Photoshop Me Hindi Font Type Kaise Kare – फोटोशोप में हिंदी कैसे लिखें

Photoshop me Hindi kaise likhte hai. Hello dosto agar aap adobe Photoshop ko images designing ke liye use karte hai or aap Indian hai to aap Hindi me jarur likhte honge ya likhna chahte honge.

Jab aap Photoshop me hindi type karte ya likhte hai to usme pura Hindi word sahi se nahi likha pata hai. kuch word to sahi likha jata hai  par kuch word me font cut jata hai ya koi matra ulta sidha ho jata hai.

Is article me mai aapko yahi batane jaraha hun ke photo shop me bena kisi error kisi problems ke bilkul sahi sahi Hindi font type kaise kar sakte hai.

How To Write Hindi In adobe Photoshop

Jab ham Hindi typing tool se kisi other software me Hindi word likhte hai jaise MS office, notepad etc to usme bilkul sahi sahi word show hota hai.

Par jab usi word ko copy karke photoshop me pest karte ya type karte hai to uss word me se khuch charted me changing ho jati hai Ya word cut jata hai.

Mai aapko ek example deta hu is article se related post me hi maan ke chalye aap likhte type karte hai (फोटोशोप में हिंदी कैसे लिखें) ab issi word ko aap photo shop me likenge to (फोटोशोप में ) word bilkul sahi show hoga par agla word (हिंदी) iski jagah हदिी  show hoga or (लिखें) ki jagah लखि॓ं word show hoga.

Is ka aap screen short bhi dekh sakte hai.

फोटोशोप में हिंदी कैसे लिखें

Is type ke aur bhi bahut sare problems aate hai adobe Photoshop me Hindi typing karne me is problem ko dur karne ke liye mai aapko do tarika batane jaraha hun jisse aap asani se bilkul sahi sahi hindi word likh sakte hai.

Photoshop Me Hindi Font Type Kaise Kare

Iske liye aapke computer laptop me Hindi typing tool hona chahye aap koi bhi typing tool use kar sakte hai jisse aapko likhne me asani ho agar aapke computer me koi bhi tool installed nahi hai to aap google input tool ki madad le sakte hai.

Google input tool bahuthi better typing tool hai jisse asani se computer laptop me English keyboard ke same charted me Hindi likh sakte hai. Jaise aap k press karenge to ( ) or L press karenge to () likhayega. baki aur bhi bahut sare benefits hai iske.

Aap apne computer taptop  me Hindi type karne ke liye google input tool ka istemal kar sakte hai baki iske bare me mai pure details ke sath bata chuka hun.

Most read.. Computer Laptop me Hindi Type Kaise Kare 

Aap chahe to google ki official site par visit karke Google input tool on Windows me download kar sakte hai.

Click Here To Download Google Input tool

Waise bena kisi software ke bhi computer me hindi type kar sakte hai hai kurti dev Devnagri, font use karke par iske liye aapko Hindi typing me sport hona parega kyu ke kurtidev font me English keyboard ke charted se alag keyboard hota hai isliye devnagri type karne me problem ho sakta hai. isliye better ye haike aap google input tools ka hi istemal kare.

How To Write Hindi In Photoshop? फोटोशोप में हिंदी कैसे लिखें

To chalye dosto ab ham apne topic par chalte hai or jante hai ke photo shop me bena kisi problem ke Hindi font type kaise kiya jata hai.  Bas iske liye aapko niche diye gaye 2 tarika me sei kisi ek tarika ko apna sakte hai. Aap adobe ka koi bhi version use kar sakte hai chahe Photoshop 7 ho ya fir CS 6 

Option 1: Edit Photoshop PSD file and write Hindi

Ji ha dosto aap PSD file ko edit kar ke usme asani se hindi likh kar usse copy karke jis image me aap use karna chahe usme pest kar dena hai ye tari bahut hi asan or simple hai. Bas iske liye aapko Write Hindi In Photoshop PSD editor download karna hai.

