New User Axis Bank Net Banking Activate/Register kaise kare
How to Register First Time User Net Banking in Axis Bank, Hello dosto kya aapka account axis bank me hai, aur aap Internet baking activate/register karna chahte hai. To iss article ko pura padhe yaha mai aapko batane jaraha hun ke new user axis bank net baking activate kaise kar sake hai pure details ke sath Hindi/Urdu me.
Private banking sector me Axis Bank sabhi bank ka leader hai. aur iski sakha har shahar me mojud hai, agar aapne abhi abhi apna account axis bank me khola hai to aap aasani se internet baking online activate register kar sakte hai.
Uske liye nahi to aapko bank branch me jakar net baking application dena hoga ye kam aap kuch minutes me online aasani se kar sakte hai.
- SBI Me Internet Banking Online Activate (Register) Kaise Kare
- First Time User Net Banking Activate Kaise Kare in SBI
- Axis Mobile Banking Activate/Registration Kaise Kare
Axis Bank Net Baking Activate Karne Ke Liye kya Chahye?
Axis bank net baking activate karne ke liye aapke pass ye sab chij hona chahye.
- Computer Laptop Ya Smart phone
- High speed Internet Connection (3G,4G)
- Costumer Id number (Passbook me hota hai)
- Account Number
- ATM/Debit card
- Account Registered Mobile number.
New User Axis Bank Net Banking Activate/Register kaise kare
Dosto post thoda lamba hai is liye mai aapka jada time nahi lunga aur sithe apne asal topic par chalta hun aur aapko bata hu ke First time user Axi bank internet baking register kaise kare. Bas iske liye niche bataye jarahe step ko sahi se follow kare.
Step 1:
Sabse pahle aap axis bank ke official website www.axisbank.com par visit kare top me aapko LOG IN ka option dekhayi dega, LOG IN par click karke Personal me REGISTER par click kare.
Step 2:
Register par click karte hi new tab me Axis bank online password generation page open hoga jisme aapko Login ID dalna hai. Login Id Customer Id ko hi bolte hai jo aapke axis bank Passbook par hoga.
- Login ID: Customer id number dale.
- Proceed button par click kare.
- SBI ATM/Debit Card Ka PIN Online Change/Generate Kaise Kare
- Internet Banking Se NEFT Fund Transfer Kaise Kare in SBI
Step 3:
Login id yani customer id number dal kar Proceed karne ke bad next sceen me aapko user information yana account number aur register mobile number dalna hai.
- Apna account number dale.
- India select kare.
- Account me jo mobile number registered hai vo number dale.
- Proceed button par click kare.
Step 4:
Account and mobile number dal kar proceed karne ke bad next screen me aapko apna ATM/Debit card details dalna hai.
- Debit card No: Yaha apna 16 digits ka ATM/Debit card number dale.
- ATM pin No: Yaha 4 digit ka ATM Pin code dale.
- Expiry date: ATM card expiry month and year dale.
- Card Currency : Indian Rupee – INR hi rahne de.
- Please accept terms and conditions to proceed further: ko Tick mark kare.
- Sab sahi sahi dalne ke bad proceed button par click kare.
Step 6:
ATM card and pin number dal kar proceed karne ke bad next screen me ab aapko apna Axis bank net baking password create karna hai.
- New password: Yaha password dale.
- re-enter new password: Dobara same password dale.
- Enter OTP code: Aapke mobile par axis bank ki traf se net baking chalue kane ke liye NETSECURI code one time password (OTP) message aaya hoga usse dale. Agar nahi aya hai to Resend OTP par click kare.
- Submit button par click kare
Note: Password me aapko Later, number, and simple dalna hai. jaise abcd#12345 tab hi jakar aapka password generate hoga.
Step 7:
Congratulation aapne successfully Axis bank internet baking register kar liya hai. aap screen par dekh sakte hai likha hua hoga, Success! your password(s) have been reset successfully. Bas yaha aapko Go To Login Page link par click karna hai.
