Perfect Money Par Account Banakar Verify Kaise Kare Jane Hindi me
Perfect money par account bana kar verify kaise karare. Jab ham kisi company me online work karte hai, to uske money send or receive karne ki jarurat hoti hai. Jaise Revenue share Paid to click PTC site etc.. in site se ham jo bhi money earn karte hai.
Us paise ko apne bank account me transfer karne ke liye, online wallet me account banana par ta hai. Online money send or receive karne ke liye perfect money best e wallet hai. Jis par asanisi kisi ko bhi money pay kar sakte hai.
or agar aapko kisi se money lena hai to, perfectmoney wallet dekar usse apne account me paise mangwa sakte hai. To dosto mai aapko is article me batane jaraha hu ke, perfect money kya hai, perfect money account kaise banaye, how to create and verify perfect money account in Hindi Urdu.
Perfect Money Kya hai
Perfectmoney ek online international bank hai. jis par Online Money Transfer kiya jata hai, Ye apne users ko ek country, se dusri country, me online paise transfer karne me help karta hai.
Paypal, Payza ki tarah perfect money ‘e wallet‘ account ko bhi, online money send or receive karne ke liye use kiya jata hai. Paypal or payza ki tarah same to nahi hai, par isme bhi bahut sare feature available hai.
Or iski khas bat ye hai ke, aap apne account ko bena verify kiye hue bhi kisi ko bhi paise send or receive kar sakte hai.
Perfectmoney account me teen tarah ke wallet hote hai. 1 USD, 2 EUR, and3 Gold jis par apne paise ko store kar sakte hai. iski ek aur khasyat ye bhi hai, ke PM currency ko sale karna bhi asan hai.
koi bhi apke PM paise ko asani se kharid sakta hai. kuyki ye bahut achha rate deta hai. send karne ka fees bahut kam hota hai. or money receive karne par kuch bhi fees nahi katta hai.
Jab ham online work karke paise kamate hai. to vo money hame US Dollar milta hai. Par us money ko direct apne bank account me transfer, nahi kar sakte hai. Uske liye hame Paypal, payza, perfect money.
jaise e wallet ki jarurat parti hai. Jis se online earn kiye hue money ko apne e wallet account me lete hai. uske bad us money ko bank account par bhejte hai. Perfectmoney US Dollar, and EUR currency, ko Rs Indian Rupee me convert kar ke hamare bank account par transfer kar deta hai.
- Paypal kya hai paypal account kaise banaye puri jankari
- Payza kya hai or payza par account kaise create karte hai
Or jab hame kisi company ko online money pay karni hoti hai. to Rs ko Usd me convert karne ki jarurat parti hai. Ye kam ham asani se apne bank account ke Indian Rupees ko add fund kar ke. kisi bhi online company ko money pay kar sakte hai perfectmoney ki maddad se.
- SBI Me New Account Ke Liye Online Apply Kaise Kare
- YouTube Par Channel Kaise Banaye Uski Puri Jankari
Perfect Money Par Account Kaise Panaye – Puri Jankai Hindi Me
To dosto aap to samajh hi gaye honge ke perfect money kya hai, or iske kya faede hai. ab ham apne topic par chalye hai or jante hai ke, PM me account bana kar isse verify kaise karte hai. pure details ke sath hindi urdu me. Bas iske liye aapko niche diye gaye kuch simple step ko follow karne hai.
Step 1: Sign up
Account register karne ke liye sabse pahle aapko Perfect money ke official website, https://perfectmoney.is par visit karna hai aapke same jo page ayega usme Sign up par click karne hai.
Step 2: Create an Account
Signup par click karne ke bad, ab aapke samne account registration from jajaye ga isme aapko apna pura details dana hai.
- Account name : isme ap jo namr dalna chahte hai dal sakte hai ye koi jaruri nahi hai.
- Full name* Yaha par apna pura name likhe jetne word ka naam hai.
- City * me apna district likhe.
- Address : yaha par wahi address dalna hai jo aapke id proof me hai
- Country * India select kare.
- Zip/Postal code * Post office ka pin code dale.
