Keyword Kya Hota Hai, Ek Badhya Keyword Kaise Chune

Hello Dosto Aap blogging karte hai to aap ne keyword ke bare me jarur suna hoga. Aur aap blogging me naye hai to aapko Keyword Kya Hai ke bare me puri jankari honi chahiye. Agar aapko keyword ke bare me nahi Malum hai ke keyword kya hota hai aur isko apne blog website me kaise use karte hai.

to ye post aapke liye helpful rahega kyu ki iss post me hum keyword se related bahut sari bate jange ke ek badhya Keyword Kaise Chune ke bare me.

Keyword Kya Hota Hai Badhya Keyword Kaise Chune

keyword kya hota hai isko hum ek simple shabdon me kah sakte hai keyword search engine ko batata hai ki aapke blog aur article kiss bare me likhi hui hai.

Example ke taur par maan lete hai ke aapka ek blog website hai “how to earn money” to aapke iss blog or website ka keyword “earn money” or “Make money” hoga Ye ek simple Example hai keyword ke bare smjhne ke liye.

Keyword Kya Hota Hai

keyword search engine ko ye batata hai ki hamra blog website kiss bare me hai. Search Engine iska calculating kar ke dekhta hai ki woh particular word Jisko hum keyword kehte hai kisi bhi blog ke article me usko kitni baar use kiya gaya hai.

Example ke taur par agar mai apne blog ke article me earn money 2-4 baar likhte hai to search engine ko iss baat ka samajh me ajayega ki aapka article earn money ke upar hi likha hua hai.

Aur jab koi visitor earn money ya phir isse related koi word Google par search karega to aapke blog ka article top search page par show hoga.

kyu ki aapne ek keyword ko choose karke usko target kiya hai. Not:- aapko is baat ka dhyaan dena hai ke jab bhi aap koi bhi keyword ko target karte hai to us article me keyword ko 10-15 baar use na kare.

jada se jada 2-4 baar hi use kare kyu ki jyada baar use karne se search engine aapke article ko spam maan lega or search me show nahi karega.

Dosto Mujhe ummed hai ki upar ke Example se aap samjh gaye honge ki keyword kya hai. Agar aap Chate hai ki aapke blog par jada traffic aaye to aapko aise keywords par post likhna chahiye jo jada bar search kiye jata ho.

Jab bhi aap koi post likha kare to uss post ka ek badiya Aur Main keyword select kar le. Example ke Taur par Maan le Ki mai ek post likhne jaa raha hu jiska title hai “internet se paise kaise kamaye”.

ab mai iss post ko likhne se pahle ek main keyword ko choose karuga aur woh keyword hoga “paise kaise kamaye” ab iss keyword ko mai apne pure post me kam se kam 4-5 baar use karuga.

Phir ek baar iss keyword ko “Permalink, Meta Description, Heading, aur bhi impotent jagah par bhi dalunga fir apne article ko publish karuga.

Badiya Keyword ko Chunne ke baad kaha kaha use kare

  1. Post Title me
  2. Post Permalink
  3. Heading H2 ya H3
  4. fist paragraph me
  5. Image Name me..
  6. Image Alt tag me.
  7. Description me.

Aisa karne se hamare article ko search engine se jyada traffic milega kyu ki maine ek main keyword ko target kiya hai. Aap bhi jab bhi koi naya post likhne jaye to uss post ke ek main keyword ko target kare aur dhyaan rakhe ussi keyword ko target kare jisko internet par jyada search kiya jata hai.

Agar aapko pata lagna hai ki internet par kon sa keyword jyada search kiya jata hai to aap google ki ek free tool google keyword planner se pata laga sakte hai. (google keyword planner tool ko kaise use kare uski jankari yaha hai).

Ye tool bilkul free hai iss tool ki madad se aap ye pata laga sakte hai ki kon se keyword Internet par monthly kitni baar search kiya jata hai.

google adwords keyword planner me aur bhi bahut se feature hai jo aapke article ko google top page me lane me bahut help karega. Mai aapko yahi kahunga ke aap apne blog ka post likhne ke liye iss tool ko jaroor yous kare ….

To dosto aapko ye article kaisa laga agar aapko ab bhi samajne me problems horaha hai ke keyword kaisa slect kare to aap comment kar ke jaroor puchh le aur iss post ko share karna na bhule…

Blog ka seo badhya karne ke liye Ye bhi padhe….

Related Articles

One Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button