Flipkart Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye Jane Hindi Me

How to earn money flipkart affiliate program in Hindi. Hello dosto kya aap Flipkart Affiliate Program se paise kamana chahte hai.

To is article ko pura padhe yaha maiaapko Flipkart affiliate program kya hai, Flifkart affiliate se online paise kaise kamaya jata hai ke bare me pure details ke sath batane jaraha hun in Hindi/Urdu.

Flipkart Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye in Hindi

Flipkart Kya Hai?

Flipkart India ki ek E-commerce company hai jise Sachin Bansal and Binny Bansal ne 2007 me lunch kiya tha. Flipkart ke founder pahle amazon.com ke liye work kiya  karte the.

But 2007 me inhone apni alag company banane ke bare me socha or flipkart ko launch kiya. Ye company Singapore me registered hai, Flipkart ka head office Bangalore, Karnataka, India me hai.

Flipkart ko starting me Kitab (books) kharidne or bechne (Buy and Sell) ke liye banaya gaya tha. Par ab customer is me har saman online kharid sakte hai. Jaise Electronics, Books, Clothes, Accessories, Home furnishing Mobile, and other product buy and sell kar sakte hai.

Flipkart par aap cash on delivery, credit or debit card transactions, net banking, e-gift voucher and card swipe on delivery method se payment kar sakte hai. Flipkart ne apne aapke product “Digiflip” ko launch kiya hai. Jiske under ye Mobile tablets, USBs, laptop bags and computer ka saman sell karta hai.

Flipkart Affiliate Program Kya Hai

Flipkart affiliate program ke ads agar aap ke pass blog/website hai to site par laga kar ya aapke pass koi blog nahi hai to aap Social media site YouTube, Facebook, Whatsapp etc.. par product share karke achi earning kar sakte hai.

Aapko sirf apni site par flipkart ke links and banner ads lagane hai. aur Social media par link share karne hai. uske bad jab bhi koi us link par click ke koi product kharidega to us product ka kuch hissa yani commission aapko milega.

Flipkart aapko product ke price ke hisab se aapko commission deta hai. ye commission 5% se 20% tak ho sakta hai. Agar aap janna chahate hai ki flipkart kis product par kitna commission deta hai to aap flipkart affiliate commissions form par visit kare.

Flipkart affiliate program par aap 2 tarah se money earn kar sakte hai. 1 aapko flipkart par shopping karni hogi or dusre me aapko direct bank account me payment milega

1 Gift Voucher: Isme aap flipkart se jo bhi paise kamaoge wo aapko nahi milenge. Aap sirf un paiso se flipkart se shopping kar sakte hai. Yani flipkart aapko cash payment nahi karega. Aapko uske product buy karne honge. Isme aapki earning Rs 250 hone par aap shoping kar sakte hai.

2 EFT: EFT yani Electronic fund transfer, Is method me flipkart aapke bank account me direct payment send karta hai. Jab aapki earning Rs 1000 ho jati hai to aap payment receive kar sakte hai.

Flipkart ke link or banner ads ko aap apne hisab se customize kar sakte ho. Or kisi bhi product ko search karke uska affiliate link generate kar sakte hai.

Flipkart Affiliate Se Kamayi Kaise Hoti Hai?

Flipkart affiliate program ko join karne ke bad jab aap apne blog ya website par uske ads lagaayenge ya Social Media site par share karenge, or us par click karke koi visitor product buy krega to aapko uska kuch persent commission milega.

Flipkart Affiliate Program Par Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari?

Dosto aap Flipkart kya hai Flipkart affiliate program se paise kaise kamya jata hai ke bare me aapne pure details ke sath jan liye hai.

Ab jante hai ke Flipkart Affiliate program par kaise banate hai step by step pure details ke sath Hindi/Urdu me, Flip kart par new account register karne ke liye niche bataye  jarahe step ko sahi se follow kare.

Step 1:

Sabse pahle aap Flipkart ki official Affiliate program website www.affiliate.flipkart.com par jaye or JOIN NOW FOR FREE button par click kare.

Flipkart affiliate par account kaise banaye

Step 2:

JOIN NOW FOR FREE par click karne ke bad ab aapke samne register link open ho jayega jime aapko apna email address or password dalna hai.

Password or email ID add karne ke bad “I wish to receive newsletters and marketing emails” and “I agree to the Flipkart Affiliate Program Term and Conditions” ko tick kare. Uske bad REGISTER ME button par click kare.

Register for flipkart affiliate program

Register me button par click karne ke bad ye message show hoga “Successfully registered! Please check your email for a confirmation link to activate your account.”.

flipkart affiliate program registration successful

Step 3:

So apne gmail account me login karke inbox me dekhe Affiliate Registration Confirmation Link ka mail aya hoga usse open karke diye gaye activation link par click kare.

