Google Adsense Me Bank Account Kaise Add Karte Hai

Adsense Me Apna Bank Account Kaise Add Kare. Jab Google AdSense par $10 + earning hojata hai to google traf se address pin verification karne ka notification aata hai. Or jab adsense account verify hojata hai to uske bad adsense par bank details submit karne ki jarurat parti hai.

Google Adsense Me Bank Account Kaise Add Kare

Jisse Blogging, YouTube se earn kiya hua money ko apne bank me liya ja sake. Google adsense pahle Electronic Funds Transfer (EFT) and Check ke throw payment kiya karta tha.

ab AdSense ne direct bank account par money transfer karne ki service chalu kardi hai. ‘Wire Transfer To Bank’ service se direct aapke bank account me paise send karta hai. iske liye bas aapko apne bank account ka pura details dal kar google AdSense se connect karne ki jarurat hoti hai.

Is post me mai aapko bakane jaraha hun ke google AdSense me apna bank account number kaise add karna hai. agar aap already AdSense se paise income kar rahe hai.

or aapne abhi tak AdSense se payment recieve nahi kiya hai to aap AdSense par apna bank account add kar ke direct apne bank me payment receive kar sakte hai.

Internet se money earn karne ke liye website, blog ya YouTube me channel create karni parti hai. uske bad adsense   ke liye apply karne ki jarurah hoti hai. Aur jab adsense account approve hojata hai to blog par ads lagane ke liye ad units create kar ke blog par ads lagaya jata hai.

By the way is post me mai aapko batane jaraha hun ke AdSense ko bank account se kaise jodna hai. jisse aap apne bank account me direct payment receive kar sake. to ab mai aapko iske kuch simple step btane ja raha hu. jisse aap asani se apna bank account add kar sake bas ek bat ka dheyan rakhna hai ke account number bank name etc.. dalne me koi galti nahi kyu ke ye paise ka sawal hai.

Google Adsense me bank account ko jodne ke liye aapko 2 important code ko add karne ki ki jarurat padegi. 1st IFSC or 2nd SWIFT-BIC code.

IFSC Code Kya Hota Hai & IFSC Code Kaha Se Milega

IFSC code aapki bank branch ka code hota hai. har bank ka apna IFSC code hota hai. Bank to bank paise send karne ke liye ifsc code ka use kiya jata hai. jisse asani se kisi bhi bank me online money transfer kar sakte hai.

IFSC code har customer ke bank passbook me hota hai hota hai. Agar old passbook hai or us passbook par ifsc code nahi to aapka jis bank me account hai bank ke customer care no.

par call kar ke IFSC code pata kar dakte hai ya bank branch me bhi jakar pata kar sakte hai. Sabse achhi bat ye hai ke aap asani se apne bank ka IFSC code online bhi pata kar sakte hai.

SWIFT – BIC Code Kya Hai & SWIFT – BIC Code Kaha Se Milta Hai

SWIFT – BIC code ye international money transfer karne ke kaam aata hai. iske liye aap ko apne bank branch me jana hoga ya fir jis bank me aapka account hai.

customer care ko call kar ke batana hoga ke mera paisa kisi dusre contary se ane wala hai ya ye bataye ki meri international income dollar me hai or mai apne account par paisa magana chahta hun.

isliye apne bank branch ka SWIFT code chahye. SWIFT code aap online bhi pata kar sakte hai par online me city ke alawa village ka SWIFT code nahi mila pata hai.

Agar aapka bank branch kisi city me hai to aap asani se pata kar sakte hai uske liye aapko Ifsc Swift Codes website par visit karke apna branch search karna hai.

  1. IFSC code search karne ke liye ispar click kare
  2. SWIFT code ke liye is par click karke Country me india select kare.
  3. Apna Bank select kare.
  4. State select kare.
  5. District select kare.
  6. Branch city select kare.
  7. Ab aap niche apne bank ka IFSC or SWIFT code branch name etc. dekh sakte hai.
search bank branch ifsc and swift code

Apni Branch Ka SWIFT – BIC Code Nahi Milne Par Kya Kare

SWIFT – BIC code local bank branch me available nahi hota hai. so aap apni bank branch ke najdeeki home branch jisme SWIFT – BIC code available ho use kar sakte hai.

I mean agar aapki bank branch me SWIFT – BIC ki suvidha nahi hai to aap ke bank branch ke jo branch sabse jyada najdik hai uska SWIFT – BIC code use kar sakte hai.

Google Adsense Par Apna Bank Account Number Kaise Add Kare

Dosto ab mai manke chata hun ke aapke pass ifsc code and Swift code dono hai hai or aapke adsense account me 100 dollar se jada earning hogai hai isliye ab aap apna bank account number add kark AdSense se earn kya hua money ko  receive karna chahate hai.

Step 1:

Sabse pahle aap google Adsense par ja kar apne account me log in kare.

Login karne ke bad home page par right site me aapke account ka pura balance show hora hoga Balance me icon par click kare karke. View Payments par click karna hai.

Adsense View payments

Step 2:

View payments par click karne ke bad your earnings page par pahunch jaenge yaha aapko  ADD PAYMENT METHOD par click karna hai is page par ane ke liye aap settings>> payments option par visit karke bhi aasakte hai. than ADD PAYMENT METHOD par click kare.

