Windows 10 Install Kaise Kare Computer Me Full Guide

How to install Windows 10 on your Computer/Laptop in Hindi/Urdu. Hello Dosto Aap to jante hi honge ke Microsoft ka windows ketna popular hai, isse pahle logo ne Microsoft Windows XP windows 7 or 8 ka khoob maja liya hai.

Or shayad aapne bhi Microsoft ki service ka benefit uthaya hoga. To dosto iss article me mai aapko bataounga ke windows 10 install kaise kare apne computer/Laptop me step by step puri jankari.

Windows 10 Install Kaise Kare Computer Me

Microsoft ne apna windows operating system latest version ko 2015 me launch kiya hai. Ye windows Xp, 7 se different or windows 8 se milta julta operating system hai.

Or sab se achhi bat ye hai ke baki Microsoft windows ki tarah aap windows 10 ko free me install karke use kar sakte hai.

Bus aapko isse manually download kanra hoga microsoft site se download kaise karna hai mai all ready pahle bata chuka hu “ Windows 10 Ko Download Kiase Kare

Windows 10 Ko Kaise Install Kare Computer Me Full Guide?

Windows 10 ko install karna koi bahut mushkil kam nahi hai aap bena kisi jankari ke window 10 ko apne laptop computer me install karsakte hai.

Uske liye bas aapko sabse pahle aapne pc computer me windows 10 ka ISO file download karna hoga. (Windows 10 iso file download karne ke liye yaha click kare). Uske bad aap ko windows iso image file ko apne DVD ya USB pen drive me boot karna parta hai.

(windows ko pen drive bootalble kaise banye uski jankari yaha hai). Jab aap window10 ISO file ko pendrive bootable bana lete hai to aap asani se apne computer me window iso software ko install kar sakte hai.

Windows 10 Me Kya New Feature Hai

  • Improved Command Prompt.
  • Unified app store.
  • Multiple desktops.
  • Return of Start menus.
  • Advanced menu for settings.
  • More options for Task View.
  • Revised File Explorer and icons.
  • Single platform for smartphones, tablets, and PCs.
  • New browser, code-named Spartan.
  • Cortland personal assistant for desktops.
  • Live On Drive Window
  • No Requirement Installing Any Driver.

Windows 10 Install Karne Keliye Kin Kin Chijo ki Jarurat Hoti Hai?

  1. Aapke System me kamse kam 1 GHz Processor
  2. 1GB RAM (Memory) for 32 Bit and 2GB for 64 Bit OS.
  3. 16 GB Free Hard Disk Space On installing drive
  4. Window iso software aapke DVD ya USB Devise me burning hona chahiye.

To Dosto ab ham manke chalte hai ke aapke pass windows 10 install karne ke liye upar diye gaye list mese sari chij available hai or ab mai apne topic par chata hu or jante hai ke computer laptop me windows 10 ko kaise install karna hai step buy step uske liye bas aapko niche diye gaye tarika ko follow kare.

PC / Laptop Par Windows 10 Kiase Install Kare ?

Step 1. Sabse pahle aap apne computer laptop me DVD player ya USB devise me Windows 10 ISO Pen drive ko inter kare. Uske bar apne pc ko Restart karke aapko sabse pahle apne system ka Bios setup boot menu option ko change karna hai.

Bios setup karna kio jada mushkil kam nahi hai, Aapke computer ke bios menu me jane ke liye aapke motherboard ke hisab se jo short key hai usko press karna hai yad rahe ke har company ka keyboard shortcut key alag alag rahta hai.

Agar ko nahi pata hai ke aapke bios option me jane ka short key kya hai uska bhi asan tarika hai. Jab aap apne computer laptop ko start chalu karte hai to down niche site me har system me signal deta hai. jaise  ESC, F1, F2, F8, F10, F11, or F12 Aksar computer me in hi mese koi ek keyboard short key hota hai.

Press  < DEL> to inter  setup
Press  F2  key for boot menu
Press F3 key to run recovery
windows installing bios setup

Step 2: To doso mai man ke chalta hun ke aap apne computer ke bios setup me pahunch gaye hai bas aap ko yaha boot option menu me jakar fist boot pe apna devise select karna hai.

DVD devise ya USB Drive jisse aapko apne computer me windows 10 ko instal karna hai us option ko sabse upar rakhna hai.

Agar aap ka CD DVD Rom Drive ya USB Removable Devises nich yani 2 nd par hai to usko fist par lane ke liye + or – dabakar aap usko upar niche kar sakte hai. direct + – kam nahi kare to Shift or + – dabane se up down hojayega.

bios setup boot menu

  1. Boot: Isme jaye
  2. CD DVD Rom ko ko slect kare.
  3. USB Removable devise ko upar lejaye agar aap ko pen drive se windows 10 install karna hai.

Note: Yad rahe bios setting me mouse and tech paid kam kani karta hai iski jagar aapko Up, down, Right and Left, key dabakar bios menu me upar niche daye baye kar sakte hai. or baqi aap ke samne bios page me sab option show hoga usme dekh kar sab kar sakte hai.

Jab aap fist boot par apne DVD USB devises ko select kar ke F10 key press kare uske bad yes par click kare de istrah aap ka computer lapto restart hojayega.

Step 3: Jab bios setting me boot menu option ko select karne ke bad computer restart hoga to aap ko 30 second ke andar aap ke keyboard me se koi bhi button ko press karna hai. “Press any key to boot from CD or DVD”, “Press any key to boot from USB devise”. 

windows-installing-press-any-key

Step 4: Ab aap ke samne windows 10 installing karne ka screen ajaye ga thora der wait karne ke bad Language ka option ayega, aap cheto apna language change kar sakte hai par Default hi rahne de or Next par click karde.

windows-10-install-karne-ke-liye-luguage-select-kare
Step 5. Next button par click karne ke baad installing ka ek option ayega, “Install Now” button par click karna hai.

windows-10-install-kaise-kare

Step 6: Install now button par click karne ke baad aapke samne Product key option ayega agar aap chahte hai to product key dal sakte hai.