Affiliate Registration Confirmation Link

Step 4:

activation link par click karte hi aapka flipkart account email se verify hojayega ab aapko apna email address aur password dal kar account me login karna hai.

Login Flifkart account

Step 5:

Ab aapko apne flipkart affiliate account me apna pura information dalna hai, yaha par aapko apne account ki sahi information bharni hi.

  1. My account par click kare.
  2. Uske bad Account details me jaye.
  3. Apna first Name dale.
  4. Last name dale.
  5. Mobile number dale.
  6. Koi Alternate Contact Number dalna chahte hai to dale.
  7. Alternate Email Id: dalna chahte hai to dale.
  8. Address dale.
  9. India select kare.
  10. State select kare.
  11. City select kare.
  12. Pin code dale.
  13. Save Change button par click kare.

Update account details

Step 6:

Account details fill karne ke bad agar aapke pass koi webste hai to uska details nahi hai to jis par aap flipkart product ko prmote karnge uski details dalni hai.

  1. Website details par click kare.
  2. Blog website ka URL dale.
  3. Kis type ki website hai vo ttype select kare.
  4. Monthly visitors ketne aate hai vo select kare.
  5. Aapki website kis topic par hai us link par click kare, click karte hi right me aap dekh sakte hai.
  6. Aap flipkart ki kounsi category ko apne website par add karna chahte hai us par click kare.
  7. Agar aapke pass koi dusra website ya apps hai to yaha par click karke uski details dal sakte hai.
  8. Then save change button par click kare.

Flipkart affiliate website details

Step 7:

Note:- Jab aap apne account me information fill karnge to aapke screen par ye message show hoga. Your documents are uploaded. We will verify once you cross the threshold limit (Rs.1000/- in EFT Mode & Rs.250/- in EGV Mode).

Yani flipkart affiliate account ko PAN card and Cancelled Cheque ki scan copy upload karke verify karne ke liye aapke wallet me (Rs.1000/- in EFT Mode & Rs.250/- in EGV Mode). se jada hona chahiye tab hi jakar aap account ko verify kar sakte hai.

  1. Payment Details par  click kare.
  2. Country me India select kare.
  3. Apne liye bana rahe hai to individual . Or company ke liye account bana rahe hai to Organisation select kare.
  4. Bank aur Pan card me jo Name hai vo dale.
  5. Aapke pas two option hai. EFT or Gift Voucher. Inke bare me mai upar bta chuka hu. select kare.
  6. Pan card number dale.
  7. Bank name select kare.
  8. Branch select kare.
  9. kounsi jagah par bank hai vo dale.
  10. City select kare.
  11. Account numberdale.
  12. IFSC code dale.
  13. scan copy Pan card ki upload kare.
  14. Cancelled chque ki scan copy upload kare.
  15. Sab sahi sahi dalne ke bad Save and upload button par click kare.

Flipkart Payment Details

Is tarah se aap apne account ki puri details fill kar sakte hai, agar aapke (Rs.1000/- in EFT Mode & Rs.250/- in EGV Mode) account me nahi hua hai to jab tak pura details fill karke rakhe aur jaise hi paise ho jaye to aap PAN card aur Cancel Cheque scene copy upload karle.

Flipkart Affiliate Products Ka Promotion Kaise Kare?

Aapne successfully flipkart par account bana kar puri details fill karli hai. So ab aapko apni site par flipkart ke ads lagane hai. Iske liye aap ye step follow kare.

  • www.flipkart.com site par jaye or us product ko search kare jo aap apni site par bechna chahate hai. aur usko Affiliate Link Generator box me pest karke GO par click kare. aapke samne us product ka affiliate link ajayega.
  • Ya fir aap affiliate Tools option par ja kar promotional banner ya apne hisab se category ke product pasand kar sakte hai.

Flipkart Affiliate Link Generator

Uske aapke pas do option honge first aap apni site par links add laga sakte hai. Second aap flipkart ke banner use kar sakte hai.

Best yahi rahega ki aap banner and links add use karne ke sath sath flipkart product ke bare me articles likhe or usme flipkart ke links add kare.

Links example: https://dl.flipkart.com/dl/mobiles-accessories/mobiles/~redmi-note-4-4gb/pr?iid=M_1e50b612-c359-4667-a098-2b12bd9e4d09_1.4RHU51O9IQ&affid=naqeebhse&sid=tyy,4io&cid=4RHU51O9IQ

Finally, Ye thi flipkart affiliate program se paise kamane ki puri jankari. Agar aapko iske bad bhi kuch samjh nahi aaye  to aap niche comment me puch sakte hai.

Related Articles

6 Comments

  1. Bhai please help
    maine filipkar affiliate account create kiya hai usme 3000 rs commission bhi hai maine eft option select kiya hai. bahut dino se mera account verify nahi ho raha hai. kya kiya jay bataya jay

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button