Facebook Like Page Kaise Banate Hai Blog/Website Ke Liye

How to crate facebook like page in Hindi/Urdu. Hello Dosto Aap to ye jaante hi honge ke Facebook duniya ki sabse jada mashoor website hai. or aap is ki madad se apne purane se purane dosto ko bhi dhoond lete hai.

is post me mai aapko batane jaraha hun ki is par apna Facebook Page Kaise banaye, or Facebook Like Page Banane Ki Puri online Jankari.

How to Create Facebook Like Page on blogger

Facebook Like Page Kya Hai, Facebook Par Page Kyu Banana Chahiye?

Facebook Like page Ye bhi Facebook ki hi free service hai. Jo online business, brands, companies or blogs. ko promote karne ke liye banayi gayi hai.

Koi bhi online company ya website ko popular banane ke liye uska promotion karwana padta hai or facebook page ye service free me deta hai.

Isme ek facebook profile ki tarah friends nahi balki fans hote hai. Isilye ise facebook fan page bhi kehte hai. Jisme Ek like button hota hai.

Or Jab bhi koi humare page ko like karta hai woh humare page ke sath jud jata hai. Jab hum waha new post likhte hai ya internet ki koi bhi link share karte hai to wo post us page liker ki profile ki news feed me bhi show hoti hai.

Agar aap koi online business karte hai or aap ke pass Facebook ka page nahi hai to aap mistake kar rahe hai kyu ke aaj ke time me agar koi asaan tarika hai apne business ko free me promote karne ka to vo Facebook Page hai.

Issi traha dusri social networking sites bhi aapke busness ko promote karti hai jese Google+ Page ya Twitter.

To chaliye ab ham jange ke Facebook Page Kaise banate hai uske liye bas aap ko niche diye gaye step ko follow karna hai.

Page banana Star karne se pahle aap apne Facebook account me login hojaye. agar aapka account nahi hai facebook par, To phele aap Facebook Par Account kaise banate hai.

Facebook fans Page Kaise Banate hai Step by step Puri Jankari

Step 1: Sabse pahle aap facebook.com par visit kare aur apne account me login kare.

Step 2: Uske bad aapko Right site me top bar par Tala arrow bana hua hoga uspe click kar ke “Create Page” pa click kare. ya fir aap is link par click karke direct facebook page create karne ke page par visit kar sakte hai. Click here to Create a Facebook page.

  • arrow pe click kare.
  • uske bad ab aap ko Create page pe click karna hai

Facebook page kaise banaye

Step 3: Ab aap ke samne jo agla Page khulega us par kuch is tarah category ka options hoga usme se aap ko apne Page ke liye koi ek Category select karna hoga.

  • Local Business or Place agar aap ka apna Shop hai ya or koi local business ke liye page banana chahate hai to aap is category ko select kare.
  • Company, Organization or Institution agar aapki koi company ho to is category ko select kare.
  • Brand or Product agar aapko kisi cheez ke brand ka page banana ho to yaha select kare. jaise aapki website ka koi brand ho.
  • Artist, Band or Public Figure agar aap koi artist hai yani kalakar hai ya fir aap koi badi hasti ka page banana chahate hai to is category ko select kare. aap apni pahchan banane ya famous hone ke liye bhi is category ko select kar sakte hai.
  • Entertainment isme aap kisi movie, Song, book, story jese topic ke liye select kar sakte hai. jaise aapko kisi movie ka page banana ho to is category ko select kare.
  • Cause or Community yeh category sabse alag hai . is category me aap ke sasth wo log bhi post kar sakenge jo is community me honge. jabke dusri categories ke pages me aesa nahi hota hai. aap apni website blog ke liye bhi ye category chun sakte hai.

facebook page banane ke liye categories chune

To dosto aap ye samajh hi gaye honge ke aap ko kis category me apna Page banana hai. Agar aapko ko page select karne me problem hai facebook like Page ke liye konsi category shi rahegi to tension mat lijiye ham Page ki category ko baad me bhi change kar sakte hai.

To dosto chalye manle hai ke hame apne website ke liye Like Page bana hai. to ham Brand and Product ko Select karlete hai kyu ke abhi muje ek website ke liye ek page banana hai.

Step 4: To ab aap sabse pahle Brand and Product Category select kar ke uspar click kare.

  1. ab aap thda scroll kar ke niche jaye.
  2. uske bad Website select kare.

select like page categories

Step 5: ab aap ke samne kuch is tarah ka page khulega to ab aap ko apna brand name dalna hai.

  1. apne website select kar liya.
  2. Apna Brand name dale.
  3. Get Start Button par click kare.

Enter page brand name

Step 6: ab aap ke samne jo page kulega usme aapko apne pages ka Details dalna hai.

  • Apne like page ke bare me 2, 3 line me laikhe. taki log usko pad kar samajh jaye ke kis bare me ye hai take aapke page ko like kare.
  • yaha aap pass koi website hai to uska link dale. nahi hai to chhur de.
  • aur yaha aap apne page ka jo url bana chahte hai vo dale jaise mera hai. https://www.facebook.com/onlinejaankari
  • Sab dalne ke bad last me Save info ki button par click kare.

Facebook Page ka from bhare

Facebook Page me Images Logo Upload Kaise Kare

Step 7: Ab aap next step par pahuch jayenge yaha aap ko apne page ke liye Profile image upload karna hai.

  • Upload From Computer ya Import from website par click kare.
  • apne Pc computer me jaha aap ka image logo hai us folder me ja kar us image ko select kate.
  • Or ab Open par click kare.

facebook like page logo upload kare

Step 8: aap ne apna profile photo success full upload kar liya hai bas yaha Next Button par click kar de.

facebook logo upload hogaa

Step 9: Agar aap is page ko apne Favorites me add karna chate ho to Add to Favorites par click kare. Favorites section aapke Facebook home page par hota hai
ya fir Skip par click kar sakte hai.

  1. Add to favorite par click kare.
  2. uske bad Next button par click kare.

facebook Add to Favorites

 

Step 10: ab aap ke samne Preferred page audience ka kuch is page samne ayega yaha aap apna Location, Language sab add kar sakte hai.

  1. Location: is me aap country, ya fir apna koi city daal sakte hai.
  2. Age: yaha par aap age select kar sakte hai ki konsi umr ke log aapke is page ko dekhe.
  3. Gender: yaha aap Kis kis ko dekhna chahte hai Mard ya aurat. All pe hi rahne de.
  4. Interests: Is section me aap apne interested page select kar sakte hai.
  5. Language: Yaha apna Bhasha dale.
  6. Skip: Agar aap ye sab setting nahi chate to Skip ki button par click kare. Behtar yahi rahega ke aap isko Skip kare taki puri duniya me sabhi log aapka pageko  dekh sake or like kar sake. ya fir Save button par click kare.

facebook preferred page audience

Step 11: To Ye Lijiye Aapka Facebook Page Bankar Teyaar hogaya hai ? Apne page ka background bhi add kar hi le. uske liye Add a Cover par click kar ke apne pc computer se upload kar le.

facebook fan page ban ke ready hai

Do dosto aap ne dekha ketne asani se apna facebook like page bana liya hai. agar aapko ye jankari pasand aayi to isse apne dosto ke sath share karna na bhule, thanks.

Related Articles

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button