SBI To SBI Net Banking Se Online Money Transfer Kaise Kare

Internet banking ek aisa service hai jiske through aap easily kisi bhi bank account me online money transfer kar sakte hai. State bank of India ne apne customer ke liye banking system ko bahut hi easy kar diya hai.

SBI me ab aap har kam online kar sakte hai, chahe new account ke liye online apply karna ho, online net banking activate karna ho, Mobile number change karna ho, chahe online Debit/ Visa card apply karna ho. And Online money transfer karna ho. Ye sab kam aap easily sbi net banking ke through ghar baite kar sakte hai.

SBI Net Banking Se Online Money Transfer Kaise Kare

State Bank of India hamare country ka sabse bada bank service hai, SBI ka branches aapko har city se lekar har villages me available milega.

Or Sabse jyada banking customers bhi aapko SBI me hi milega. Jin customers ko online banking ke bare me malum nahi hai wo branch me jakar hi apna sara kaam karte hai.

Ab aapko state bank of India ke branch me jakar apna kam karwane ke liye parishan hone ki jarurah nahi hai. Ab aap har kam ghar bathe easily internet ke duwara kar sakte hai.

Pahle ke tarah 2-2 ghanta line lagane ki bhi jarurat nahi hai. state bank ne har kam online kar diya hai.

Internet Banking Kya Hai, Or Iske Kya Fayde Hai?

Internet banking bank dawara chalaya gaya ek aisa electronic system hai jisko aap use karke aasani se aap bina ATM,/Debit/Credit cards, or Branch gaye kisi bhi other parson account me easily free me online paise bhej sakte hai.

Or yaha tak ki aap online shopping karna mobile recharge karna in sab ko net banking ke duwara online payment kar sakte hai. Iske sath apna account balance and transactions ki puri details bhi dekh sakte hai.

Internet banking ke waise to bahut sare faede hai par mai yaha aap ko kuch important advantage hi bataunga.

  1. Money Transfer :- Iska sabse badha fayda yeh hai ki aap bina bank branch visit kiye kisi bhi account par online paise transfer kar sakte hai.
  2. Transaction History :- Yeh passbook ki free service bhi deta hai. Apke bank me debit credit transactions poora details aap ko net banking service me asaani se chek kar sakte hai.
  3. Check Balance :- Normally bank balance check karne ke liye apko ATM ya bank branch me jana padta hai. Par aapke paas net banking ki service activate hai to aap gahr bethe apne bank account ka balance check kar sakte hai.

Yeh net banking ke kuch basic advantages hote hai Jise aap ghar bethe asaani se internet ke dawara kar sakte hai.

SBI Internet Banking Se Money Transfer  Kaise Kare ?

SBI me online money transfer karne ke liye bahut sare future hai jisse aap aasani se kisi bhi bank account par paise bhej sakte hai

  1. Within SBI Accounts of Others :
  2. Outside SBI Inter-Bank Beneficiary :
  3. Credit Card (VISA) Beneficiary :
  4. International Funds Transfer :
  5. IMPS Funds Transfer :
  6. Quick Transfer : without beneficiary addition:

Sab se impotent bat Kisi bhi account me money transfer karne ke liye aapko sab se pahle Account beneficiary add karna hoga (SBI me money transfer ke liye beneficiary add kaise kare) Uske bad hi aap paise send kar sakte hai. Bena beneficiary add kiye hue aap srif Quick Transfer without beneficiary addition ko hi use kar sakte hai. Par isme 5000 se jada ek bar me nahi bhej sakte.

To dosto ab mai apne topic par chalta hu or aapko batata hu ke state bank of India ke kisi bhi account par net banking se online money transfer kaise kar sakte hai. Bus uske liye aapko niche diye gaye step ko follow kare.

How to Transfer Money SBI to SBI Net Banking ?

Step 1: Payments Transfers

State bank se other SBI account par fund transfer karne ke liye sab se pahle aap ko https://www.onlinesbi.com par jakar login karle. Uske bad home page par aapko top bar me Payments/Transfers ka option milega bu aapko us par click karna hai.

Payment transfer par click karte hi aap Funds transfer page par pahunch jayenge yaha aapko bahut sara options milega. Abhi mai aapko sabse pahle SBI to SBI me paise kaise bhejna hai ke bare me batane ja raha hu.

SBI Payments transfer online kaise kare

Step 2: Within SBI

Ab aapko within sbi me “Accounts of Others” ka link dekhai dega bus aap ko Accounts of Others button par click karna hai.

Step 3: Within SBI Accounts of Others  fund transfer

Ab aapke samne SBI to SBI fund transfer page open hojayega yaha aapne pahle se jetne bhi beneficiary add kiya hua hai sab ka account detials ajayega. Ya aapko paise ketne bhena hai kisko bhejna hai sab dalna hoga.

SBI Accounts to Others account par fund transfer

  1. Amount : Isme aap paise dale jetna aapko bhejna hai.
  2. Purpose : Isme aap ko type select karna hoga ke aap Donation karna chahte hai ya apne family ko gift of related karna hai jo bhi hai select kare.
  3. Account No : isme jisko paise bhejna hai vo account select kare.
  4. Payment option : isme Pay Now ko tick mark kare.
  5. Submit: last me ek bar paise aur account check kar le uske bad submit buttn par click karde.

Step 4: Verify details and confirm this transaction

Submit button par click karne ke bad ab aap Verify details section me pahunch jayenge yaha aapko ek bar check karlena hai.

Jisko paise bhej rahe hai uska hi account select hua hai or jetna paise bhejna chahte hai vo sab thik hai to uske bad Apna OTP select karke Confirm button par click kar de.

SBI Inter Bank Beneficiary found transfer

Step :6 One Time Password (OTP password)

Confirm button par click karne ke bad Aapke register mobile number pe OTP (One Time Password) aaya hoga Enter high security password me OTP code enter karke confirm button par click kar de.

one time password dale

Dosto aapka successfully money transfer hogaya hai oraapko transaction number bhi mil jayega ab aap chahe to iska print bhi nikal sakte hai.

online sbi successfully money transfer

To dosto aapne ketne asani se state bank of India to state bank of India me paise transfer kar liya hai. agar aapko kisi account pe paise bhejne me problem horaha hai to aap comment kar ke jarur puch le or ye jankari aapko kaisa laga iske bare me bhi jarur baye.

Read……

Related Articles

3 Comments

  1. Helpful post for all readers about how to transfer money using sbi net banking..Many thanks for providing this imporatant details.
    Thanks and Keep sharing with us

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button