Blogger Navigation Menu Bar Ko Kaise Add Edit Karte Hai

Hello Dosto, Aap ne to Blogger par apna Blog bana kar ek achha sa responsive template bhi upload kar liya. par aapka kam srif Template ko change karne ke bad hi khatam nahi hota hai.

uske liye aapko apne blog ke template ka jo Default menu bar rahta hai usko change kar ke usme apna link, page, category ye sab dalna parta hai. to is post me jange ke Blogger Blog Me navigation Menu Bar Ko Kaise add Edit Karte Hai.

Blogger Menu Bar Ko Kaise Edit Karte Hai Puri Jankari

Blogger Me Navigation Menu Bar Kaise Add kare?

Blogsport blogger me aap 2 tarika se menu add kar sakte hai, 1 direct layout option me jakar, 2 HTML code edit karke.

Aaj kal har blogger template me navigation menu ko add karne ka option rahta hai jisse aap asani se menus create karke add kar sakte hai.

Mai yaha aapko dono tarika batane jaraha hun jisse aapko navigation menu add karne me bahut asani hogi. to chalye sabse pahle template me diye gaye option ka use karke add karte hai.

Step 1:

Apne blogger blog me login karne ke bad Left bar me Layout link par click kare, layout option me menu ka option dekhe kaha par hai. Top menu me Edit par click karke new menu create kana hai.

Add navigation menu to blogger

Step 2:

Jaise hi aap layout me menu Edit llink par click karenge to ek popup open hoga jisme menu add karne ka options hoga, Isme aapko apne Navigation menus ka name aur link add karna hai.

1. Title me pahle se Top menu ya jo likha hua hai same wahi rahne de.
2. Number of items to show in list: is box ko khali hi rahne de ya jetna show karna chahte hai vo number dale.
3. Sorting: don’t short select karna hai.
4. New Site Name: Menu ka name dale jaise Home, About us , Contact us etc..
5. New Site URL: apne blog’s ki tag ya label ka url dale, ya jis link ka menu bana chahte hai vo link dale.
6. URL dal kar Add Link par click kar de. (Jetna bhi menus bana hai sabka name aur link dalkar Add link par click kare).
7. Yaha par aap dekh sakte hai ke ketna menu add hua hai, aur yaha se Edit and Delete bhi kar sakte hai.
8. Sab dalne ke bad aap last me Save ki button par click karke Save karle.

how to create menu bar in blogger

blogger-url-ko-copy-is-tarah-karna-hai

Dosto ye tarika aapke template ke option ke upar nirbhar karta hai agar aapke template me bena coding ke menu add karne ka option nahi hoga to aapko coding karke add edit karna hoga.

Blogger Blog Me Menu Bar Ko Edit Kaise Kare

Blogger ki coding bhasha ko janna bahut hi aasan hai. bas aap apna thoda sa dimag istemal karenge to aap ko blogger ki har chaj bahut jald samajh me ajayegi.

ek bar aap blogger ki coding sikh jate hai to aapko blog me menu bar to kuch bhi nahi hai add/remove/change karna aap ke liye sab aasan ho jayega.

Agar aapko blogger ki coding ko janna hai to mai aapko yaha jo tarika btane raha hu use aap dhyan se pad kar follow kare. kaise or konsa code kaha kaha add karna hai usko achi tarah samajhe.

To chalye Dosto ab ham apne blogger blog ke Menu bard ko kaise edit karna hai wistar ke sath jante hai. blogger ki sabhi templates me ek jaisi hi coding rahti hai. bas aap ko apna thoda sa dimag lagana hai.

Uske liye sabse pahle aap ko do char page aur category, tags bana hoga Ab aap ko step buy step follow karna hai.

Step 1: Sabse Pahle Blog ke Dashboard me jaye or Template >> Edit HTML par click kare.

