Website Kaise Banaye Mobile Se – Google Par Free Blog Banane Ka Tarika

Mobile me website kaise banaye, Hello dosto keya aap paise kamane ke liye blogging start karna chahte hai, Ya khud ka free website bana chahte hai. Par website blog banane ke liye aapke pass computer laptop nahi hai.

To aapko parishan hone ki jarurt nahi hai, mobile me bhi aap apne liye free website bana sakte hai, or blogging karna start kar sakte hai.

Is article me mai aapko batane jaraha hun ke website kaise banaye mobile se, free website kaise banaye, free blog banane ka tarika, how to make website in Hindi, google par free blog banane ki puri jankari.

how to make website in hindi

Agar aap bhi blogging me interested ho, par aapke paas computer ya laptop nahi hai to is pure post aapko ek baar end tak jarur padhe. Bena computer laptop ke aapki blogging start karne ki problem 100% solve ho jayegi.

Blog Kya Hota Hai – Website Kuy Banani Chahiye

Blog ek aisa platform hai jaha par aap apni knowledge ko internet se jude dusre logo ke sath share kar sakte hai. Aur agar aap apna koi online business start karna chahte hai to aapka ek website hona jaruri hai.

Agar aapko kisi topic ke bare me achi jankari hai, to apne knowledge ko duniya walo ke sath share kar sakte hai. jisse aapko bahut sare benefits ho sakte hai. mai aapko yaha par kuch most bate bta raha hu.

  1. Aap internet se online paise kamana chahate hai.
  2. Agar aap online business start karna chahate hai.
  3. Duniya me apna name kamana chahate ho.
  4. Apni knowledge pure world ke sath share karna chahate ho.

Website blog bana kar jab aap usme apne achhe achhe vichar share karoge to aapke vicharo ko pure duniya me koi bhi padh sakta hai.

Jis tarh abhi aap meri website par ye post padh rahe hai or mobile me, new website kaise banaye ke bare me jankari le rahe hai. Bilkul aise hi aap apne liye free website blog bana kar logo ke sath apni jankari share kar sakte hai.

To der kis bat ki hai aap bhi apne liye khud ka ek free blog banaye aur duniya walo ke sath apni jankari share karke internet par apni ek alag pahchan banaye.

Mobile Me Blog Banane ke liye kya kya chahiye?

Mobile Website banane ke liye aapko jyada kuch nahi chahiye, bas aapke pass in chojo ki jarurat hai.

  1. Ek Badhya Smartphone ( android, window or Iphone koi bhi chalega )
  2. High speed Internet connection (3G-4G)
  3. Gmail par account.

Agar aapne abhi tak apna Gmail account nahi banaya hai to pahle aap apna gmail id banaye iske bare me mai bata cuka hu uske liye aap ye post padhe.

Website Kaise Banaye Mobile Se – Mujhe Apni Website Banani Hai Ki Jankari Hindi Me?

Dosto yaha mai aapko BlogSpot blogger par mobile me free blog banane ke bare me batane jaraha hun, blogger google ki ek free services hai, jaha par aap asani se apni website bana sakte hai.

BlogSpot blogger par website banane ka tarika bilkul asan hai, iske liye aapko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai. Bas niche bata ye jarahe tarike ko follow karke thodi hi der me mujhe apni website banani hai  ke bare me jan jayenge.

Mobile ho ya computer laptop dono me blog banane ka tarika same hai, iske liye aap apna smartphone use kare ya computer laptop options me koi farak nahi hai. waise maine computer user ke liye bhi bataya hua hai, google par website kaise banaye, ka pura tarika aap chahe to vo post bhi follow kar sakte hai.

Most readBlogspot blogger par Free Blog Kaise Banaye, Uski Puri Jankari

Dosto ab ham apne asal topic par chalte hai aur jante hai ke www blogger com par mobile me website kaise banate hai pure details in hindi me.

Step 1:- Open phone browser and create new blog

Iske liye Sabse pehle aap apne mobile browser me www.Blogger.com type kare, ya yaha click kare.

Ab aap apne mobile browser me blogger.com ke home page par pahunch gaye hai, yaha bas aapko ‘SIGN IN‘, ya ‘CREATE YOUR BLOG‘. in dono option me kisi ek par click kare.

Blogger par mobile me website kaise banaye

Step 2:- Sign in to gmail account

Create your blog par click karne ke bad ab aap next screen me Apna google gmail id aur password dal kar blogger.com par login kare. Agar aap gmail me already logged in hai toh aap direct blogger home page par pahuch jayege.

Mujhe Apni Website Banani Hai

Step 3:- confirm your profile

Gmail id se login karne ke bad ab aap blogger.com account me pahunch gaye hai yaha welcome to blogger ka message bhi dekh sakte hai. Yaha aap se confirm your profile karne ke liye kaha jaraha hoga.

