Amazon Affiliate Marketing Kya Hai | Amazon Se Paise Kaise Kamaye

Start Making Money With Amazon Affiliate Program in Hindi, Hello dosto kya aap amazon affiliate program se online paise kamana chahte hai. To is post me mai aapko Amazon Affiliate Marketing ke through ghar baithe paise kamane ke bare me tarika batane jaraha hun.

Amazon Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye

Agar aap online work karke paise kamana chahte hai, to aapke liye ye post kafi had tak helpful rahega, Iss post me mai aapko affiliate Marketing kya hai, Amazon affiliate program se money kaise earn karna hai ke bare me detail ke sath bataunga.

Affiliate marketing se paise kamane ke liye aapko ek bhi rupaye invest karni ki jarurat nahi hogi, aap ghar baithe free me paise kama sakte hai.

Affiliate Marketing Kya Hai ?

Affiliate Marketing ka matlab hota hai Kisi saman ka promotion karke usko bechna, aisa karne par aapko uska kuch percent commission milta hai.

Jise Amazon., flipkart online seller site hai, agar aap inke product ko affiliate link ke duwara share karte hai, aur jab  uspar koi customer click karke saman kharidta hai to aapko Amazon, Flipkart uska commission deta hai. Commission 14-15% tak milte hai, Iss trha aap ache khase paise kama sakte hai.

Also read: Filpkart Affiliate program se paise kaise kamaye

Amazon Affiliate Marketing Process

Amazon Affiliate Marketing program se money earn karne ke liye sabse phele aapko company ka affiliate program join karna parta hai.

Uske baad company jo product sale karti hai usko promote kiya jata hai, or jab koi customer aapki affiliate link se product ko kharidegi to usme se commission milega.

affiliate marketing programs

Affiliate program ek bahut hi simple tarika hai online money income karne ka iske dwara bahut sare log daily hajaro lakho rupaye kama rahe hai.

Amazon affiliate program ke liye aapke pass website ya app hai to Bahut achhi bat hai Nahi hai to bhi aap paise kama sakte hai.

Aap isse income karne ke liye social networking jaise facebook, twitter, whatsapp, Google+ etc.. ka istemaal kar sakte hai.

Aur sabse achhi bat ye hai ke Iske liye aapko ek bhi rupaye invest karne ki zaroorat nahi paregi. Bina paise invest kiye aap isse bahut hi achhi earning kar sakte hai.

Par aapto ye jante hi honge ke bena mahnat kiye hue koi kam nahi kiya ja sakta hai, har kam me thodi si mehnat to lagti hi hai.

Agar aap Isme success hona chahte hai. To aapko dilo jaan se mahnat karni padegi, bina mehnat ke kisi bhi kam me success ho pana impossible hai. Is kam ko aap ghar baithe aasani se kar sakte hai.

Amazon Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye?

Affiliate Marketing se online paise kamane ke liye pahle to aapko kisi bhi online shopping site ka affiliate member banna hai.

Uske bad aap koi bhi product chose karke uski link social media ya aapke pass website hai ya aap kahin bhi share kar sakte hai. aur us link par click karke jab bhi koi customer vo product kharidega to aapko usse commission milega.

Vaise to aap kisi bhi site ka affiliate program join kar sakte hai par mai aapko yahi kahunga ki aap Amazon affiliate Program ya Flipkart affilate program ko join jarur kare.

Kyuki affiliate Marketing ke mamle me Amazon and Flipkart sabse best provider hai. Ye best is liye hai ki jab aap iski terms and conditions padhenge to aapko usme pura details mil jayega.

To dosto aapne amazon affiliate marketing program ke bare me achhi tarah se jan gaye honge, to chaliye ab jante hai ke amazon affiliate se paise kamane ke liye affiliate program me join kaise kiya jata hai, aur uske bad kya kya karna parta hai pure details ke sath in Hindi/Urdu.

Amazon Affiliate Account Kaise Banaye

Dosto mai niche aapko step by step bata raha hu ki kaise aap Amazon affiliate plan se jud sakte hai. aur Apna Amazon Affiliate account kaise bana sakte hai full guide.

Step 1:

Sabse pahle aap amazon ki affiliate program website affiliate-program.amazon.in par visit kare aur “Join New for Free“. button par click kare.

create new account for Amazon

Step 2:

Join New for Free par click karne ke bad aap Login page par pahunch jayenge, yahan aapko apna “Crate Your Amazon Account” button par click karna hai.

create Amazon account

Step 3:

Create Your amazon account par click karne ke bad ab aapko apna Naam Email and password dalkar “Crate your amazon account” button par click kare.