- E-mail * Apna email address dale (Email id kaise banate hai uski jankari yaha hai)
- Phone/fax : apna sahi mobile number dale jisse bad me verify karna hai.
- Account type: me Personal select kare agar aapke pass Business account ko verify karne ke liye documents hai to Business select kar sakte hai.
- Password: same password dono jagah dale, (Password me kam se kam 6 digits hona chahiye or usme small letter ke sath ek capitol letter(ABC..), ek number(123..) or ek special character ([email protected]#$…) jarur rakhe isse aapka account safe ho jayega.)
- Turing number * same captcha code dale jo show horaha hai.
- I agree with terms and conditions.: ko √ tick mark kare.
- Ek bar apna pura details check karle sahi hai to Register button par click kare.
Register par click karte hi aapka account ban jayega, or Welcome to the community of Perfect Money! ka message ajayega. or registration progress me likha hua hoga ke check your email yani ab aapko apna email account open karna hai.
- Free Website (Blog) Kaise Banaye, Uski Puri Jankari
- Youtube Se Paise Kaise Kamaye, Money Earn karne ka Tarika
Step 3: Open email account
Aapne jo bhi email address dala tha, us email account me login kare, aapke mail par perfect money Member ID aya hoga. jo aapka login user name hai. Apne email me login kare or inbox me check kare.
PM ke traf se 2 mail aya hai usme se Welcome to Perfect Money payment system! wale mail ko open kare. or ‘Your personal Member ID’ me jo number hai usko copy karle. or PM member id ko kahi par likh le, yahi aapka username hai.
Step 4: PM Member login
Ab aapko apna Member Id yani username dal kar PM account me login karna hai.
- Top bar me login par click kare.
- Member Id me aapke email par ji id aya hai copy karke pest kare.
- Apna password dale.
- Turing number me niche jo captcha code hai same wahi dale.
- Login karne ke liye Authorize par click kare
Step 5: confirm your Identity
Ye option abhi nahi ayega, par jab aapka IP address or browser change hoga. to aapke mail par perfectmoney ke taraf se Identity verification pin code jayega. jisse dal kar hi account me login kiya ja sakta hai. then aap apna email address ko open kare or jo PIN code aya hai us ko copy karle.
Or Please confirm your Identity to continue option me pin code dal kar continue par click kare.
Ab aap apne perfect money account me successfully login kar chuke hai. yaha aap apna e wallet number dekh sakte hai.
Note:- My accounts ke niche jo 3 number G123456, U123456, and E123456 sho ho raha hai. yahi aapka wallet account number hai. jab aap kisi ko paise lene ke liye perfect money account number denge.
to Us dollar ke liye U1234567 , Euro ke liye E1234567, and gold ke liye G1234567, number dena hai. Isko bhi aap kahi par likh le.
Perfect Money Account Ko Verify kaise kare Jane Hindi me
Apne to PM me successful account create kar liya hai hai ab aapko apna Name Validation id or Address Validation proof submit karna hai.
PM Account verification Document Required
- Name Validation: Government Photo id (passport voter id cord or driver’s license)
- Address Validation: Phone, water, electrical bill, ya credit card statement.
- Company Validation: Agar aap Business ke owner hai to (company registration certificate, current registered address and operating business address ) Ye srif business account ke liye hai.
- Image ka format jpg, gif, png only, max size 1.5 mb allowed Document clearly visible hone chahiye aur phone bill, electrical bill, credit card statement etc 6 month’s se purana nahi hone chahiye.
- Document upload karne ke bad aapka account 4-5 din me verify ho jayega.
- Jab Name or address verify hojayega to uske bad phone verify karne ka option enable hojaye.
Step 1 Account verification
PM account verification karne ke liye, ab aap top right bar me “setting “ya member area ke niche “modify setting” option par click kare.
Setting par click karne ke bad, next screen me aap ko top par profile edit, security etc. ka option show hoga. page ko scroll karke biilkul niche jaye, or waha par aapko Account ‘Verification’ option mil jayega.
likha hua hoga Your account status: Not verified bas aapko uske niche Verification management» par click karna hai.
