Blogger Blog Me Template/Theme Kaise Upload Karte hai Jane Hindi Me

How to upload Template/theme in blogger blog, Hello Dosto, aap ne to Blogger par apna Blog bhut hi aasani se bana liya hai. aur kai sare post bhi likh kar sheare kar liya hai.

ab ye janna chahte hai ke blogger blog me Template/theme kaise upload kar te hai. to chalye is article me mai aapko yahi batane jaraha hun ke Blogsport Blogger par theme yani Template ko Kaise Upload Karte hai.

Blogger Blog Me Template Kaise Upload Karte hai Jane Hindi Me

Jab aap apna blog blogger par banate hai aur us par bahut mahanat kar ke achha achha article bhi likhte hai, par agar wo logo tak nahi phuche to us ka kya faida. Isme aapke blog ka template bhi bhut bada roll play karta hai.

Aapke blogger Blog ka Template/theme SEO friendly hona chaiye, taki koi agar Google me search kare to aapka post bhi search me show ho. par jab aapka blogger theme SEO friendly nahi hoga to isse aapko bahut sara nuksan ho sakta hai.

Blogger Blog Me Template Kaise Upload Karte hai

Blogger ne phele se bhut se template de rakhe hai free me use karne ke liye par vo bhut purane hai aur ham jaante hai ki Search Engines ke search karne ke tarike hamesha badalte rahe hai. To hame jarurat hai ek naye SEO Friendly template ki.

Template Mobile Friendly bhi hona chaiye matlab aapka blog mobile me bhi acha dikhna chahiye  kyu ki ham ye to jaante hai ki jadatar lag ab mobile par hi Net chalate hai.

Blogger ka Template ko agar aap Google me Search kare to lakho themes aajaye ga aur unmese aap apni jarurat ke hisab se template/themes chun kar download karke apne blog par use kar sakte hai.

Themes Download karne ke bad aapko usse apne blogger blog par upload karna padta hai. is article se aap ye hi jaanege ki Blogsport Blogger par Template/theme ko Upload change kaise karte hai.

Theme ko Download karne ke liye mai aapko ek achi website batata hu btemplates.com is site par aapko bhut sare free blogger template/theme mil jaayegi aap yaha se download kar sakte hai.

Ya fir aap is Minima Colored 3 Mag Style theme ko download karle. ye template bahut behtarin hai aur SEO friendly bhi hai and Mobile Friendly bhi hai.

Free Blogger Theme

Live Demo

Direct Download

Download Template

Blogger Template Ko Kaise Extract Kare

Note: Jab aap Blogger Template/theme download karenge to vo Win.rar format ki file me hoga, Is liye phele aapko Winrar ke andar xml file ko Extract kar ke bahar nikale.

Simple Download folder me jakar theme WinRAR file par muse ka right click kare aur Extract here par click karde, jisse apka blogger theme  bahar aajayega.

Extract Blogger theme

Apne blogsport blogger blog ka Template ko Download and Extract karke XMP file ko bahar nikalne ke bad ab aapko blogger blog par theme/template upload karna hai.

Blogger Par Theme/Template Kaise Upload Kare Jane Pure Details Ke Sath

Step 1:

Sabse pahle aap apne blogsport blogger.com account me login karke apne blog ke dashboard me left site menu bar me theme option par click kare.

Uske bad aap top bar me Backup/Restore ka option dekh sakte hai. Backup/Restore ki button par click kare.

Blogger Theme Backup Restore

Step 2:

Backup/Restore  par click karne ke bad Ab ek popup window open hoga yaha aapko “Browse…” button par click karna hai.

Note: Agar aap apne blogger theme me pahle se kuch add kiya hua hai ya kuch changing kiya hua hai to aap iska Backup le sakte hai. Simple Download full template button par click karke bakup download karle.

How to upload theme in blogger

Step 3:

Choose file par click karne ke bad ab aapko apne computer pc ke folder me se blogger template ko upload karna hai. Computer ke jis folder me XML file hai usko select kar ke open pe click kare.

Select blogger theme to your computer

Step 4:

Browse.. par click karke xml file ko select karke open karne ke bad Aapne jo file upload kiya hai usko ek bar dekhle ke .xml format me hai ke nahi fir Upload Button par click kar ke apne blg theme ko upload karke save kar le.

Upload theme to blogsport blogger

Is tarah se Aapne successfully apne blogger blog me template ko upload kar liya hai, ab app new tab me apne blog url ko open karke. blog ko new design me dekh sakte hai.

To dosto aapko ye online jankari kaisi lagi agar aapko apne blogsport blogger me theme upload karne me koi bhi problem aa rahi hai, ya aapka koi sawal hai to comment kar ke jarur puch le.

Ye Bhi Padhe…

Related Articles

18 Comments

      1. Koshish ye Kare ke 🔑 keyword ko pahle 300 characters ke ander use kare. Aur 500 characters se Jada bara content Nani likhe 500 ke bad full stop yani .Dot laga diya Kare chota chota contact likha Kare

  1. hi sir my blog hindimearticle.blogspot.com hai ye search engine me ni a rha hai sir ise dekh bta deejiye

    1. Aapka theme change nahi hua hoga ya fir aapki site cache me hogi web browser ka cookies delete kare ya kuchh time wait kare

  2. Hi, you really share an interesting post and thank you very much for writing such a fantastic blog because as reader we get to learn a lot from your content. Keep writing more content like this!

    Thank You&Regards
    Rohit Bhatt

  3. Thank you for providing free blogger templates this is really a good collection, But can I get fully customized blogger template for free, Which is SEO friendly, fully responsive.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button