How to check Original or Fake Mobile? Phone Asli Ya Nakli Kaise Pata Kare

Apka mobile phone aasli hai ya nakli kaise pata kare: Aaj ke dour me online shopping karne ka Craze bahut badhta araha hai. Bahut sare log online Shopping karna hi pasand karte hai. Par jab online koi saman kharidte hai to unko kabhi dhokha bhi hojata hai. or original ke jagah duplicate saman mil jata hai. Is article me mai aapko batane jaraha hun ke mobile phone ko kaise check kare ke ye asli hai ya nakli.

How to check Original or Fake Mobile

Jab kisi ko koi saman karidne ki jarurat hoti hai vo sonchte hai ke online hi buy kar liye jaye koun dokan shop me jakar time barbad kare jab ghar baithe hi ye kam ho sakta hai to market me jane ka keya faeda.

Agar aap bhi online mobile phone buy karna chahte hai to aapko ye malum hona chahiye. Online ke chakkar me kahi nakli mobile to nahi kharid rahe hai. Kyu ke bahut sari online Shopping company aasi hai jo Purane old mobile kharid kar naya bana kar Bach daiti hai. Purane mobile ko new fake name aur fake model number dey kar sale kar deti hai.

Aur bahut sari aisi fake company hai jo branded company jaise Samsung, Sony, Nokia, LG etc… ye sab company jo mobile phone market me lunch karti hai. Fake company bhi wahi Same module ka phone market me daldeti hai. Or kabhi kabhi original peaking me duplicate mobile phone bhi nikal jata hai.

Mobile Phone Asli Hai Ya Nakli Kaise Pata Kare

Aap jab bhi smartphone karide chahe online ya fir shopping center dokan se ek bar usse achhi tarah check jarur kare ke original hai nakli to nahi na hai. Jab aap smartphone buy karne ke bareme sonche to sab se pahle ye target kare ke hame kis company or koun sa model ka phone kharidna hai.

Online kisi bhi website me jakar battery, camera, Ram processor, model number operating system ka version etc.. dekh le. Uske bad jab vo mobile aapke hath me aye to usko milaye same hai ke nahi.

Kuch online website ke list

Uske bad ab aap android smartphone ki settings me jakar about phone me ye dekh skte hai ki operating system kon sa use ho raha hai.

Jab aap about menu me hai to aapko device number or broadband number bhi dikhega Jo model number aapne suru me note kiya tha ab use ek baar yaha mila sakte hai.

Ab aapko asal kam jo karna hai vo hai IMEI number Mobile asli or nakli ko pata karne ka sab se aasan takia jo hota hai vo hai IMEI isse aap asani se apna smartphone ko pata kar sakte hai ke original hai ya fake.

How to check Original or Fake Mobile Phone

Android phone ka IMEI number pata karna bhi bahut asan hai simple aap isse pata kar sake hai.
Settings>>About Phone>>Status
Apne mobile phne ke Settings me jaye or sabse niche me about phone ka option hoga usko open kar ke Status ko open kare uske bad usme IMEI information ka option hoga us par click karne se aapke smartphone ka IMEI no show ho jayega.

Aap chahe to dusre tarika apna kar bhi IMEI code nikal sakte hai uske liye aapko simple call diry khlna hai or usme type karna hai *#06# bas ye *#06# type karte hi aapke mobile ka IMEI number ajayega.

Ab apko ek website par jana hai jiska naam hai www.IMEI.info Is website par Jane ke liye yaha click kare.

Website open hone ke baad is tarah ka page show hoga simple yaha par box me imei number dale fir im not a robot par click kar agar koi image open hota hai same 3 image par click kar ke verify kar de. i’m not a robot √ mark hojaye to last me CHECK par click karna hai.

Phone Asli Hai Ya Nakli Kaise Pata Kare

Check par click karne ke bad aapke mobile phone ki sari detail Show hogi. Agar detail bilkul sahi hai to apka Phone Aasli hai. or agar kuch bhi sow nahi horaha hai to samjh jaye ke ye smartphone fake yani nakli hai.

Agar aapko ye jankari achhi lagi to please ise apne friends ke sath jaise Facebook WhatsApp, twitter par jarrur share kare.

Related Articles

2 Comments

  1. Mera mobile mein check karna chahta Hoon original hai ya fake Magar nahi hota hai ab kya karna chahiye j2

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button