  1. language change karna chahte hai to yaha se kar sakte hai.
  2. Google+ ka profile photo lagana chahte hai to yaha se edit kar sakte hai.
  3. Nahi lagana hai to Continue to blogger par click kare.

Free website kaise banaye

Step 4:- Try the new blogger themes

Blogspot Blogger ka news mobile responsive themes use karna chahte hai to Sure par click kare. aap bad me bhi theme change kar sakte hai.

free blog banane ka tarika

Step 5:- Create a new blog

Ab aapke mobile browser me ek popup window open hogi jaha par aapko apne new blog ki complete details fill-up karni hhai. Jaise blog title, blog address, template etc.

  1. Title: title me apne new blog ka name likhna hai. Jaise mere blog ka name Online Jankari hai. Waise hi aap bhi apne blog ka koi achha name rakh sakte hai.
  2. Address: yaha aapko apme blog ke link (URL) set karna hai. BlogSpot par lakho logo ne pahle se blog banaye huye hai so aapki pasand ka URL uplabdh na ho or error aaye to aap link me 1345 ya koi or word jod sakte hai.
  3. Aap jo bhi URL delenge usko yaha par dekh sakte hai available hoga to ( This blog address is available) nahi hua to (Sorry this blog address is not available).
  4. Theme: apne blog ke liye koi bhi ek template chune. Aap yaha se filhal koi bhi template select kar le aap use bad me change bhi kar sakte hai.
  5. Complete setting karne ke bad Create Blog par click kare.

mobile me website kaise banaye

Note: ek baat dyaan me rakhe ke aapke blog ka jo link rahega usme .blogspot bhi rahega. matlab aapne jo blog ka link banaya hai jaise onlinejankari to aapke blog ka link rahega onlinejankari.blogspot.com agar aapko apne website se blogspot hatana hai to uske liye aapko cutom domain add karna hoga. uske liye aap ye post follow kar sakte hai.

Most read.

Step 6:- Blogger Options

Jaise hi aap create blog par click karoge to aapka blog banakar tyar ho giya hai or aapke samne is tarh se blog ka dashboard open ho jayega. Ab yaha aap apne blog ke liye new post par click kar ke new post likh sakte hai. new post karne se pahle mai aapko iske options ke bare me bata deta hun.

  1. View blog: is par click karke apne blog ko dekh sakte hai
  2. Posts New post: jo bhi post karna hai ya jetna bhi aapne post kiya hai vo sara isme show hoga.
  3. Stats: aapke blog par ketne visitor aye hai or ketna page view hua hai sab yaha se dekh sakte hai.
  4. Comments: option me apptove send or dekh sakte hai ke apke blog par ketna commitments hua hai.
  5. Earnings: paise kamane ke liye Adsense account yahi se apply kar sakte hai.
  6. Campaigns: Grow your audience par jakar ad word se connect kar sakte hai.
  7. Pages: Home, about us, contact us, page yahi se create karna hota hai.
  8. Layout: website ka dissing, sidebar me kuch bhi add karna etc layout options se hi kiya jata hai.
  9. Theme: template change karna edite karna issi option me kiya jata hai.
  10. Settings: me title, Description, custom domain, meta tage, or bhi bahut sare options hote hai settings me.

website kaise banaye mobile se

Free website banane ke bard Blogger Par Post kaise kare

Dosto aapne blogger ke sare options ke bare me jan liya hai aur aane apna free blog bhi create kar liya hai. ab aap jaldi se ek post bhi kar le iske bare me bhi mai aapko bata deta hun ke blogspot blogger par new post kaise kiya jata hai.

Blogger dashboard me new post par click kare uske bad post sections me pahunch jayenge.

  1. Post: yaha par apne post ka title liye jaise (google par website kaise banaye).
  2. Yaha par aapko sate options mil jaenge jai, Heading tag, text ko bold karna, link add karna, images upload karna, etc. post likhne ke liye jetne bhi options use hote hai sab isme hi hote hai.
  3. Post me jo bhi text lekhna hai images videos add hai sab text box me likha jata hai.
  4. Post setting: Left site me jo options show horaha hai, isme aap Labels, category, permalink, search description etc. de sakte hai.
  5. pura post likhne ke bad post ko publish, save, preview or cancel yaha se kar sakte hai, post likhne ke bad publish par click karna hai.

how to create a website in hindi

Ab aapka blog completely ban gaya hai. or aapne ek post bhi kar liya hai, Aap apne blog ka URL or template bad me change kar sakte hai. baki aur bhi aapko bahut sare kam karne hai.

Blogger Ki Puri Jaankari yaha hai….

Mujhe umeed hai aapko website kaise banaye hindi me ki puri jankari mil gayi hogi, ab aap apne mobile se bhi blogspot blogger par free blog bana kar blogging kar sakte hai.

Agar ye post pasand aya to isse apne dosto tak share karna na bhule, aur apko koi problem aye to comment karke puch sakte hai.

Related Articles

24 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button