Twitter Kya hai, Twitter Par Account Kaise Banaye Jane Hindi/Urdu Me

Abhi ka jo Dour chalraha hai usme internet bahut aham hogaya ha.i or khas karke Social Media pe to log chhaye hue rahte hai. or iski madad se ham puri duniya ke logo se jude hue rahte  hai.

jese Facebook, Google+, Twitter or bhi bahut sari Social networking site hai. is post me jange ke Twitter Kya hai, twitter account kaise banaye. pure details ke sath Hindi Urdu me.

Twitter Kya hai, Twitter Par Account Kaise Banaye

Twitter Kya Hai?

Ye ek Social Media Networking site hai jo ke 2006 me start hua tha. Jab ye start hua tha to us wakt ise Micro blogging Platform ke maqsad se banaya gaya tha jaha par log apni roz marra ki zindagi ke baare me logo ko share kiya katre the.

or isme 140 characters, Akhchar se jada lamba message nahi likh sakte hai. jis ko “Tweets” kahte hai.

Jiska is social media par account hai vo tweets kar bhi sakta hai or dusro ka tweets pad bhi sakta hai par jiska account nahi hai vo sirf dusro ka tweets pad sakta hai.

Twitter par Account kaise banaye uski puri jaankari

To chalye Dosto ab ham apna Twitter ka account bana start karte hai iske liye bas aap ko niche diye gaye In steps ko follow karna hai. Twitter Par Account Kaise Banate hai Pure Details ke sath

Step 1:

Twitter par new account banane ke liye Sab se pahle aapko apne web browser me www.twitter.com open karna hai, Aur fir “Sign up” ki button par click kare, ya fir yaha click kare.

Twitter account par sign up kaise kare

Step 2:

Sign up button par click karne ke Ab aap ke samne account registration sign up form open hoga jisme aapko apna pura details dalna hai.

  1. Full Name: isme apna pura naam dale.
  2. Phone or Email: Isme apna moblie number ya koi bhi email id dale jisse aap ko account banana hai. (Email id kaise banye)
  3. Password: ya apna password dale jo aap bad me yad rakh sake.
  4. Terms: isko √ tick mark kare.
  5. Sign up : or sab dalne ke bad Sign up ke button par click kare.

Twitter Sign up kaise kare

Step 3:

Apna pura details dalke sign up karne ke bad next page me aap ko mobile number dalne ke liye bola jayega.

  1. Apna Contory slect kare.
  2. Apna mobile nember inter kare.
  3. Or Next button par klick kar de. abhi mobile nahi dalna chahte hai to Skip pe click karde.

Twitter me mobile number add kare

Step 4:

Mobile number dal kar next karne ke bad ab aap ko apna mobile number verify karna hai, aapne jo bhi mobile number dala hai uspar six digit ka Verification code aaya hoga jisse dal kar number verify kar lena hai.

  1. aap ke mobile pe twitter ke taraf se message aya hai usse yaha dale.
  2. uske bad Verify Button par click kare.

mobile verification code dale

Step 5:

Apna mobile verify kar lene ke bad Ab aap ke samne jo page ayega usme aap ko apna Username dalna hai.

  1. is box me Username dale.
  2. uske bad Next Button par click kare.

twitter username kaise dale

Username vo naam hota hai jo aapke follower message, @replie, Aapko post me add karne ya fir firect message karne me kaam aata hai.

user name me twitter profile ka URL hota hai. jese Online Jankari ka twitter username hai @OnlineJankar or Profile ka URL hai https://twitter.com/onlinejankari.

Username ko baadme bhi change kar sakte hai par aap jo bhi naya username select karege Vo phele se kisi ka nahi hona chaiye.

Or Jo username hai vo 15 sabdo se kam hona chaiye or username me “admin” or “Twitter” sabd nahi hona chaiye.

Step 6:

username dal karne next kar lene ke bad Ab aapka twitter account ban gaya hai, yaha bas aap ko Let’s go! button par click karna hai.

twitter id kaise banaye
Step 7:

Yaha aap se pucha jaraha hai aap kis kis chij ko pasand karte hai. in mese jo bhi aap ko pasand ho usse slect kar ke Continue ke button par click kare.

twitter category chune

Step 8:

Agar aap apne email par twitter ka notification pana chahte hai to Next page me aap ko apna find friend chunna hai. Find friend banase se ye faeda hoga ke jab bhi koi aap ko tweets karega to uska nonificaton aap ke email par ajaega.

  1. Gmail ko ya Outlock ko slect kare.
  2. Import Gmail contant button par click kare.
  3. ya fir No thanks par click kar de.

twitter find friends add kare

Step 9:

jab aap find friend karenge to aap ke samne aisa page khulega bas aap ko Allow par click kar dena hai.

twitter find friend alow Step 10:

Jab aap allow par click karnege to aap se pucha jayega ke aap apna Notification on karna chate hai ya nahi. jo bhi ho Turn on notification ya fir Not now ke button par click karde.

twitter notification

Step 11:

bas last step rahgaya aap ke mail par twitter ki taraf se ek mail gaya hoga. apne email box me jakar apna account verify karlena hai uske liye bas aap ko Conform Now ke button par click karna hai.

twitter-email-verification

To lijye dosto aap ka twitter account ban ke taiyar hogaya.

twitter-email-verification

Step 12:

Or aap apna Profile photo or Header photo upload karna chahte hai. to uske liye Apne name pe click kar ke Edit profile ka option ayega uspe click kare or apna profile photo upload kar ke Save settings ke button par click kar ke save kar le.

twitter-profile-photo-add-kare

Dosto Ab to aap jaan hi chuke honge ke kaise account banate hai, Agar aapko koi parishani aa rahi hai ya fir aapka koi sawal hai to aap Comment karke puch sakte hai.

Ye Bhi Padhe.….

Related Articles

2 Comments

  1. sir aap apna template hume de sakte hai +child theme sir mai aapka roj ka visitor hun mai pahle bhi aap se maang chuka hun

    1. Abhi mai thoda busy hu 2-4 din me mai aapki kya theme send kar dunga is theme me main ne kuch Jada hi coding kiya hua hai jisse aapko problem ho sakti hai extra code hata kar mai aapko send kar dunga

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button