Paytm Wallet Me Balance Kaise Add Kare? Bank to Paytm Transfer

Paytm me paise kaise add kare, Paytm se mobile recharge, Online shopping, ya Utility bill pay karne ke liye aapko apne paytm wallet me balance, Add karna hota hai. Iske liye aap credit card, debit card ya net banking etc… use kar sakte hai.

Jab aap paytm me apna account banakar wallet me money add karenge to aap paytm ki sari services ko easily use kar sakte hai.

How to Add Money in paytm wallet

Paytm Wallet Kya Hai?

Paytm par account create karne ke baad paytm se mobile recharge ya utility bill pay karne ke liye aapko credit card, debit card ya net banking se paise add karna hota hai. Iske Elawa paytm me user ka ek account bhi hota hai jise paytm wallet kahte hai.

How to Add Money in Paytm Account Wallet

Paytm wallet bhi ek bank account ki tarah hota hai, jisme aap asani se paise add kar sakte hai aur paise send/receive bhi kar sakte hai.

Agar apke Paytm wallet me paise hai to aap kisi bhi tarah ki servic use kar sakte hai jaise Mobile recharge karna, Utility bill pay karna & Online Shopping karna etc.

Uske liye apko bar-bar paise pay karne ke liye credit/debit card ya net banking ka use nahi karna parega. Bas ek bar paytm wallet me paise add kar lete hai to uss se har baar use kar sakte hai.

Paytm wallet ka use aap paytm ki sabhi service me kar sakte hai, iske liye bas aapko sirf Paytm wallet me balance hona chahiye. apne wallet se direct bank account me bhi paise transfer kar sakte hai.

Paytm Wallet me Paise Add Kaise Kare in Hindi/Urdu.

To chaliye dosto ab apne asal topic pe chalte hai aur jante hai ki Paytm me balance kaise add karte hai. bas iske liye niche bataye ja rahe step ko follow karna hai.

iss article me apko Paytm apps ke through money add karne ka tarika batane ja raha hu aur aap web browser se paise add karna chahte hai to uska bhi tarika same hai.

Step: 1

Paytm me balance add karne ke liye sabse pahle aap apne android/window mobile me paytm apps open kare. aur home page par “Add Money” Button par click kare.

add money to paytm

Step: 2

Home page par Add Money key button par click karne ke baad Next screen par aap apne  Paytm wallet me jitna paisa add karna chahte hai wo dale. Amount dalne ke baad Proceed Button par click karde.

Paise dale jetna add karna hai

Step: 3

Agar aap ATM Debit card se paise pay karna chahte hai to.

  1. Card No: 16 digit wala ATM card number dale jo ATM card ke front pe hoga.
  2. Expiry date: yaha apne ATM card ka Expiry date (Month and Year) select kare.
  3. CVV: apke ATM ke pichhe 3 digit ka CVV number hoga woh dale.
  4. Pay now: ab Pay now Button par click karde.

Add-balance-Paytm-in-to-Debit-card

aapke ATM card ke back side me 3 digit ka number iss tarah ka hoga. see below the image….

ATM CVV Number

Step: 4

ATM debit card ka pura details dalkar Pay now par click karne ke baad Next screen pe aapko OTP dalne ke liye kaha jayega. jo aapke registered Mobile pe SMS aayega.

One Time Password (OTP) dalne ke baad aapke Paytm wallet me successfully Money Add ho jayega. ab aap apne wallet me Amount dekh sakte hai.

add money successful to paytm

Agar aap chahte hai ki internet banking ya credit card ke duwara paise Add karna to uske liye jaha par ATM debit card details dala tha.. Pay now button ke niche other payment mode ke option me credit card net banking ka option hai.

other payment modes

Dosto aapko Paytm me paise kaise dale ki ye online jankari kaisi lagi. agar aapka iss article se related koi quistion hai to niche comment box me apna sawal likh kar puchh sakte hai. Thanks

 

Related Articles

6 Comments

  1. Sir me aapse Janna chatu ki paytm app save hai kya. sir me first time use karrahu aur mujhe use karna apke instruction ke through samaj rahhu

  2. Mene money add ki lekin add money ka logo aa gaya aur phir kuchh hi Der me no add money likha Hua aa gaya
    Yaani ki mere bank se amount katne ka message bhi aa gaya
    Pls help ab me kis se help lu
    Pls reply

  3. Hello sir
    Mere atm ka registered mobile number kho Gaya to me paytm me TOP kese Dalai. Dusra kon tarika h Kya. Jo bina Otp daale monny add ho jaye.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button