Step 2: ab aapke blog me jo pahle se menu bar ke topics hai. unme se koi sa bhi topic Ctrl + F daba kar search bux me uska name search kare jo aap ke template menu me pahle se add hai.blogger menu bar search kare
Step 3: Blogger template me Menu bar ki coding kuch is tarah hogi.

Home

Blogger

Facebook

About Us

contact Us

Step 4: ab hum isko edit karke apni pasand ke menu bar me name add karenge . jaise aapko Facebook ki jagah apni pasand ka Name set karna hai.

to Facebook ko hata karke uski jagah jo name dalna hai likhe. or us Menu ke samne ‘#‘ ki jagah us Menu ka url add karna hai.

Blogger Menu Bar Ko Kaise Edit  Kare?

Example:- Label

Mobile

Humne yaha par Mobile menu ke liye Mobile label ka url dala hai. ab jab koi is Menu yani Label par click karega to use aapke blog ki wo sari post dikhengi jise aapne Mobile label add kiya hoga. iska sabse asan tarika ye hai ke jab koi label banate hai to us label pe click kar ke top me jobhi us ka URL Hai usse copy kar ke yaha # ki jahah pest kar de.

Example:- Pages

About Us

aap apna koi bhi page bana kar uska url ‘#‘ ki jagah Add karde. or About Us ki jagah apne page ka naam likhe.

Step 5: isi tarah aap blog menu bar me apni pasand ke Menu set kar sakte hai. edit karne ke bad coding same aysi hi hogi.

Home

Blogger

Facebook

About Us

Contact Us

To aapko blog menu bar me apna Menu add karna to aa hi gaya hoga. ab hum blog Drop down menu bar me category add karna sikhenge.

• Drop Down Menu Bar Kya Hota Hai?

jab ham apne menu bar par mouse le kar jate hai to uske niche ek aur itemkhulta hai usme kuch or name item show hota hai. isse hi Drop down menu  kahte hai. iski madad se hum apni site ke Menu me 5-7 item add kar sakte hai.

blogger drop down menu bar kaise banaye

Drop Down Menu Bar Kaise Add Kare?

Ye karna bahut hi aasan hai aapko menu me jaha bhi Drop down menu add karna hai. uska tarika ye hai ke jo bhi item dalne hai usme  aap
ke andar  jaha par khatam hota hai uske andar

tag ad kar le.

yad rahe jaha par
tag khatam hota hai uske pich me hi
tags ko ad karna hai. aap niche diye gaye ye code use kare. aap is coding ko yaad bhi rakh sakte hai. taki bad me kisi ki madad ki jarurat na pade.

Categories

Item 1

Item 2

Item 3

Item 4

Item 5

Step 1:  aapko ye code menu bar ke item name  ke bad jaha par  khatam hota hai

ko uske ke bich me
tag se pahle jaha aap lagana chahe add karna hai .

or fir upar btaye anusar isme bhi item me set kar lena hai. man lo aapko About Us or contact Us ke bich me category option ko add karna hai to ayse add kare.

Home

Blogger

Facebook

About Us

Categories

Item 1

Item 2

Item 3

Item 4

Item 5

contact Us

To dekha dosto aapne ketne asani se menu bar aur drop down menu bana liya hai. agar aap ko koi problem ata hai to comment kar ke puch sakte hai.

Note:- Agar aapse menu bar set karne me koi galti hoti hai to save template par click karne par jo error aata hai. usme aapse kaha kaha galti huyi hai uska pata chal jata hai. isliye aap blogger ki coding ko achi tarah follow kare. > , / ” ‘ ka achi tarah dhyan rakhe. kyu ke inme se ek bhi code cute chhut jane par template error btata hai.

Ye Bhi Padhe…

Related Articles

2 Comments

1. thanks bro apne bahut hi asani se samjhaya. mai kafi dino se apne blog me menu bar ko add karna chahta tha. but mujhe kahi se proper guidence nahi mil rahi thi. Thank you so much bro

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button