Uc News Kya Hai – UcNews Par Account Kaise Banaye

Create UC News Account and Earn Money online for Uc Web News, Uc news ek aisa platform hai jaha se aap ghar bathe lakho rupe kama sakte hai. Uske liye bas aapko Uc news par account banana parta hai.

Is article me mai aapko Uc News kya hai, aur UcNews par account bana kar paise kaise kamate hai iske bare me pure details ke sath batane jaraha hun.

How To Create Account in UC News

Internet se online paisa earn karne ke liye Uc web ka uc news program bahut hi badhiya aur best hai Ish program se aap har mahine hazaro rupe kama sakte hai.

Agar aap blogger hai to Uc news me aap sirf paise hi earn nahi kar sakte hai balki iska use aap apne website ko promote bhi kar sakte hai. Uc web news aapko aap ki website ko promote karne ke liye bhi paise pay karti hai.

Aapke pass ek website hai to aap apne website ke article uc news par publish kar sakte hai. Is program me aapko apne article ki SEO optimize karne ki jarurat nahi hoti hai balki uc browser par jiski title sabse best hoti hai unhi ki news top par show ki jati hai.

Agar aap daily 1 news bhi publish karte hai to uc web news program se aapki kafi achi kamai ho jati hai, Is program me aapko article likhte samai aapko seo par dhyan dene ki jarurat nahi hoti hai kyuki Uc browser ke User’s bahut adhik hai aur aapka article har ek user tak pahuchayi jati hai.

Uc News Kya Hai — What Is Uc News

Uc-web browser ka hi ek program Uc news hai Isse Uc browser me news show karne liye banaya gaya hai. Uc ka apna ek alag android or ios app hai, Isme koi bhi apna article likh kar publish kar sakta hai aur logo tak apni news pahucha sakta hai.

Stating Me Uc News Par Article Publish Karne Ka Users Ko Kuch Bhi Benefit Nahi Hota Tha Par ab Isme Earning Program bhi Add kar diya Gaya hai.

Jisse aam logo ko online paise kamane ka ek bahut badhya rasta mil gaya hai. jisko bhi thoda bahut English Hindi padhne likhne aata hai vo asani se is program ka faeda utha sakta hai.

Aur khas karke isme ab monetization program add kiya gaya hai, aap isme monetization enable karke apne news ko publish karke achha khasa paise kama sakte hai.

Uc News Program Use Karne Ke Fayde Kya Hai

Uc web news program ko use karne ke waise to kai sare faede hai, agar aap blogging karte hai to aapiska dabble faeda utha sakte hai.

Free me aapka post promote hoga aur sath me jada paise kamane ke liye aap isme apna post share kar sakte hai. aur jo log online money making karna chahte hai, par unke pass koi blog nahi hai to vo bhi apna post likh kar direct uc news par pulish kar ke paise kama sakte hai.

Is Uc web news program me register karne ke liye aapko kuchh bhi paise investment karne ki jarurat nahi hogi, aap free me register kar sakte hai.

Ye aapko fully free service provide karti hai, aur uc web news par account create karna bhi bahut hi easy hai aur bina kisi website ke aap isme sign up kar sakte hai.

Bas ucnews account ko verify karne ke liye aapke pass pan card hona chahye kyuki isme apna PAN card number aur uski scan copy upload karne ki jarurat hoti hai.

agar aapke pass pan card nahi hai to aap ko parishan hone ki jarurat nahi hai, aap pan card online apply kar sakte hai. PAN card online apply kaise kare uski jankari yaha hai.

  1. Uc browser ke 10 Million se jada active users sirf india me hi hai ishliye agar aap isme koi bhi news publish karte hai to aapko uska turant result milta hai aur sabhi users tak aapki post share ki jati hai.
  2. Ispar aap apne blog/website ke article bhi publish karke apne website par traffic increase kar sakte hai.
  3. UcNews ka koi bhi article google crawl nahi karta hai ishliye copyright ki koi problem aapko nahi hogi.
  4. Uc web news sign up karne ke baad jab aapka account approve hota hai uske thik 7 din baad aap monetization on kar sakte hai aur apne article se earning kar sakte hai.
  5. Iske aur bhi bahut sare benefits hai agar aap uc news program ka use karte hai to isme aapko benefits hi benefits milti hai isme aap kuch bhi nuksan nahi hota hai.

Uc News Par Account Kaise Banaye Step by Step Puri jankari?

Dosto aapto samjh hi gaye honge ki online paise kamane ke liye Uc News best option hai, To ab mai apne asal topic par chalta hun aur aapko bata hun ke Uc News par account kaise banate hai. How to crate  and register Uc web news account in Hindi/Urdu.

Ispar register karna or account banana bahut hi easy hai Agar aapke pass ek website/Blog hai to aap uska use karke isme aasani se account banana sakte hai, or agar aapke pass website nahi hai to email ID ke jariye isme register kar sakte hai.

