UC Union Kya Hai – Uc Union Par Account Kaise Banaye

What Is Uc Union How to crate Uc Union account and earn money online in Hindi. Agar aap online paise kamana chahte hai, to aap uc union ki madad se ghar bathe achha khasa paisa income kar sakte hai.

Uc Union se money earn karne ke liye pahle aapko uc union me account create karke id proof se verify karna hoga tab hi jakar aap uc union se paise earn kar sakte hai.

UC Union Kya Hai - Uc Union Par Account Kaise Banaye

Agar aap un-employee (Berozgar) hai ya fir aapko koi job nahi mil raha. To aap ghar baithe internet ki madad se full ya part time me online news ke dawara UC union se paise kama sakte hai.

Uc Union Kya Hai ?

Aap Uc Browser ke bare me to jaante hi honge, Uc Browser ne hi Uc Union Naam ka apna app affiliate portal launch kiya hai, iski help se aap logo ko app download krwa ke paise kmaa sakte hai.

Aur ye adsense ki tarah Ek Advertising Network hai. Jo specially un blogs ke liye banaya gaya hai. Jinka maximum traffic smart phone mobile se aata hai.

Vaise to internet se paise kamane ke bahut se aise tarike hai. Jisse aap ghar baithe lakho rupay (rupees) monthly income kar sakte hai. Jisme se uc union bhi paisa kamane ki ek best free service hai.

Uc Union Best Kyu Hai?

India me lag bhag 60% users Uc web browser ka use karte hai. Aur Agar aap blogger hai to aapko malum hi hoga ke Uc web browser me ad-blocker installed hota hai.

Jiski wajah se adsense ke ads aapke site me show nahi hote hai, aur aapko clicks nahi milne ke karan earning kam hoti hai. Jisse aapka takriban 60% revenue loss ho jata hai.

Mostly jin bloggers ka traffic 90% mobile users se aata hai. to Unhe adsense se earnings na ke barabar hoti hi ho pati hai. Isliye uc union un blogs ke liye adsense se better hai. Jinke blog par maximum traffic mobile users se receive hoti hai.

Uc Union Se Paise Kaise Kamaya Jata Hai?

Uc-union se income AdSense aur affiliated marketing ki tarha hoti hai. Ye Advertising Network android apps ko promote karta hai. Advertiser se ye apps ko lekar blog tak distribute karta hai aur jo bhi visitor publisher ke through in apps ko apne phone me install karega to uska paisa aapko milega.

Aur isme aapko ek referral link milta hai, jo uss link se apne mobile me application installation karega to apka referral link use karne ke liye apko paise milega.

Aapka koi blog hai to aap uc union ke referral link apne blog par use use kar paise kama sakte hai. aur isse aap social media me bhi share karke paise kama sakte hai.

Starting me jab Uc browser itna popular nahi hua tha tab ye khud ko promote karta tha lekin baad me isne apna uc union program start kiya aur usme reword rakhna shuru kiya.

Uc browser ki union ka main kaam hai android apps customers ke phone me install karana. Uc browser ab itna bada platform ho chuka hai ki advertiser ab apne apps ko promote karne ke liye iska use kar rahe hai.

Uc-browser ek tarah se android apps sharing platform ban chuka hai. Is program me aapko High CPC rate, 100% fill rate aur Best CPM ads campaigns deta hai jisse aapki earning bahut hoti hai.

Agar aapke pass high quality visitor’s hai to aap isse 100$ tak perday kama sakte hai, Isme aapko bahut se ad type milte hai jinko aap apne website me implant kar paise kama sakte hai.

Isme aapko Link share ad ki bhi subidha milti hai jise aap social media platform par share aur friends se app download karwa kar kamai kar sakte hai.

Uc Union se paise kamane ke liye apko sabse pahle uc union par account bana padta hai. to ab mai apko uc union par account kaise banate hai ke bare me pure details ke sath batane jaraha hun.

Uc Union Par Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari?

Uc Union Par account banana bahut hi asan hai. bas uc union account ko verify karne ke liye aapke pass ek ID proof hona chahye, jisse aap apne account ko verify karwa sake.

Account banane aur uc union account ko verify karne ke liye niche batae jarahae steps ko sahi se follow kare.

