Meta Tags ko Blogger me kaise Ad karte Hai SEO ke liye

Hello Dosto, aap ne to blogger par apna Blog to bana hi liya hai. aur ab ye chahte hai ke aap jo bhi post apne blog par likha hai vo search Engines me aaye. Agar hamre blog par visitor nahi aate hai to hame bhut taklif hoti hai. to ham is me janenge ke kaise blogger ke blog me Meta tags ko ad karte hai. Usse pahle thoda Meta tags ke bareme Janlete hai.

Meta Tags ko Blogger me kaise jode SEO ke liye

Meta Tags Kya Hai?

Hamare Blog ko Search Me laane ke liye Meta Tags bhut hi jaruri hai, kyu ke meta tags ki madad se ham Search Engines ko batate hai ki hamare blog pe kya kya likha hua hai taki jab koi search kare to hamara blog bhi search engines me aaye. Meta Tags ki madad se Google ko ham apne website ke bare me in chijo ko batate hai – Hamara Blog kis baare me hai, Blog me kya hai, Blog ke Author ka naam, Country, Language. or ham usko batate hai ki vo hamare blog ke kin kin chijo ko search me laaye.

Uske liye Meta Tags ko Blog ke Template me Add karna hota hai. Per vo kisi blog ke visitor ko nahi dikhta hai. Par Meta Tag se Search Engines ko bhut aasani hoti hai blog ko samajne me.

Meta Tag ko apne blog me jodna bhut hi asaan hai bas aapko karna ye hai ke ek code hai, code ko aapko apne blog ke Template me add karna hai. Code me kya hota hai or usko kaise banate hai chaliye jaante hai.

Meta Tags Code kaise Banaye Jate Hai

Bus Aap ko niche diye gaye Meta Tags ke Generator me apne blog ke bare me jankari bharna hai. jo jankari aap dena chahte hai.

Description : Isme aapko apne Blog ke baare me 160 word ke andar batana hai. ke mera blog kis topic par hai,  aur aaisa likhna hai ke koi bhi usko padkar samajh jaye ke is blog me kya hai. Agar aapke blog ko koi Share bhi karta hai Facebook, Twitter, Google+ par to ye hi description us pe dikhta hai. Ye Bhut Jaruri hota hai.

Keywords : Keywords se to aap samaj hi gaye hoge iska kya matlab hai, or aapko keyword me vo sab word dalna hai jo aapke blog me main topic hai. Jaise mere is blog ke word kuch is trha hai – Blogger, WordPress, Make Money, Social Network, Internet ki jankari… Aap 10-15 sabd jod sakte hai aur unke bich me “,” (coma) jarur lagaye.

Author : Author me aapko apna Name likhna hai jisse google ko pata chal jayega ki is blog ka owner koun isko koun likhta hai. ye jaruri nahi agar aap nahi chate to isko rhene de.

Language : isme aapko apne blog ki bhasa batani hai konsi hai. Jese – Hindi, English, Urdu or koi bhi ho aapko vo likhna hai. aap chahe to rhene de ye itna jaruri nahi par isko batane se Google ko aasani se pata chal jata hai ki hamara blog kis Language me hai.

Country : Isme aapko apne Desh ka Naam likhna hai. jese – India, Pakistan, Bangladesh

Robots : Is option me ham Google ko batate hai ki vo hamari kin kin chijo ko Google ke search me show kare. behtar ye hai  ke aap isko All par hi rhane de.

To aap ye to samaj hi gaye honge ke Meta Tag se kya hota hai aur Isme kya hota hai. Ab apne blog ke liye Meta Tag Code banane ke liye apni sahi sahi jaankari is Tool me bhare fir Create Meta tags  ki Button click kar ke ok kare.

to dosto aap ne dekha ketne asani se apna Meta tags bana liya hai

Aap ne jo code banaya hai usko Copy kar le. Code par Mouse lejakar Ctrl+C ki Button dabakar bhi aap copy kar sakte hai.

Meta Tags ko Blogger me Kaise dalte hai.

Isko ko banana Jitna aasaan hai utna hi aasan Blogger ke Template me dalna hai. Code ko Blog me add karne ke liye niche diye gaye Steps ko follow kare.

Step 1: Blogger.com par jaye kar login ho kar ke apne site ke dashboard me jaye.

Step 2:  ab karne ye hai ke Template ke section me jakar Edit HTML ki button pe click karne hai.

Blogger-ke-Template-par-jaa-kar-Edit-HTML-par-click-kare

Step 3: or apne is page me kahi par bhi click kare ke <head> tag code ko search kare, uske liye apne keyboard me Ctrl+F ki button ko dabaye. us ke batd top bar me ek search box khule ga, usme <head> type karke Enter dabaye. aap ke blog ke template me jaha ye code hoga vo aa jayega. bus ye code Template ki 4-5 line me hi hota hai jada tar.

CtrlF-daba-kar-ke-code-ko-Blogger-me-search-kare

Step 4: Ab aapko karna ye hai ke jo Meta Tag code aapne banaya hai usko <head> tag ke niche daalna hai. Ctrl+V se aap paste kar sakte hai.

head-code-ke-niche-meta-tag-code-ko-paste-kare

Step 5: Ab aab upar me Save template ki button daba kar template ko save kar na hai.

To dekha dosto hamne ketne asani se apne blog me Meta tags ko ad kar liya.

Meta Tag ke faide or Nuksaan?

Isko apne blog ke template me add karne ka ye faida hai ke, ham Google ko Batate hai ke hamare website blog me kya kya hai.

Iska koi nuksaan nahi hai. aur meta tag bhut hi jaruri bhi hai hamare blog ke liye.

To ab aapne apne blog ke baare me google ko bata diya hai Meta Tags ki madad se. Agar aapko koi bhi sawaal hai Meta Tags se sambandit to aap comment jarur kare.

Related Articles

6 Comments

    1. Aap mobile se bhi adsense ke liye apply kar sakte hai par aapka blogspot blog kam se kam 3 month purana hona chahye agar aap custom domain use karenge to aap 1 month me bhi adsense ke liye apply kar sakte hai jab aapke blog par + 500 visitor ajaenge to

  1. Hello bhai mera blog google par show nhi ho rha hai kya kru

    Google me link bhi sabmit bhi kar di
    Jab link se show karta hu to aa jati hai lekin tags se post nhi aate hai kya kru

    1. Har new blogger ke blog ko Google search results me show hone me 1-2 month lagta hai. Aapko parishan hone ki jarurat nahi hai kuch hi time bad aapka blog show hone lagega

  2. Brother ji
    Mene 2 Month phale apne blog me meta tag add kare te per abhi tak mere ke
    description Google search engines me show nhi kar rha hai. please help me

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button