML content ko cache karenge to aapki yahi blog/website ka Load time (1.0 sc) se kam me open hoga.

To chaliye ab jante hai ke cloudflare cdn ka istemal kar ke apni site ka loading time 50% kam kaise kar sakte hai. yani apne wordpress website blog ki loading speed 200% tak fast kaise kiya jata hai.

Cloudflare CDN Se Website Ki Loading Speed 200% Fast Kaise Kare

Website blog ko 200% fast loading banane ke liye sabse pahle aapko cloudflare me 3 page rules create karne honge. Jiske liye aap niche btaye steps ko follow kare.

Step 1: Create Page Rules

Page rules create karke apne Website ke all content ko cache karne liye aap cloudflare.com site par visit karke apne account me log in kare aur “Page Rules” tab par click karke “Create Page Rule” button par click kare.

Create Page Rules

Step 2: Cache Everything

Jaise se hi aap Create Page Rule par click karenge to ek popup open hoga jisme aapko add a settings par click karke ye settings setup karna hai.

  1. Example, *blogname.com/* set kare.
  2. add a setting par click kar Browser cache TTL aur right me time set kare.
  3. Cache Level option me Cache Everything set kare.
  4. Edge cache TTL ke samne cache expire time set kare.
  5. Save and Deploy par click kare.

Cache Everything

Step 3: Bypass WordPress Dashboard

WordPress Blog dashboard ko cache karne ki jarurat nahi hai kyuki aap apne blog ko manage karte rahte hai or time to time update hota rahta hai. Iske liyeaap ye page rule create kare.

  1. Example, *blogname.com/wp-admin* set kare.
  2. Cache Level choose karke Bypass select kare.
  3. Save and Deploy par click kar setting save karle.

Bypass WordPress Dashboard

Step 4: Avoid Preview to Cache

Apne wordpress Blog dashboard ke alawa post, pages preview ko bhi cache karne ki jarurat nahi hai taki article write karte time aapko preview dekhne me problem na ho sake.

  1. Example, *blogname.com/*preview=true* set kare.
  2. Cache Level choose karke samne Bypass set kare.
  3. Save and Deploy par click karke isse save kar de.

CloudFlare Avoid Preview to Cache

Congratulation! dosto ab aapki site pahle se 200% fast speed se open hogi. Agar aapne page rule create karke apni site par https enable kiya hai to aap ye 3 page rules create nahi kar paoge kyuki cloudflare free plan me maximum 3 page rules hi create karna allow hai.

Par aapko parishan hone ki jarurat nahi hai aapna Bena page rule create kiye hue kaise apne wordpress blog par cloudflare https ssl enable free me kar sakte hai. Iske bare me mai pure details ke sath bata chuka hun uske liye aap ye post padhe.

Must read:- How to Setup Cloudflare Free HTTPS/SSL on WordPress in Hindi

Note:- Ye trick aap http:// and https:// dono type ke URL wali site par use kar sakte hai ye proper work karegi so aapko HTTPS SSL enable wali site par koi extra setting karne ki jarurat nahi hai.

Is trick se cloudflare aapki site ke images, script, css ke elawa html content ko bhi cache karega or aapki site pahle se 200% fast open hogi. Jisse aapki site ko google or search engines dono jyada pasand karenge or aapke pas user support and search traffic badhega.

To dosto aapko ye jankari kaisi lagi apni site ko speed karne ka aagar aapko koi problems aarahe hai to comment karke puchh sakte hai.

Related Articles

7 Comments

  1. Hii sir
    Aapke dwara bataye page rule settings karne se ab mujhe 2 problem aagayi hai.
    1. Jo green lock home page and post par show ho raha tha ab wo hide ho gaya only dashboard par show ho raha hai.
    2. Apni site ki speed gtmetrix me check karne ke liye www ad karna pad raha hai pahle bina www add kiye report show ho jati
    Me chahta hu ki aapne jo page rule setting batayi hai wo bhi bani rahe or meri problem bhi solve ho jaye

    1. Aapne total ketne page rule create kiya hai. Agar aapne https ke liye page rule create kiya tha aur usko delete kar diya hai to aap bena page rule create kiye https enable kare uske liye ye post padhe

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button