Step 1:

New account create karne ke liye Sabse pahle aap uc web browser ki official website www.uc-union.com par visit kare, aur Sign Up Par click kare.

how to create uc union account in Hindi

Step 2:

Sign Up Par click karne ke bad ab ke samne registration from open ho jayega jisme aapko pura detail fill karna hai.

  1. Username: Uc union me login karne ke liye apna username dale.
  2. Email id dale (Email id kaise banye uski jankari yaha hai).
  3. Apna password dale, Password me number aur latter dono use kare.
  4. Country me India select kare
  5. Online Contact select  karke uska username dale.
  6. Mobile number dalna chahte hai todal sakte hai, ye koi jaruri nahi hai.
  7. Same captcha code dale, jo show horaha hai.
  8. Terms and condition ko  tick mark kare.
  9. Pura details fill karne ke bad submit button par click kare.

uc union registration from

Step 3:

Submit button par click karte hi aapka Uc union me account ban jayega. aap screen par Registration successful in uc union ka message dekh sakte hai.

Bas aapko ek aur kam ye karna hai ke aapke email addres par uc union ki taraf se email verification link send kar diya gaya hai, jis par click karke verify kar lena hai.

Agar aapke mail par verification link nahi gaya hai to aap Resend email button par calick karke dobara se verification link pa sakte hai.

uc union account register completed

Step 4:

Ab aap apne email account me login kare aur inbox ya Spam me dekhe ke Uc union ki taraf se [UC UNION] Email Activation ka mail aya hua hai ke nahi, usse open kare aur Activation link par click kare.

UC UNION Email verification

Step 5:

Activation link par click karte hi aapka uc union account activate ab aap apna username aur password dal kar account me login kare.

Login to UC-UNION account

Step 6:

Uc union se online paise kamane ke liye abhi aapka account approve nahi hua hai isliye pahle aapko apna Id proof aur kuch details dal kar account ko approve kar lena hai.

Account ko approval karne ke liye top bar me Management par click karke Submit Application/Site par click kare.

Management option

Step 7:

submit Application/site par click karne ke bad ab aap basic information section me visit kar gaye hai. Yaha aapko apna pura details dalna hai.

  1. India select kare
  2. Id Type select kare jo aapke pass hai.
  3. Identity card ki scan copy upload kare.
  4. Promotion method me jo aap choose karna chahte hai select kare.
  5. Ketne month se aap Affiliate marketing kar rahe hai select kare.
  6. Mobile marketing ketne din se kar rahe hai select  kare.
  7. Aapko Uc Union affiliate program ke ke bare me kisne bataya vo select kare.
  8. Aapne pahle is par work kiye hai to uski details dale nahi kiye hai to No ko tick kare.
  9. Pura detail fill karne ke bad Continue button par click.

basic information

Step 8:

Basic information dal kar continue par click karne ke bad next page me aapko Traffic information dalna hai.

  1. Aapke blog par jada traffick kaha se aata hai vo select kare.
  2. Mobile phone se ketna traffic aata hai vo % select kare.
  3. Marketing ke liye 3 Targeting country select kare.
  4. Campaign work select kare.
  5. CPI cost me no select kare. Ya karna chahte hai to Yes kare
  6. Server tracking use karna chahte hai to yes kare nahi to No par hi rahne de.
  7. Yaha par Uc News select kare.
  8. Aap agar koi aur network par kam karte hai to uska details yaha dal sakte hai, iss no par hi rahne de.
  9. Aap ki dusre affiliate network se ketna monthly income karte hai vo dal sakte.
  10. Sab dalne ke bad Submit button par click kare.

Traffic information

Ab aapka uc union account approval process finish hogaya hai bas aapko 4-5 day wait karna hai account ko approve hone ke liye.

Uc union approval process finished

Finally aapka uc union account create ho chuka hai. Successful approve milne me maximum 3-5 din ka time lagta hai.

Jaise hi apka uc union account approved ho jayega. aapke email par uc ki taraf se notification aajayega. Aur fir aap ad unit create karke apne blog me iske ads laga kar sakte hai.

Dosto aapko ye article kaisa laga iske bare me batana na bhule aur Uc Union se related kisi bhi sawal hai to aap comment me puch sakte hai.

  1. AdF.ly kya hai Adf.ly Se Paise kaise Kamaye
  2. Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Jane Hindi Me

Related Articles

10 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button