Gmail Account Password Change Kaise Kare Computer And Mobile Me

Gmail password change kaise kare: Hello dosto kya aap apne google gmail account ka password change karna chahte hai. aur aapko iske bare me pata nahi hai ke gmail ka password change kaise karte hai. iss article me mai aapko batane jaraha hun ke computer aur mobile me google email id ka password change kaise karte hai pure details ke sath In Hindi Urdu.

gmail Password change kaise kare

Email account ka password 90 days matlab 3 month me change karna chahiye. Agar aapka email account google yani Gmail me hai to aap easily password change kar sakte hai.

Yaha par aapko question hoga hame email password kyo change karna chahiye? Email account ko protect karne ke liye hame 3-4 month me password change karte rahna chahiye.

Ham mostly bahut jagah Gmail account ko use karte hai. Internet ke scary world me data lost, security threats, viruses and identity theft aesi long list hai. Jisase aapke Gmail account ko khatra bana rahta hai.

Aur kai bar ham kisi aur jagah jaise saber cafe ya kisi dusre ke computer, mobile me apna gmail account use karlete hai. and kbhai kabhi logout karna bhi bhool jate hai.

Jisse aapka google account hake bhi ho sakta hai aise surat me aapko chahiye ke apna gmail password change kar lena chahiye. waise bhi security ke liye menimum 3-4 month me ek bar password change kar hi lena chahiye.

Par Google ne password change karne ka option ko etna easy nahi banaya hai. isliye new user ko password change karne me bahut problems hoti hai. aur unhe google password badalne ka option nahi mil pata haai.

Ab aapko jada parishan hone ki jarurat nahi hai is article me mai aapko jo tarika batane jaraha hun jisse follow kar ke aap asani se, apna google password badal sakte hai. Yaha mai aapko do tarika batane jaraa hun 1 computer/laptop me kaise gmail account password badalte hai. 2 mobile me google gmail id ka password kaise change karna hai ke bare me.

Gmail Account Password Change Kaise Kare Jane Hindi/Urdu me

  1. Log into Your Gmail Account
  2. Click the Gear button icon. …
  3. Click Settings.
  4. Click the Accounts and Import tab.
  5. Click Change password.
  6. Enter your current password. …
  7. Type a new password.

Dosto aap to samjh hi gaye honge ke hame gmail password kyu badalna chahiye to chaliye ab pure details ke sath jante hai. Sabse pahle mai aapko computer laptop browser se password kaise change karna hai ke bareme batata hun.

Goggle Gmail Account Password Change Kaise Karte hai Computer/Laptop Browser me

Iske liye bas aapko Niche bataye jarahe tarika ko step by step follow kare isse aap easily apna Gmail account password change kar sakte hai.

Step 1 – Log into Your Gmail Account

Computer pc me Gmail password change karne ke liye sabse pahle, aap apne Gmail account me login kare. Iske liye aapko apne pc web browser open karna hai and URL bar me www.gmail.com type karke open kare. aur email id and password dal kar google account me login kare.

Related :-

Step 2 – Open Your Setting Page

Gmail account me login karne ke bad ab aap right side me gear icon ka option dekh sakte hai. Gear icon par click kare. Gear icon par click karte hi drop down menu open hoga. usme “Settings” option par click kare.

gmail settings

Step 3 – Update Your Account

Settings” option par click karne ke bad ek new window open hoga. Jisme bahot sare options honge. In sabhi options mese “Accounts and Import” option par click kare. Click karne ke bad Change account settings ke right me “Change Password” ka link dekh sakte hai bas aapko change password par click karn hai.

Accounts and Import

Step 4 – Change Your Password

Change password par click karne ke bad ab aapko next page me apna new password create karna hai gmail password change karne ke liye “new password” and “confirm new password” me apna new password type kare dale. uske bad “change password” par click karde.

Note:- Strong password banane ke liye aap /Lowercase Characters, number, and Symbols teeno chij use kar sakte hai. jaise  Abcd#12345 agar aap teeno chaj use karte hai to isse aapka password strong banega aur koi aapke password ko heak nahi kar payega.

change password

Congratulations! Change password par click karte hi password change ho jayega. Gmail account password change karne se aapke sabhi devices se sign out ho jayega, including your phone. New password aapko sabhi devices me enter karna padega.

Mobile me Gmail password kaise change kare?

Dosto upar bataye gaye tarika se aapne computer/laptop browser me google account password change kaise karte hai ke bare me pure details ke sath jan liya hai. ab ham jange ke mobile divise me gmail account ka password kaise change kiya jata hai.

Step – 1 My Account

Sabse pahle aapne apne mobile me koi bhi web browser open kare aur URl bar me type kare https://accounts.google.com agar aap pahle se gmail account me login nahi hai to sabse pahle apna email id aur password dal kar login kare.

Browser me https://accounts.google.com type karne ke bad My account option me pahunch jayenge. uske bad page ko scroll karke thoda niche jaye aur “Sign-in & security” option par click kare.

sigh in security

Step 2 – Password & sign-in method

Sign-in & security option par visit karne ke bad next page me ab aapko apna google account password change karne ke liye. page ko thoda scroll karke niche jana hai aur password & sign in method option me “password” par click karna hai.

password change kaise kare

Step 3 – Enter your old password

Password par jaise hi click karnge ab aapse old password dalne ke liye kaha jayega. apna email id select karke old password enter kare uske bad NEXT par click kare.

login gmail account

Step 4 – Change Your Password

Old password dal kar NEXT par click karne ke bad ab aapko apna new password create karna hai gmail password change karne ke liye “new password” and “confirm new password” me aap jo bhi password create karna chahte hai 2no jagah same password type kare dale. uske bad “change password” par click karde.

mobile me password change kaise kare

Congratulations! Change password par click karte hi aapne mobile devise me apna password change kar liya hai. Gmail account password change karne se aapke sabhi devices se sign out ho jayega, including your phone. New password aapko sabhi devices me enter karna padega.

Tips Change Your Gmail Password

Yaha par me aapke sath kuch tips share kar raha hu. Jisase aap aasani se apna password change kar sakte hai.

  1. Yad rakhe ki ek bar use kiya hua password dubara use nahi kar sakte hai. Yah Google ki security policy hai.
  2. Password case sensitive hai. Matlab agar aapke password me Smol letter, number and one Capital letter, %, & or $ symbol hai to aapka password bahut safe and strong ban jayega.
  3. Google account password change karne ke liye password minimum 8 character long hona chahiye.
  4. Aap Gmail me two step security activate karke bhi account ki security badha sakte hain.

Dosto Ye thi hamari Gmail account password change karne ki tips. aur aapko ye jankari kaisi lagi iske bareme batana na bhule. agar aapko yah article pasand aaya hai to friends ke sath social network me share karna na bhule.

Related Articles

17 Comments

      1. jaisa ye apke pass header navigation hai aap uska code mujhe de sakte hai

        poora code chahiye bhai with name html ya PHP and CSS plzz Brother

    1. Share ke liye koi plugin use nahi karta hun jis tarah aapne apne theme me code add kiya hai same waise hi maine bhi add kiya hai. Comment style code to de sakta hun par aap use customize kar lenge

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button