Click here to Download Photoshop PSD Editor 

Is PSD editor me devnagri font add hai bas aap google input tools ki madad se asani hindi type kar sakte hai. PSD file download karne ke bad usse photoshop 7 ya cs6 jo hai aapke pass us me open kare.

PSD file ko photoshop editor me open karne ke bad (हिंदी में लिखने के लिये यहाँ पर टाइप करें.) box me aapko hindi likhna hai simple type tool select karke uspar click kare or jetna word likha hua hai ko delete karke aapko jo bhi word likhna hai usme likhe.

Photoshop PSD ko edit karke hindi me likhe

Apna hindi word likhne ke bad Ctrl + A press kar ke all word select kere uske bad Ctrl + C press karke apna type kiya hua word ko copy karle uske bad new image file open karke Ctrl + V  press kar ke pest kare de.

Photoshop me hindi kaise likhe

Is tarika ko apna kar aap asani se photoshop me hindi likh sakte hai. ab mai aapko dusra tarika bhi bata deta hun kyu ke jab aap illustrator me hindi type karenge to usme problems asakti hai is liye aap ye tarika bhi jan le.

Photoshop and illustrator par Hindi kaise type kare

Option 2: Unicode ko Devnagri font me convert karkeHindi Like

Ye tarika bhi asan hai isme bas aapne jo Unicode mangal font me google input tools ki madad se jo hindi word type kiya hai usko Kurti dev font me convert kana hai. kyu ke adobe photoshop me devnagri font hi sport karta hai. hindi word ko sahi sahi show karne ke liye.

Agar aapke pass pahle se Devnagri font hai to bahut achhi bat hai agar nahi hai to pahle isse download karke apne computer ke font derogatory me add kare.

Click Here to download all Devnagri Font

Is winrar file me aapko sare devnagri font mil jayenge bas download kiya hua DEVNAGRI rar format file par mouse ka right click karke Extract par click kare uske bad inmese aapko jo font pasand aye usse open karke install par click karde. alag alag type ke kamse kam 4-5 font install kare.

Kurti dev font install kare

 

Ab aap Sabse pahle MS office ya notepad me jo bhi likhna chahte hai pura sentence likh le. uske bad us word ko copy karle. niche diye gaye converter me pest karke convert karna hai.

hindi font ko kurti dev me convert kare

  1. Copy kiya hua word ko niche wale text box me pest kare
  2. Unicode to Kurti dev ⇑ button par click karke convert kare.
  3. Upar wale box me jo text hai usko copy kare.

Aap chahe to is page par bhi visit karke font ko convert kar sakte hai better yahi hai ke aap is page ko apne browser me save karle take jab aapko Unicode magal font convert karne ki jarurat hoto use aap wahi par open kar sake.

Unicode to Krutidev Online Converter

Kurti dev font ko copy karne ke bad ab aap apna foptoshop open kare or type tool select karke copy kiya hua word ko pest kare. pest karne par word kuch alag sa show hora hoga abhi aapko prishan hone ki jarurat nahi hai ke ye kounse type ka shbad show hora.

  1. Ctrl + A press karke all charted ko select kare.
  2. Top bar par me font icon par click kare
  3. thora sa scroll karke niche jaye or Kurti Dev font select kare.

Unicode font ko kurtidev me change kare

Ab aap dekh sakte hai aapka hindi typing word bilkul sahi sahi show horaha hoga. to dosto aapko ye jankari kaisi lagi mujhe ummid hai ke aapko ye article pasand aya hoga agar aapka koi sawal hai to aap comment karke puchh sakte hai.

Ye bhi Padhe..

Related Articles

3 Comments

  1. sir meri site open kar ke dekhiye.. na jane kyu ye offline show ho rahi hai kal se. maine cloudflare me apni site ko add kiya hai aur cloudflare service active bhi ho gayi hai fir bhi meri site open nahi ho rahi.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button