Android Phone Ko Hard Reset (Format) Kaise Kare

How to Hard Reset Your Android Phone, Hello dosto kya aap apne mobile ko hard reset karna chahte hai. Aapne akasar dekha hoga ke jab new android smartphone buy karte hai, to suruwat me  phone kafi badhya chalta hai.

Par jaise jaise mobile purana hota hai to uski speed slow hone lagti hai, or kai bar to phone hang bhi hone lag jata jai. Agar aapke android mobile me speed, hang etc.. ka problems hai to  isko thik karne ke liye Android Smartphone ko format hard reset kar dena chahiye.

How to Hard Reset Your Android Phone

Is article me mai aapko android phone format Hard Reset kaise karte hai ke bare me pure details ke sath batane jaraha hun. Hard reset android phone’s ke liye bahut hi jaruri hai agar aapke pass ek android phone hai to hard reset ke bare me aapko jan na bahut  hi jaruri hai.

Generally jab aapka phone slow hota hai to aap use Normal tarike se Factory reset (Format) karte ho par Factory reset karne se hi kaam nahi banta hai.

Phone ko sirf Normal reset karne se wo Factory mode ki tarah kam nahi karti hai, bas aapke phone ki settings reset ho jati hai pura Os thik se reset nahi hota hai isliye aapko apne android phone ko recovery mode options me jakar hard reset karne ki jarurat hai.

Generally har android phone me 3 Key hote hai, 2 Volume Up & Down aur 1 power key. Inhi key me aapka recovery menu hidden hota hai jise aapko press karke ise activate karna hota hai.

Agar aap apne phone ko (Format) reset karna chahte hai to ise recovery menu me jakar reset kar sakte hai kyuki phone ko factory mode reset karne ka ye sahi tarika hai, agar aap phone ko settings me jakar reset karte hai to phone ka Caches ( saved files) puri tarah se clear nahi hota hai aur phone slow hi rahta hai.

Mobile Ko Hard Reset Kyu Karna Chahiye?

Agar aap apne mobile ko Normal tarika se Factory reset karte hai to phone ka sara data to erase to ho jata hai par internal storage me hidden security caches file ko ye puri tarah se delete nahi kar pata hai jiske karan baad me yahi caches file dhire dhire restore hota chale jata hai aur phir phone dheema ho jata hai.

Agar aapka smartphone virus ke karan slow hai aur aap phone ko normal Factory reset karte hai tab bhi wo virus ko puri tarah se delete nahi kar pata hai, Mobile me jyada apps hone ki wajah se ye slow ho jata hai jab internal storage me apps ka caches file store nahi ho pata tab wo RAM me jakar Store ho jata jiske karan phone slow hota hai aur hang hone lagta hai.

Mobile Hard Reset Karne Ke Kya Fayde Hai?

Aap agar apne mobile ko Hard reset karte hai to uske baad aapka phone pahle jaisa (Factory Made) ho jata hai aur agar apka phone rooted hai to wo automatic hi unroot ho jata hai.

Normal Factory reset me phone unroot nahi hota hai agar aapne kingroot se apne android ko root kiya hai to uska application normal reset ke baad bhi installed hi rahta hai par hard reset karne ke baad root ka koi bhi file phone me nahi hota hai.

Agar aapka android smartphone kisi karan  Locked ho gaya hai to hard reset ki madad se aap ise unlock kar sakte hai, agar phone me pattern ke alwa aur koi bhi pin lock laga hai to use bhi aap iski madad se easily tod sakte hai.

Apne mobile me jab aap Pattern lock, pin lock karte hai apne mobile ke data ko save rakhne ke liye. Par jab aapka mobile kisi dost ke hath me jata hai aur aapka phone lock hone ke karan pattern, pin, password 4-5 bar wrong galat dal dete hai to aapka phone lockek hojata hai.

Aur mobile ke screen par show hota hai Too many Pattern attempts! (to unlock, sign in with your google account). etc… is surat me bhi hard reset kam me aata hai.

Android Phone Ko Hard Reset (Format) Kaise Kare?