Sign up ke baad Uc web account ko approve hone me 25-30 din tak lag sakte hai aur wo aap ki website par depend karti hai. Email address se approval pane ke liye kam se kam 40-50 din tak lag sakta hai par aapka account approval ho hi jayega.

Account banane ke liye niche bataye jarahe steps ko sahi se follow kare. aap isme easily new account create kar sakte haivo bhi free me.

Step 1 :

Uc web news par account banane ke liye sabse pahle aap uc news ki official website mc.ucweb.com par visit kare.
uske bad right side me Sign Up button par click kare.

uc news par account kaise banaye

Step 2:

Sign up button par click karne ke bad next page me aapko apna registered email id enter karna hai aur apne Uc web account ka password enter karna hai.

  1. Apna email id enter kare.
  2. New password enter kare.
  3. Dobara same Password dal kar confirm kare.
  4. Invitation code me 408341 enter kare.
  5. Jo Captcha show horaha hai same wahi enter kare.
  6. terms and condition read karke i have read and accept terms and conditions ko tick mar kare.
  7. Sab sahi sahi dalne ke bad continue button par click kar de.

Create account to UC News

Continue par click karte hi next page me aapko bataya jayega ke a verification message has been sent to your email youremailid@gmail.com. Yani aapke mail par registration confirmation link send kar diya gaya hai jiss par click karke aapko apne uc news web account ko email id se verify karna hai.

Aap chahe to CHECK EMAIL button par click karke apne email account me login kar sakte hai, ya fir aap direct apne mail account me login kare.

 

Uc news check mail

Step 3:

CHECK EMAIL par click karte hi aap apne email account par visit kar jayenge, aapke mail par registration confirmation link aaya hoga jiss par cick karke aapko apne uc news web account ko email se verify karna hai.

Apna mail ID open kare aur dekhe ke Verification Email for Registration name ka Inbox me UC Web ki taraf se mail aaya hua hai ke nahi. Ya aap Spam me bhi check kar sakte hai, then us link par click kare.

Verification Email for Registration UC web News

Step 4:

Verification Link par click karte hi new tab me ek aur page open hoga, isme aapko apna naam or pan card ki jankari bharni hai.

  1. Your account Name: Yaha apna Original name dale.
  2. Account type: me personal select kare.
  3. Categories: Aap uc web news me kis chij ke bare me jankari share karne wale hai Categories select kare.
  4. Yaha bhi apna name enter kare ya Jis naam ko aap uc news me show karna chahate hai vo dale.
  5. Apna pan card ka number enter kare.
  6. PAN card ya koi bhi ID proof ko scan kar ke upload kare, smart phone se bhi photo le kar add  kar sakte hai .
  7. Phone number enter kare.
  8. Jo Language rakhna hai vo select kare.
  9. Agar aapka koi blog hai to uska url dale, nahi hai to email address hi dal de.
  10. Terms and condition ko accept kare.
  11. Sab dalne ke bad CONTINUE par click kare.

UC News Account Information

Pura details dal kar Continue button par click karte hi aapka form submit ho jayega aur aapka account review ke liye pending ho jayega.

UCNews Account Status

Ab aapko wait karna hai uc web news account approval hone tak aapke UcNews Account ko approve hone me Generally 25-30 days lag sakte hai. par wo depend karti hai aapne wblog option me aapne website ka url dala hai. ya fir website ki jagah aapne apna email address enter kiya hai to wo bhi 30-40 din me approve ho jayegi.

Jab aapka Uc news account approve ho jaye tab aap usme post publish kar sakte hai par monetization aap 7 days baad enable kar sakte hai Aapko bata du ki Uc news se paise kamane ke liye monetization enable karna jaruri hota hai aur wo aap account approve hone ke 7 din baad kar sakte hai.

Dosto is tarah se aapne Uc web News par new account successfully create kar lia hai, agar aapka koi sawal hai to aap comment kar ke puchh sakte hai.

Related Articles

26 Comments

  1. Sir custom style me kha add karna hai code .plz sir ek thoda process Ke saath bta do.
    Plz help me

    Meri blog post KO attractive karna hai

    Aap ek baar mera blog dekh kar koi acha suggestion de

  2. Sir me abhi 18+ nhi hu me apne papa yha kisi aur ka pancard use kr skta hu kya aur pan card number dene se koi problen toh nhi hogi na help me plzzzzzzz jaldi btana

  3. bhai mai ne uc news pe account banaya kuch din ke baad maine check kiya ke account approve hua hai ya nahi to mujhe ye message show hua…………… Website/blog/article link is necessary,please fill and submit again. The LinkedIn/media account links are OK,if you don’t have website/blog link. ……………..iska kay matlab hai mai kay karo pls help me

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button