  1. Pura Name likhe.
  2. Email id dale. (Email id kaise bante hai uski jankari yaha hai).
  3. Dono jagah same password dale.
  4. Sab dalne ke bad Crate your amazon account par click kare.

Amazon affiliate Program par account kaise banaye

Step 4:

Aapne amazon affiliate program par apna account crate kar liya hai ab aapko next page ,e apni puri details fill karni hai, jo is tarah hai.

  1. Payee Name – me apna ya jiske name se account bana rahe ho vo name dale.
  2. Address Line – Apna address dale. Iske niche diye aur address boxes ko aap khali chod sakte hai.
  3. City – Apni city ka name dale.
  4. State – yahan aapko apne rajy matlab state ka nam dalna hai.
  5. Postal code – Apne area ka pin code dale.
  6. Country – India select kare.
  7. Phone Number – Apna phone number, mobile number dale.
  8. The payee listed above select kare.
  9. For U. S. Tax purpose – No ko tick kare.
  10. Sabhi details bhar dene ke bad Next button par click kare.

amazon account details

Step 5:

Account details dalne ke bad ab next page me website and apps details dalni hai, agar aapke pass koi website ya fir mobile apps hai to uska link aapko yahan add karna hai, agar nhi hai to koi bat nhi aap Next button par click kar ke dusre page me visit kare.

Amazon website and mobile app details

Step 6:

Website & app ko add karne ke bad ab yaha par aapko apni affiliate profile ki details dalni hai.

  1. Store ID: ye username hai. apne hisab se ek unique username fill kare.
  2. About – aapne jo apni site & app dale hai vo kis bare me hai uske bare me short me kuch words likhne hai.
  3. Select Premiere Topic – Apni site ya app ka topic chose karna hai. Ki vo kis bare me hai. Aur secondary topic ko aap khali chod sakte hai.
  4. Amazon Items – Vo sabhi topics ko tick kare jisko sell karana chahte hai.
  5. Select Premiere – isper click karke aapko a Content or niche Website select kar lena hai. Secondary wale ko aise hi chod dena hai.

Profile details dale

  1. Drive Traffic – me aapko SEO, Blogs ko tick kar dena hai.
  2. Generate income – isme aapko aapki website kis method se income karti hai. Uski Jankari deni hai.
  3. Build links – me aapko html editor select kar lena hai.
  4. Visitors – apni site ya apps ke monthly visitors kitne hai select kare.
  5. Joining region – me other select kar lena hai.
  6. About us – blog post select kar lena hai.
  7. Type the characters in the above image – captcha image me diye words ko same likhna hai.
  8. Contract terms – me you agree ke option par tick kare
  9. Finish – sab sahi sahi fill karne ke bad Finish button par click kare.

Amazon traffic and Monetization

Step 7:

Profile and traffic details dal kar Finish karne ke bad ab aap Now ki button par click karke Payment or Tax detail daal sakte hai, ya fir Later par click karke baad me bhi daal sakte hai. Waise mai abhi Later karna chahuga.

Amazon setting successful updated

Congratulations aapka Amazon affiliate account ban chuka hai. Agale 24 Hr me aapko Email bhej kar bata diya jayega ki aapka account approve huya hai ki nhi.

Agar aapka account approve ho gaya hai to. Aapko niche bataye jarahe step ko follow karke paise earn karna shuru kar sakte hai.

Amazon Affiliate Marketing Se Paise Kaise kamaye?

Dosto account approve hone ke bad jis product ko aap sell karna chahte hai. Uska affiliate link bana kar share karna hoga, aur jab koi customer us link par click karke product kharidega to aapko usse income hogi. Product ki affiliate link banane ke liye ye steps follow kare.

Affiliate program se paise kamane ke liya Sabse pahle is Amazon Affiliate account me login kare login karne ke liye yaha click kare.

Ab aap Amazon.in site par visit kare, or search box me product search kare aur jis product ko aap sell karana hai, uss product page ko open kare.

Aapne jo product open kiya hai uske top par toolbar ka option dekh sakte hai, Get link ke samne Text, Image, Text+Image button par click karke aap apni affiliate link generate kar sakte hai.

Dosto is tarah se aapne amazon affiliate program ki product link crate kar liya hai, Ab aap us link ko jahan chahe share kar sakte hai.

For Example :- Aap is link ko Facebook, twitter, Youtube, Mail, Whatsapp etc.. par share kar sakte hai jab bhi koi aapki us link par click karke koi bhi product kharidega to aapko usme se Kuchh commission milega. 14% tak.

Ummid hai ki aapko ye post pasand aayi hogi aur aapko Amazon Affiliate Marketing se paise kamane ke bare me achhe se samjh aaya hoga. Agar aapka koi sawal hai to aap comment karke  puchh sakte hai.

Related Articles

3 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button