Add payment method for adsense

Step 3:

Ab jo page khulega usme aapko apne bank account ki details bharni hai. yad rahe is form ko dhyan se fill-up karna hai. warna details galat hone par aapko payment receive karne me problem ho sakti hai.

Apna name add kare. (aapka bank account name or AdSense payee name same hona chahiye. warna aapko payment nahi milega.)

  1. Beneficiary Id (optional) Aap chahe to apna Passport, aadhaar card ya votor Id number dal sakte hai waise ye jaruri nahi hai.
  2. Name on bank account: Apna pura name add kare (aapka bank account name or AdSense payee name same hona chahiye. warna aapko payment nahi milega.)
  3. Bank name: aapka jis bank me account hai. us bank ka name add kare. jaise state bank of India, Axis bank, etc.
  4.  IFSC code: Apni bank branch ka IFSC code add kare. (IFSC code check karne ke liye yaha click kare)
  5. SWIFT BIC: Apne bank branch ka SWIFT-BIC code enter kare. (SWIFT code janne ke liye yaha click kare.)
  6. Account number: Apna bank account number add kare.
  7. Re-type Account number: apna same account number add kare.
  8. Intermediary bank (ask your bank) isme khuch likhne ki jarurat nahi hai ye option United States ke liye hai.
  9. FFC or FBO (ask your bank) in dono option ko chorde.
  10. Sara details ek bar check kar ke save par click kare.
Add new payment method Wire Transfer to Bank details

Is trah apne apna bank account AdSense me add kar liya hai. ab jab aapke account me $100 + dollar income hojayega to har mahine ki 21 to 30 tarikh ke beech aapko AdSense payment karta rahega.

jo ke aapke bank account par ane me 5-7 din lag sakta hai. Ho sakta hai jab aapka payment aapke bank account me aayega to bank ke taraf se aapko iske bare me call aaye.

or wo aapse puchenge ki aap ne ye paise kaise kamaye hai to aap unhe google AdSense ke bare me btaye. uske bad wo aapke bank account me payment add kar denge. ye koi jaruri nahi hai ke aapke pass call ayega tab hi aapke account me paisa add hoga.

To dosto aapko ye jankari kaisi lagi agar aapko AdSense account me bank account number add karne me koi problem horaha hai to aap comment karke puchh sakte hai. or apne dosto tak isse share karna na bhule.

Ye bhi Padhe..

Related Articles

20 Comments

  1. bhaut badiya jankari thi. Mujhe to pta bhi nhi tha ki swift code kya hota but apke website se sab clear ho gya. Haa bus ek sawal tha ki kuch money exchange katha hai ki nahi .Mujhe esa lagta hai ki bech me bank bhi to $ to rupee convert karne me kuch money to deduct karta hoga na,

  2. You tube account ko google AdSense se jode diye lakin google AdSense account ko bank account se kaise jode payments -how you get paid option me jaakar add payment method hide kiya huwa hai kyu

  3. Sir,, mera na to koi blog h or na koi you tube channel or na hi koi website h,,, lekin Maine apk editor pro se ek app ko edit karke usme apna add lagaya h or AdSense se earning bhi ho rhi hai,, to kya mai ye paise apne bank me le sakta hun ya nhi,,,, pls help me sir pls pls pls

    1. Aapne AdMob se apna Adsense account approve kiya tha, ya jaise bhi adsense approve kiya ho agar aapke account me $10 earning hoti hai to aapko address pin verify karna hai aur aapne apna address bhi verify kar liya hai to bas aap apna Bank account adsense me add kare jab $100 earning ho jayega to aapke bank account par month ke last 20-25 date me paise ahunch jayega.

  4. Nice post. Mera Bank Of Baroda mein zero balance wala jan dhan account hai, kya main usmein adsense ki payment recieve kar sakta hoon?

    1. aapke address par verification pin 25 din tak ajayega jab google pin code address par bheje ga to verification ka option enable ho jayega

  5. Hello sir!
    Me apna bank details Adsense me ad karna chahta hun. Par meri swift code se related ek query hai. Mera account taluka ke levle par hai. Jaha SWIFT-Code ki suvidha nahi hai.
    Par me jananta hun. Ki ham same branch ke neer branch ka code use kar sakate hai. To sir mere district (Aurngabad maharastra) me swift code aviable hai. Aur maine customer care and online code liya hai. Par problem yah hai ki vaha sirf ek hi branch ka code hai. Aur i think vah sirf industial ke hai. Me sure nahi hu. Par vaha code aisa dikhai de raha hai.

    “INDUSTRIAL FINANCE BR AURANGABAD SBININBB359”

    Mujhe lagata hai ki yah code sirf industrial ke liye hai. Kya aisa code hum adsense me add kar sakate hai. Aur Aurangabad me sirf ek hi Swift-code hai. Kya karu? yah add karu?
    Please sir give me an instant replay.

    1. INDUSTRIAL FIN BR AURANGABAD branch name hai SBININBB359 SWIFT ko aap adsanse me use kar sakte hai baki IFSC code aap apne bank branch ka denge

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button