Step 3: Upload document
Ab aapko apna ‘Name Validation’ id proof or “Address Validation” id proof document upload karna hai.
- choose file par click kare
- Jis folder me aapka document hai usse select kare.
- Id proof select karke Open par click kare.
- Uske bad ‘upload the document’ option par click karke, account verification progress ke liye submit karde.
Same issi tarah aako address verification karne ke liye karna hai. or jab aap document submit kardenge to 4-5 din me aaka name or address verify hojayega.
uske bad aapko apna mobile number verification karnne ke liye same yahi step apnana hai. Sabse niche me Phone Validation ke niche mobile verify karne ka option show hoga.
Us par click karne ke bad aapne jo number dala tha, us par perfect money ke traf se call jayega, or aapko pin code number bayega use dal kar apna pura account verify kar lena hai.
I hop ke aapko ye jankari pasand aaei hogi .agar aapka koi sawal hai, PM me account banane or isse verify karne se related. to aap niche commitment box me apna sawal likh kar puchh sakte hai. Or isse apne doston tak share karna na bhule jaise facebook, twitter google+ etc.. par.
Ye bhi padhe...
- How To Register And Buy Ad Packs With My Paying Ad d in hindi
- Indian Railway IRCTC Par New Account Create kaise Karte Hai
Sir meri city me kisi bi bank ka shift cod nahi he to mere bank account me mony transfar go jayegi
SWIFT code dalna jaruri hai agar aapke city me nahi hai to aass pass ke kisi city ka SWIFT code use kar sakte hai. SWIFT code check karne ke liye yaha click kare
Sir swift cod aas pas ki kis bi city ka nahi mil raha he bahut dur ki city ka Mila he kuch aisa batao ki bina swift cod dale bank account me mony transfar kar sake
Jis bank me Aapka account hai, aapke deistic me jis city ka bhi Swift code mil raha hai dalde, ya branch jakar bank manager ko bole ke hame dusre country se paisa mangwana hai. isliye Swift code chahye vo aapko dedega. kuyki perfect money se bank account par paise send karne ke liye Swift code dalna jaruri hai. Agar firbhi swift code nahi malraha hai to kisi bhi Indian money exchange zone se bat karke apna PM currency ko sale karde vo aapke account par paisa dal dega. Or aapke pass Bitcoin ka account hai to us par bhi transfer kar sakte hai.
Sir Maine ak articl Mai dekha ta ki payza par swift cod ki javrat nahi padti ye sahi he ya galat
Payza or Paypal me swift code nahi lagta hai iski jagah IFSC code dalna parta hai
Sir payza account ko verify kiye bina mony transfer sakte hai
Payza to Payza kar sakte hai , par bank me Nahi kar sakte hai
Sir payza par account kaise banay
Payza par account banane ke liye ye post padhe. Payza Kya Hai? How to Create And Verify Payza Account in Hindi
Perfect money account ko adhaar card se verify kar sakte hai kya.
Perfect money account mein name aur adress change kar sakte hai.
Perfect money se bank mein direct money kaise transfer kare.
Pura step by step bataye.
Ji aadhar card se verify kar sakte hai aur address name bhi change kar sakte hai. bank me money transfer karne ke bare me mai bahut jald post likhne wala hun
sir perfect money me account verify me m address proof aadhar card laga rha hu but 2_3 baar Decline ho gya kya region ho skta h. M aadhar card ka back side lagaya tha plz help me immediately 7599570144
Address proof me aadhar card nahi chalega aapko utility bill submit karna hoga jaise electric bill, gas bill, phone bill, bank statement etc.
Perfect Money Se Direct Bank Par Paise Kaise Withdraw Kare Mujhe Bataye Step By Step.
Sir perfect mony par ham acount bana liya hu aur verify abhi nahi kiye hai waha par pan card daal diya hu leikin 2 option address me light bil aur gas maang raha hai aur hamare paas nahi lekin mobile ka bil hai lekin wah 1 year ka hai please help
Aap Apne bank branch me jakar account ka mini state meant nikal wakar scan karke upload karde
main addhar card sent kiya tha unhone decline kad diya
2 proof bhejna upload karna hoga adhar card valid nahi hai