Ebay Kya Hai – Ebay Affiliate Account Banakar Paise Kaise Kamaye

What is ebay affiliate program and how to earn many in Ebay, Hello dosto kya aap Ebay affiliate program se online paise kamana chahte hai. is post me main aapke sath share karne jaraha hun ke ebay Affiliate Marketing program kya hai, Ebay affiliate Account bana kar paise kaise kamaye in Hindi/Urdu.

Ebay Kya Hai - Ebay Affiliate Account Banakar Paise Kaise Kamaye

Ebay bhi ek online shopping site hai jisspar aapko apni pasand ke sabhi product jaise computer/laptop, Mobile phone, cameras, health and beauty etc sabhi saman mil jate hai.

Or inhe aap easily Ghar baithe manga sakte hai or payment aap credit card debit card net banking and cash on delivery etc kisi bhi method se kar sakte ha.

ebay ki sabse acchi baat ye hai ki issme aapko bhut hi acche product milte hai yani bhut hi kam product defective nikalte hai or issme aapko customer support bhi accha milta hai. issliye ye online shopping sites mese popular site hai.

Ebay Affiliate Program Kya Hai Puri Jankari

Affiliate Marketing ka matlab hota hai Kisi saman ka promotion karke usko bechna, aisa karne par aapko uska kuch percent commission milta hai.

Jise Amazon.in, flipkart online seller site hai, agar aap inke product ko affiliate link ke duwara share karte hai, aur jab  uspar koi customer click karke saman kharidta hai to aapko ebay uska commission deta hai. Commission 14-15% tak milte hai, Iss trha aap ache khase paise kama sakte hai.

Ebay affiliate me aapko product ka link milta hai iss link ko aap kahi bhi yani social media sites jaise facebook google+ twitter ya apni website par share kar sakte hai.

Or aapke affiliate link par click kar ke koi bhi customer koi bhi product buy karta hai to aapko uspar commission milta hai.

Ye commission product ke price par depend karta hai or aapke affiliate account me jab minimum withdraw jitna amount ho jata hai to aap payment apne bank account me le sakte hai.

Aap chaque ke dwara bhi payment le sakte hai ebay affiliate se paise kamane ke liye aapko isski affiliate id bananni hoti hai jisske bare me aaj me aapko iss post me batunga.

Dosto aapto samjh hi gaye honge ki Ebay kya hai aur ebay affiliate marketing se paise kaise kamaye jate hai To chaliye ab jante hai ke ebay par affiliate account kaise banate hai.

Affiliate account banana banana bhut easy hai aap easily ispar sign up kar sakte hai ebay par register kaise kare ye janne ke liye niche bataye steps ko follow kare.

Ebay Par Affiliate Account ID Kaise banaye Step by Step Puri Jankari

Ebay se online paise kamane ke liye sabse pahle aapko Ebay affiliate program par account bana hoga, to chaliye jante hai ke Ebay new account kaise create karte hai in Hindi.

Step 1:

New account banane ke liye sabse pahle aapko ebay affiliate program page par jana hoga jisspar direct jane ke liye niche button par click kare.

Aap jaise iss button par click karege aapko yaha ek big banner dikhega issme blue color me join now for free ka button hai uspar click kare.

join for ebay affiliate program

Step 2:

join now for free button par click karne ke baad aapke samne ek affiliate sign up form open hoga jisme aapko apni puri details fill karni hai, From fill karnee ke liye niche bataye instruction ko follow kar sakte hai.

Account Details-

  1. Company / name me apna name dale ya aapki koi company hai to usska name dale.
  2. Address 1 me apna address dale jaha aap rahte hai waha ka address enter kare.
  3. City me apni city ka name dale.
  4. Country me apni country India select kare.
  5. Region me apne state ka name enter kare.
  6. Zip-code Yaha apni city ka zip code yani pin code enter kare
  7. Phone agar aape pass land line ka phone number hai to dale ya khali chor de.

Affiliate Sign Up for ebay.in

User Details-

  1. Email address– apna email id enter kare. (Email id kaise banaye janne ke liye yaha click kare)
  2. Password– 6-12 digits ka password dale jo aapko yaad rahe.
  3. Confirm password – me same password dubara enter kare.
  4. First name – apna pahla name dale
  5. Last Name – apna akhri name dale.
  6. Title – issme bhi aap apna naam daal sakte hai ya isse blank hi chod den.

User Details for ebay

Additional Questions –

  1. affiliate type me individual select kare agar aapki koi company hai to organisation select kar sakte hai.
  2. Organisation name me aap apna name ya aapki koi website hai to usska name dale.
  3. Contact number me apna mobile number dale.
  4. Secondary contact number me apna dusra contact number dale.
  5. secondary email address me apna dusra email address dale ya issme aap default bhi chodh sakte hai.
  6. Payee name me aapko apna vahi name dalna hai jo aapki bank account me hai issi payee name se aapko payment milegi.
  7. payment method me aap electronic fund transfer select kare.
  8. Bank account number me apni bank ka account number dale.
  9. bank name me aapka jis bhi bank me account hai uska name dale.
  10. IFSC code me apni bank ka ifsc code dalna hai ye code apke bank passbook me hoga.
  11. MICR code me aapko bank ka micr code dalna hai ye bhi aapko bank passbook me mil jayega.
  12. bank city me aapka bank branch kis city me hai uss city ka name dale.
  13.  website url me aapko apni Website ka url dalna hai jissse aap affiliate marketing ki link promote karege agar aapki koi website nahi to aap blogger par free blog bana sakte hai.
  14. Wbesite type me aapki website kis type ki hai vo select karna hai coupon & deal, cashback, blog, content, network aapki website jis bhi type ki ho vo yaha select kare.
  15. Monthly views me aapki website par 1 month me kitne page view hote hai vo select karne hai.
  16. I agree to the Terms and Conditions, aur I hereby consent and allow the use dono box tick mark karde.
  17. Sabhi details sahi se fill karne ke baad sign up button par click kare.

Additional questions

Your application to eBay India is currently being reviewed. An account manager will contact you shortly.
In the meantime.

Now aapka ebay affiliate account ban chuka hai, bas aapke account ka review liya jayega jab aapka account approve hojayega to aap kisi bhi product ka link copy karke apni website ya kahi bhi share karke kisi se vo product buy karwate hai to aapko commission mliega. or aap asani se money earn kar sakte hai.

Doston iss tarah aap ne easily Ebay par Affiliate account bana liya hai. agar aapko ye post pasand aayi to isse apne doston tak share karna na bhule, aur aapka koi sawal hai to comment karke puchh sakte hai.

  1. Uc News Kya Hai – UcNews Par Account Kaise Banaye
  2. UC Union Kya Hai – Uc Union Par Account Kaise Banaye

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button