Step 8:
Axis bank login page par visit karne ke bad ab aapko apna login id aur password dal kar axis bank net baking account me login karna hai.
- Login id: aapka customer id number hi hai customer id number dale.
- Password: aapne jo upar password crate kiya tha wahi password dale.
- Login button par click kare.
- Paytm Kya Hai? Paytm Account Kaise Banaya Jata Hai
- Indian Railway IRCTC Par New Account Create kaise Karte Hai
Step 9:
Aap first time axis bank account me login kar rahe hai isliye Set answers to security question ka option ayega. vo set karna hai. Yaha par aapko 3 security question ka answers dalna hai.
Jab axis net baking account me kafi dino bad login karnge to us time security question pucha jayega jisse dal kar hi apne account me login kar sakte hi.
- first security question ka answers likhe.
- Second security question ka answers dale.
- Third security question ka answers dale.
- Yaha se aap apne man pasand ka security question option select kar sate hai.
- I hove read and accept all the terms and condition ko tick mark kare.
- 3 no security question ka answers dal kar Confirm par click kare.
Note: Security question and uska answers ko notebook notepad etc.. me likh le. ye bahut impotent hai, agar aap Security question ka answers bhool jate hai to fir aapko bahut sari problem ho sakti hai, iske bena aap axis bank net baking use nahi kar sakte hai.
Step 10:
Security question ka answer likh kar confirm karne ke bad next screen par ek bar fir aapse OTP code dane ke liya kaha jayega. jo aapke register mobile number par message aayega.
- NETSECURE code: me OTP code dale.
- Confirm par click kare.
Congratulation ab aap apne axis bank ke internet baking account me successfully login kar chuke hai, aur aap screen par apne account ka sara details dekh sakte hai.
- Axis Mobile Banking Se Money Transfer Kaise Kare
- Net Banking Se Online Money Transfer Kaise Kare Axis User
Net Banking Se Related kuch Tips
- Axis internet banking ka istemal kabhi bhi cafe ya public computers se nahi karna chahye.
- Online banking karne ke baad logout kare. aur browser ka cache and data clear kare.
- Browser me auto complete function OFF karke rakhe.
- Antivirus ko up-to-date karke rakhe.
- Axis bank net banking ka login password change karte rahe.
- Humesa strong password set kare. Password alphanumeric hona chahye.
- Agar koi call karke bank account details mangta hain to kabhi nahi bataye.
- Kisi bhi jankari ke liye axis customer support se contact kare.
Axis Bank Me Internet Banking Se Related Questions/Answers
Internet Banking Benefits:
Net banking se accounts, deposits, loans and your credit cards details pata kar sakte hai. Apna recent transactions check kar sakte hai.
Turant FD’s and RD’s bana sakte hai. Utility bills and insurance premiums ke liye online payments kar sakte hai. Online shopping, mobile recharge kar sakte hai.
Apne account se other bank account me money transfer kar sakte hai. Prepaid mobile, donge, DTH data card recharge kar sakte hai.
Cheques status track kar sakte hai. Cheque book aur demand draft issue karwa sakte hai. Apne profile or contact information ko update kar sakte hai. Locality points redeem kar sakte hai aur bhi bahut sare benefits hai internet baking use karne ke.
I hope ke aapko ye jankari pasand aayi ho, agar aapka koi sawal hai to comment karke jarur puch, aur dusri jankari ke liye onlinejankari.net blog par visit karte rahe. Online Jankari Blog par bahut sari jankari di jati hai Hindi/Urdu me.
bahut achhi jankari di hai aapne sir,
but ek problem hai . mera bank account joint account hai . ese me netbanking ke steps vhi rahenge ya kuch or.
pls help.
Same rahega
Axis Bank Ke Account Ke Liye Net Banking Kaise Open Kare Isske Bare Me Aapne Kafi Ache Se Bataya Hai, Aapke Samjane Ka Tarika Muje Acha Laga SBI Account Me Online Internet Banking Kaise Activate Kare
sir mere pasbhi Axis bank ka account hai, or mai Net banking Active korna cahata hu… Tech Jankari