Phone ko format (reset) karne ke 2 tarike hai agar aapke paas Pc hai to usse bhi aap apne android phone ko fully reset format kar sakte hai, Par jada tar users mobile options se work karna pasand karte hai.

isliye yaha mai aapko android system recovery option se hi hard reset karne ke bare me batane jaraha hun, Isme me jyada steps nahi hai bas 2-4 key press karke aap phone ko reset kar sakte hai.

To chalye jante hai ke apne android smart phone ko hard reset Factory reset kaise kare bas iseke liye niche bataye jarahe steps ko follow kare.

Step:- 1

Sabse pahle apne phone ko Switch Off kare. agar aapka mobile battery removal hai to battery ko nikal kar dobara lagaye.

Note:- android smartphone ko hard reset Factory reset karne se pahle apne mobile ki battery ko 100% full charge kare uske bad hi reset karen.

Step:- 2

Battery full charge aur mobile ko Switch Off kar lene ke bad Ab aap apne mobile kar Power + Volume Up bottom ko ek saath press kare 5 minimum  second tak. Jab aapko phone me vibrate hone lage to Power + Volume Up bottom ko chor dena hai.

Kisi bhi mobile ko hard reset kaise kare

Samsung mobile Hard rest kaise kare:

Agar aap Samsung mobile use karte hai to, “Power + Volume Up” Button or “Power + Home+ Volume Up” button Ye do system se aap apne Samsung mobile phone Factory reset kar sakte hai.

Agar aap Samsung ka latest version use karte hai to aapko Volume Up and Power button ko press karna hai. or agar aap 4.2.2 android mobile user hai to aapko Power Home and Volume Up button ko ek sath press karke Samsung mobile ke boot menu options me jana hai.

Note :- Samsung User’s Hard reset karne se pahle apne Playstore or Google Account ka password apne paas rakhe, samsung mobiles ko reset karne ke baad aapko usme apna google account mobile confirm karne ke liye dalna hota hai.

Step:- 3

Power + Volume Up key press karne ke bad phone on ho jayega aur screen me recovery menu ka Logo dikhega. Jab aapke screen par No command likha aa jaye.

recovery menu command

Tab aapko ek bar firse Power button ko dobara press karna hai, Power button ko dabate hi aapke screen me android system recovery menu ka option aajayega.

 Step:- 4

Android system recovery menu options me pahunchne ke bad, Recovery menu me ab aapko Volume down button press karke niche aaye aur “Wipe data/Factory reset” option ko Powr button press kar select kare.

Note:- Har company ke smartphone android system recovery options me alag alag key ka options hota hai, islye screen par jo likha hua show ho raha hai usi hisab se button press kare.

Android System Recovery

Step:- 5.

Volume Up down karke Jaise hi aap Wipe data/factory reset option ko select karke Power button press karenge to ek new screen open hoga aur usme aapko wipe data confirm karne ko kaha jayega yaha aap Volume Up down karke Yes Delete All User Data select karke Power button ko daba kar phone ko Format kar le.

Jisse aapke mobile storage ka sara data delete ho jayega agar aapka koi impotent dara phone storage mai hai to pahle usse Memory card me move kar le.

Delete all user data

Step:- 6

Yes delete all user data confirm karne ke bad ab aapko kuch der wait karna hai jab tak reboot system ka option show nahi ho jata. kuch der wait karne ke bad jab aapke phone ka sara data erase ho jayega aur phone reboot ka option show ho jaye , to bas aapko “reboot system now” ko select karke Power button ko parses karna hai.

Recovery reboot system

Reboot system now karne ke bad aapka mobile restart ho jayega, Itna karne ke baad aapka phone fully reset ho jayega aur aapke phone me jitne bhi internal aur external data tha sabhi delete ho jayega, RAM me bhi stored jitne bhi caches file hoga wo sab hard reset se clean ho gaya hoga aur aapka phone phir se naye jaisa work karne lagega.

I hope ke aapko hamari ye jankari achhi lagi hogi agar aapko hamara is post Android phone reset kaise kare? se related koisawal puchna hai to aap hame comment karke puchh sakte hai.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button