Windows 10 32 Bit Pro Product key (VK7JG-NPHTM-C97JM-9MPGT-3V66T)

Windows 10 32Bit Home product key (TX9XD-98N7V-6WMQ6-BX7FG-H8Q99)

Yanahi to isse abhi chor de aap bad me apne windows 10 ko activate kar lenge mai all redye activate karne ke bareme bata chuka hun. (windows 10 free activate kaise kare) bus aap ko yaha “I don’t have a product key ” button par click karna hai.

windows-10-install-karne-ke-liye-product-key-dale
Step 7: Ab aap ko yaha windows ka version select karna hai agar aapne computer me Pro install karna chahate ho to windows 10 pro select kare or agar Home edition install karna chahate ho to home selete kare uske baad “Next” par click kare.

windows 10 pro install kaise kare

Step 8: Next button par click karne ke baad aapke samne License terms ka page ayega yaha aap ” I accept the license terms ” option ko check karke “Next” button par click kare.
windows-10-lisence-term
Step 9: Ab aapke samne 2 option ayega isme apna type select karna hai or aap “Custom : Install Windows only (advanced)” option par click kare.

windows-10-cutom-install
Step 10: Ab aapke samne drive option ayega agar aapke computer hard disk me partition nehi hai ya alag partition bana chahte hai to uuke liye aap ko “Drive option (Advance)” par click karna hai.

windows-10-drive-options

Drive option par click karne ke bad aapko New par click karna hai or size me apna mb likhna hai ketne GB tak ka aap alag partition bana chahte hai agar 30 GB bana hai to usme 30000 mb dalye or Apply button par click karke apna par ticon bana lijye.

Create-Hard-disk-Partitions

Step 11. Hard disk partition banane ke baad ya aapne new partition nahi bhi banaya hai fir bhi aap jis partition me apna windows intall karna chahte hai usko select kar ke format jarur kare. Partition format karne ke liye aap “C drive” ya “Drive partition 1″ ko select kare uske bad format button par click kare.

windows 10 partition formatting
Format button par click karne ke bad aap ke samne warning message ayega ya aap ko OK  button par click karna hai. uske bad Next button par click karke apne window ko installing mode me dal dena hai.

windowsb10-setup-partition-format

Note: Yad rahe ke partition format kate wakt “C Drive” ya “Drive 0 Partition 1” Ko hi format karna hai agar aap kisi or devise ko format kate hai to aap ke hard disk ka sara data delete ho jayega

Step 12. Ab aap ka windows 10 install hona chalu hogaya hai aap ko kuch der wait karna parega jabtak aap ka 100% hojaye.

windows-installing
Step 13: 100% windows 10 install hone ke baad aapke computer system auto restart hoga yaha par aap Restart new button par click karsakte hai par 10 seconds ke andar ye apne se restart hojyega.

Note: Agar aap Pen drive se Windows install karte hai to aapko turant USB devise se pen drive ko remove nikalna hoga nahi to installing ka dobara option ajayega.

Agar agar DVD se install karte hai to “Press any key” ka option ayega ya par bhi aap ko keyboard button mese kuch nahi dabana hai. bus restart hone dena hai.

windows-10-installing-restart
Step 14: Ab aap ke samne getting redye ka page open hoga yaha aapko sirf wait karna hai windows aapna kam khud karega is traha aapke windows ready hoga.

windows-10-instaling-reday
Step 15: Windows ready hone ke bad Express setting ka option ayega yaha par aapko use express setting par click karna hai. samajhye aapka windows 10 install hogaya hai.

windows-10-setting
Agar aapke pas wifi internet hai to apna wifi password dal kar Microsoft account me mail id aur password dal kar Next button par click kare.

windows-10-microsoft-signin

Internet nahi hai to pc account me apna naam aur password bana lijye Who’s going to use this PC me aap ko jo naam rakhna hai dale.

Enter or Re inter password me do char ank ka pin bana liye agar password nahi bhi bana chahte hai to isse khali chor de. Password hint me kuch bhi likh de jo ke computer me login karne ke bad show hoga. bus ye dheyan dena hai ke aapne jo pin banaya hai vo same nahi ho.

windows-account-setting
Next par click karne ke bad aapko kuchh der wait karna hoga usske bad aap direct apne dashboard par pahunch jaenge.

windows 10 desktop

To dosto akhir aapka Windows 10 install hohi gaya agar aapko koi problem horaha hai Window 10 ko install karne me to aap jarur comment box me comment kare. or aapko ye article kaisa laga iske bare me bhi jarur bataye aur apne dosto ke sath social media jaise facebook twitter google + par isse share kare.

Ye bhi Padhe

Related Articles

9 Comments

  1. sir ye window 10 ka trial version hoga ya full version. matlab ye window install hone ke baad kuch months take chalegi ya fir life time tak
    sir please help me…

  2. Sir yeah window 10 ka trial version hoga ya for full version. Matlab is window ko install karne me baad ye much months tak chalegi ya fir life time tak . sir is window ke saath Microsoft office apps bhi free aayenge ya nahi
    Sir please help me

  3. Sir muje bhut bdi problem h
    Meri laptop me windeows 10 install nhi ho raha hai Recovery ki prob h
    Please help me sir…
    It is my connect no. 8979827755

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button